Sunteți pe pagina 1din 2

Speech 23 March 1940

Saif andaz e bayan rang badal data ha Warna dnia ma koi bat nai bat nahi. Pakistan ka wajood ma an koi itafaqi hadsa na tha koi ak din ak mah ya ak sal ki bat na the bal k ic k pechay musalmano ki wo sal ha sal ki jado johd the jo qyame Pakistan ka maqsad bni. Musalmano ka wo mazi tha jb Bare sager ma un ka tooti bolta tha jb unhain zawal ana shro hua to qaire muzalat ma ja giry hakim se mehkoom ho gye mehkoom b aisy jo zalimo k zulm o sitm ka nishana bnty rahy. Hiras o khof se mamor hr basti the hr wadi Na ly skta tha koi b watan ma nam e azadi Khuly thy hr trf maqtal gari the hr taraf soli Gulamana rawish aisi chali rasm e wafa bholi Janab e sadar, Tehreek e Pakistan k ic faisla kun din ko kon bhol sakta ha jab lakhoon insane k lashkar k samny or qaid e azam muhmmad ali jinah ki qayadat ma 23 march 1940 k dim all India Muslim League ne taqseem hind ki wo mashoor qrardad manzor ki jis ko tareek k oraq se mitana naguzeer hi nai namumkin ha. Hm ne yon pard e zulmat ka sad chak kia Aj sb ghoor andheroon se watan pak kia Dal di aj k din hm ny nai trha chaman Janat deda e dil aj hui arz e watan Janab e sadar, 19 march k din khaksaroon or police ka tsadum, 22 march ko all india muslim legue ka shro hony wala ijlas or 22 march 1940 ki pur umeed sham muslmano k liay nay watan ki aas ly kr ay. Jis ma muslim aksariat walu shumal magribi or shumal mashriqi khiton koalg kr kak alheda mumlikat e khuda dad ki qarar dad pesh ki gai. Jis ne musalmano k jazbat ki kuch ic traha nishan dahi ki. Ay watan to ne pukara to lahoo kho utha Tery bety tery janbaz cjhaly atay han Mery aziz satheo phr 23 march 1940 ki roshan subha namodar hui nai tarmeem Punjab or bangal k suboon k sath 23 march 1940 ko lahoon insane ki jume gafeer k samny mulvi abdul haq ki qayadat ma minto park Lahore ma qrardad manzor ho gai. Jsay qrada e Pakistan ka nam dia gya. Phr ma q na kaho

Ay arze watan tujh se jo mansoob na ho gy Hm ko irady kabhi mehboob nah n gy Hm apny gulistan k baharon k amen han Hm waqt ka bigra hua asloob nah n gy. Janab e sadar or mery aziz satheo, Ic qrardad ki badolat qaid e azam ki kosihshon or musalmano ki qurbanio se Pakistan 14 aug 1947 ko mariz e wajood ma aya aj Pakistan ko bny 66 sal ho gye or aj bhi 23 march ka din zor o shor se manaya jata ha. Aj wo waqt ha hmy apny apny hisy ka kam krna ha hmy un janbazon or safroshon ka sath dana ha jo amal se zidagi kasheed krty han or kbhi dilgrifta nai hoty. Akhir ma ma bs yehi kahon gi Khuda kry mri arz e pak py utry Wo fasl e gul jisy andesha e zawal na ho Khuda kry mery kisi b hmwatan k liay Hayat tng na ho zindagi wabal na ho

S-ar putea să vă placă și