Sunteți pe pagina 1din 3

Yoga Kaise Kare Yoga Karne ka Sahi Tarika aur Niyam

Hindi Mein
kyakyukaise.com /yoga-kaise-kare-sahi-tarika-health-tips-in-hindi/
Govind
Yoga Kaise Kare: Hum ne aksar ek baat suni hai upchaar se behtar hai bachav. Aajkal jis tarah hamara life style
ho gya hai aur jis tarah khane pine ki cheejo mein milawat hone lagi hai, shareer ko lagne wali bimariyo ka ye
sab se bada karan hai. Agar aap bhi kisi parkar ki health diseases se jujh rahe hai ya fir future mein apne parivar
ki sehat ko le kar chintit hai to aap ko abhi se 2 upay shuru kar lene chahiye.
1. Healthy Food: Apni khane pine ki aadto mein badlaav laye aur junk food khane ki bajay nutritions se bharpur
healthy khana khaye.
2. Yoga: Body ko andar bahar se fit aur active rakhne ke liye rojana yoga kare. Yoga ek aesi kirya hai jo
bimariyo se bachav aur unke upchar dono mein helpfull hai. Iske ilava yoga mansik roop se swasth rehne mein
madad karta hai.
Jane Best Yoga Tips in Hindi

Yoga Kaise Kare Yoga Health Tips


in Hindi
Yoga ek parkar ka trearment hai jo sharrer, man
aur dimag teeno ko sahi tarike se kaam karne ki
energy deta hai aur body mein bimariyo se ladne
ki taakat ko badhata hai. Niymit roop se yoga
kare to kisi doctor aur vaid ki jarurat nahi padegi.
Lekin agar yog ko sahi tarike se na kiya jaye to ye
shareer ko benefit dene ki bajay nuksaan bhi
pahuncha sakta hai.
Aap ye article padh rahe hai, iska matlab hai ki aap ko yoga ke fayde pta hai isliye is article mein hum janenge
yoga kaise kare, yoga ke niyam, yoga health tips, yoga ke fayde aur nuksaan.

Yoga Ke Niyam : Yoga Rules


Agar aap yoga se puri tarah fayda lena chahte hai to yoga ke sabhi rules ka sahi se paalan karna jaruri hai.
1. Yoga hamesha khali pet kare. Agar aap shaam ko yoga karna chahte hai to dhyaan rahe ki khana khaye
hue 4 ghante se adhik ho gaye ho. Yoga karne se pahle aur yoga karne ke baad kuch der tak kuch khaye
nahi.
2. Yog ki kirya karte samay saans naak se le muh se nahi. Aap ko saans naak se lena hai aur muh se
chodna hai.
3. Yoga hamesha saaf suthri aur khuli jagah par karna chahiye.
4. Yoga karte samay baithne ka sahi tarika (sitting posture) pta hona jaruri hai. Siddhasana aur padmasana
ki postion mein ek dum seedha baith kar yoga karna chahiye.
5. Koi vyakti, mahila ya bacha bukhar mein ho to use yoga nahi karna chahiye.

1/3

Pregnant women aur koi gambhir bimari se garast vyakti ko yoga kisi expert ki advice se hi karna chahiye.
Jane Pregnancy Mein Baba Ramdev ke 3 Yoga

Yoga Karne ka Sahi Tarika : Yoga Tips in Hindi


Vese to yoga kisi bhi samay kar sakte hai par subh ke samay yoga karne par pura din body mein energy
rehti hai. Subh ke samay man shant hota hai aur vayu shudh hoti hai.
Yoga karne ke liye tight kapde pahne ki bajay halke aur khule kapde pehne. Khule kapdo mein aap sabhi
parkar ke yogasana kar sakenge aur agar aapne kisi parkar ki jewelry ya fir ghadi pahni hui hai to use
utaar kar side mein rakhe.
Yoga ko daily kare aur ise apni ek aadat bana le. Har roj yoga karne se aapka mansik vikas bhi hoga aur
aap ka mind pahle se jada active aur sharp banega. Jis kaam ko karne mein pahle aap 1 se 2 ghante lete
the ab rojana yoga practice ke baad aap us kaam ko pahle se aadhe samay mein kar sakenge, jisse
aapke andar positivity badhegi.
Agar aap yoga mein naye hai to sabhi aasan ek din mein karne ki kosish bilkul bhi na kare, aisa karne par
aap pahle hi din bahut thak jayenge jisse ho sakta hai ki aap agle din yoga karne mein aalas kare. Aap
dhere dhere yoga ke aasan badhaye to jada acha hai.
Agar aap kisi park mein ya yoga center mein yoga sikhne jaate hai to waha kuch dost banaye, isse rojana
yoga ke liye jaane mein aap aalas nahi karenge aur dosto ke sath yoga karne par aap ka man bhi lagega.
Kuch log jaldi fayda paane ke liye yog kirya teji se aur jaldi jaldi karte hai. Yoga se fayda paane ka sirf ek
hi tarika hai ki aap yoga ko sahi dhang se kare, tej tej yoga karne se jaldi fayda milega aisa bilkul nahi
hai.

Yoga ke Fayde : Benefits of Yoga in Hindi


1. Yoga mein hum kai parkar ke pranayam karte hai. Pranayam mein hame gahari aur halki saanse leni
padti hai jis se breathing exercise ho jati hai aur hamare fefdo tak jada maatra mein oxygen pahunchti hai
aur hame fefdo ki koi bimari nahi hoti.
2. Yoga karne se body flexbile hoti hai jisse body mein hone wale pain kam ho jate hai.
3. Niyamit roop se yoga karne par maansik tanav (stress) kam hota hai.
4. Yoga mein body ke sabhi hisso ka paryog hota hai jisse shareer ki muscles ko strength milti hai.
5. Yoga karne se body mein blood circulation aur acha hone lagta hai, jisse blood pressure aur blood sugar
jesi health diseases ko control karne mein madad milti hai.
6. Rojana yoga karne walo ka pachan tantar behtar hone lagta hai. Iske ilava pet se judi bimariyo se bhi
chutkara milta hai.
7. Jo vyakti ya mahila motapa kam karne ke liye yoga karte hai unka weight aasani se kam hone lagta hai
aur jo weight badhane ke liye yoga karte hai unka wajan badhne lagta hai. Iska kaaran ye hai ki niyamit
roop se yoga karne ki wajah se aap ka digestion acha hone lagta hai aur ye sabhi samasya kharab
pachan tantr ke karan hi hoti hai.
8. Agar aap koi aisa kaam karte hai jisme dimaag ka paryog jada hota hai to aap ko rojana yoga karna
chahiye. Isse mastishk ko aaram milta hai aur brain ko power milti hai.
9. Agar aap ko bhulne ki bimari hai to yoga karne se iska bhi upay milega.
10. Rojana yoga karne se hamari body ki immunity badhti hai jisse hum kisi bhi infection ya virus se jaldi
bimar nahi hote.
11. Niyamit yoga karne se kai parkar ki bimariya khatam ho jaati hai aur bahut se khataranak bimariyo ka

2/3

asar bhi kam ho jata hai.


12. Bimariyo se bachaav aur upchar ke ilava yoga hamare baalo, skin aur eyes ke liye bhi bahut acha hota
hai. Isse hamare chahre par jhuriya nahi aati, aankho ki roshni kam nahi hoti aur baal jhadne ruk jaate hai.
Jane Yoga karne ke 10 Adbut Fayde

Yoga ke Nuksaan : Side effects of Yoga


Aajkal ek afvaah chal rahi hai ki yoga karne se shareer ko nuksaan hota hai. Bahut se yoga experts ka kehna
hai ki yoga ke side effects tabhi honge jab ise sahi tarike se nahi kiya jaye. Example ke liye agar aap apne
ghutno ya kamar ke yogasana galat tarike se kar rahe hai to aap ko ghutno mein aur kamar mein chot lag sakti
hai ya haddiya tut sakti hai.
Agar aapne abhi yoga ki shuruaat ki hai ya fir aap yoga shuru karne ke baare mein soch rahe hai to hamari
salah yahi hai ki shuruat mein kisi yoga expert ya yog guru ki dekh rekh mein hi yoga ki practice kare aur jab aap
yog ke sabhi aasan ache se sikh le tabhi akele mein kare.

Agar aap ghar baithe yoga sikhna chahte hai to baba ramdev aur kuch yoga experts ke live
program subh subh TV par aate hai jisme yoga kaise kare ke baare mein detail se jankari di jaati
hai. Aap ghar baithe TV par ye progarm dekh kar bhi yoga ki practice kar sakte hai.

Yoga se Vajan Badhane ke Upay


Yoga Se Pet Kam Karne Ke Upay Hindi Mein
Dosto Yoga Kaise Kare, Yoga Karne ka Sahi Tarika, Yoga Health Tips in Hindi ka ye article kesa laga hame
comment kar ke bataye aur agar aap ke pass yoga karne ke sujhaav ya anubhav hai to hamare sath share kare.

3/3

S-ar putea să vă placă și