Sunteți pe pagina 1din 1

Ghairo pe karam apno pe sitam, eh jaan-e-wafa ye zulm na

kar
Rehne de abhi thoda sa bharam,
Eh jaan-e-wafa ye zulm na kar ye zulm na kar
Ghairo pe karam ...
Ham bhi the tere manzoor-e-nazar, dil chaaha to ab iqraar
na kar
Sau teer chala seene pe magar, begaano se milkar vaar na
kar
Be-maut kahi mar jaaye na ham
Eh jaan-e-wafa ye zulm na kar ye zulm na kar
Ghairo pe karam ...
Ham chaahne waale hain tere, yu hamko jalaana thheek
nahi
Mehfil mein tamaasha ban jaaye, is darja sataana thheek
nahi
Mar jaayenge ham, mit jaayenge ham
Eh jaan-e-wafa ye zulm na kar ye zulm na kar
Ghairo pe karam ...

S-ar putea să vă placă și