Sunteți pe pagina 1din 1

Use aankhen badi acchi lagti theen.

Jab paida hua to maa ki badi badi billor si aankhon mein usne shayad poore brhmand ke darshan kiye the jaise yashoda ne krishn ke much mein ya fir nurse ki vatsalya bhari neeli aankhon mein use kshher ssagar dikha tha. kucch bhi baat ho wo bahpan se hi aankhon ke peeche paagal tah. Maa ki saheliyan jab use god mein leti to wo un nanhe haathon se unki band aankhon ko chhuta aur kilkariyan bhar bhar ke hansta. Raat mein jab tak wo maa ki aankhon koapne haathon se na sehlata use neend na aati. Jhapakti aankhen, uneendi aankhen, wo pyar bhri khilandar uske jehan mein wo sab utarti rehti thin. Jab hosh sambhala to ghar wlae use ek baar durga pooja ke pandal le gaye wahan devi ki hirni jaisi aankhon ko dekh wo wahin moorti ke saamne baith gaya aur hilne ka naam bhi nahin liya. jab ghar walon ne jabardasti ki to jaar bejaar rone laga. Us din se wo Durga ma aka bhakt ban gaya. Sirhane mein un badi aankhon wali ki tasveer dekh ke use lagta ki maan saath mein hai Par duniya agar aankhon mein aur unke sapnon tak hi rehti to bas kya baat thi. Wo chitrakar banna chahta tha. Din bhar wo unhi aankhon aur unki chhipi kahaniyo ko koochi pe utarta. Par chitrakaron ki duniya mein Boodhi maa aur nikamme baap nahin hote. Shaadi ke layak do behnen nahin hoti, wo bhi chal pada usi leek par. Kamar tod padhai ki usne jab uske dost baahar khel rahe hote wo ganit ke sawalon mein ulajhta. But ladakpan mein muhabbat ka bada keeda hota hai. Koi laakh bache keeda kat hi leta hai. Use bhi dikhi ek din badi aankhon wali uski durga ki tasveer jaisi apni dream girl. Par wo tha ek kholi mein aur wo aati thi Mercedes mein. Ganit ke sawal samjha to deta par kabhi kitab se upar nahin dekhta. Jhijhak se jyada uski kheej thi ki wo kabhi bhi un aankhon ko choo nahin paayega. Wo kheejh gusse aur apman mein badal gayi par wo un aankhon se baahar na nikal paya. Jeevan chalta raha aur wo usi tarah jeeta raha. Duniya badalti gayi par wo kabhi bhi aankhon ki us chahat se nikal nahin paaya. Sadak chalte uthaigiron, rehadi wali sab mein wo aankhen dekhta. Deen bebas aankhen, karuna mayi aankhen bacchon ko dularti wo pyar bhari aankhen. Wo bahut bada ho gaya. KAmar tod mehnat karne ke baad wo jajahn pahunchna chahta tha wahan pahunch gaya par abhi bhi wahi kheej wahi gussa uski aankhon ko kabhi hansne na deti. Doosron ki aankhon mein pyar dhhondhta wo apni aankhon mein utarti maut ko bhi na dekh paya. Prnahin do bindu use dekhne to dete par ab na maa thi na wo saheliyan, ab aankhon ko sehlata to kisski. Durga ki wo tasveer ab dhundhli thi Aaj 23 saalon baad wo apne computer ki screen par baitha hai. Zindagi kayi mod le chuki hai. Duniya kaafi aage badh gayi, dost aaye aur apna faayda apna hissa lekar chalte bane. Unhe un sabki aankhen ek jaisi lagti thi, kisi bhookhe bhediye ki tarah laal aur kisi lakarbagghe ki tarah utawali. Maa ab nahin hai aur kisi ki aankhon ko sehlane ke liye haath ab utne nanhe nahin rahe. Zindagi bhar kamar tod mehnat ki aur mukam haasil to kiya lekin aankhen aaj bhi use waise hi bulati hain. Par uski nirjeev aakhen kucch kah nahin pati hain. Wo un aankhon ko aise hi dekhte rehta hai. Hansti aankhen muskati aankhen chugal karti aamkhen roti aankhen.

S-ar putea să vă placă și