Sunteți pe pagina 1din 3

Ghar Par Makeup Karne ke Sahi Tarike 5 Makeup Tips in

Hindi
kyakyukaise.com /makeup-karne-ke-tarike-bridal-beauty-tips-in-hindi/
Govind
Makeup Karne ke Tarike: Har ladki sundar dikhana chahti hai aur yahi karan hai ki makeup karna har ladki ko
pasand hota hai. Bahut si ladkiya makeup karwane ke liye beauty parlour jati hai lekin beauty parlour par
makeup karwane mein bahut paise kharch hote hai is mehangayi mein har bar makeup karwane ke liye beauty
parlour jana aasan nahi. Agar aap makeup kaise kare iske sahi tarike jaan le to aap ghar par khud manchaha
makeup kar sakti hai. Is article main hum janenge bridal makeup tips in hindi aur step by step ye bhi janenge ki
makeup karne ke tarike kya hai.
Apni shaadi mein khubsurat dikhna har dulhan ka sapna hota hai. Agar kisi wajah se aap bridal makeup ke liye
beauty parlour nahi ja sakti to aap ye tips ghar par khud bhi kar sakti hai. Aaiye jante hai sahi tarike se ghar par
makeup kaise kare.
Jane 30 Minute Me Apne Chehre ko Nikhare

MakeUp Karne ke Tarike Bridal Makeup Tips in Hindi

1. Mouth Wash
Makeup kisi bhi type ka ho sab se pahla step mouth wash hai. Isse aapke chehre ki dust nikal jayegi. Chehra
dhone ke liye aap face wash ya kisi moisturizing cream ka paryog bhi kar sakte hai.

2. Makeup Base Kaise Banaye


Makeup base banana ache makeup ke liye sabse important part hota hai, jisse chehre ke keel muhase, daag
dhabbe, pimples aur kisi parkar ka nishan ko chipaya jata hai. Aajkal market mein naye naye beauty products
available hai jinka paryog hum makeup base banane mein kar sakte hai.
(a) Foundation

1/3

Makeup ka base banane ka ye pahla tarika hai jo pahle paryog kiya jata tha. Foundation mein koi beauty
cream mila kar chehre aur gurdan par halke hatho se thapthapa kar lagaye.
Garmiyo mein foundation based makeup karne se paseena jada aata hai jisse makeup jaldi kharab ho
jata hai, iske ilava foundation ke paryog se chehre par pimples nikalne lagte hai. Foundation ka paryog
35 saal se adhik umar ki mahilao ke liye jada acha hai.
(b) Concealer
Makeup base banane ka latest aur best tarika hai ki aap concealer ka paryog kare. Concealer kafi tarah
ke hote hai, brush type, cream type jo kisi dabbi mein sponj ke sath aata hai aur tube type.
Agar aap cream wala concealer paryog kar rahe hai to spaunj ki madad se chehre aur gardan par halke
hatho se thapthapaye.
Naak(Nose) patla dikhana ho to naak ki dono taraf halke rang ka concealer lagaye aur naak ki lambayi
tak highlighter lagaye.
Foundation ho ya concealer, dono chehre ke rang ke anusar hi lagaye. Example ke liye Agar aapki skin ka
color dark hai to use light color base lagaye. Makeup ka base banane ke liye skin tone se milta hua color hi
chune.

3. First Touchup Kare


Makup base banane ke baad next step hai face ko first touchup dene ka, jisme hum blusher ka isteemaal
karte hai.
Dhyaan rahe ki blush ko faila kar aur daba kar gehra karke na lagaye. Blusher mein bhi skin ke rang ke
anusaar color aate hai, isliye aap apne chehre ke rang ke anusar hi blush select kare. Sanwali tavacha
ke liye brown colour aur gore rang ke liye pink color ka paryog kare.
Makeup ki sahi tarike se finishing karna bahut jaruri hai. Aap ko eyes ka makeup shuru karne se pahle ye
dhyaan dena hoga ki aapka makeup base achi se blund ho jaye.

4. Eyes Makeup Kaise Kare


Ab agla step hai eyes ko beautiful kaise banaye. Eyes badi aur sundar dikhane ke liye bari bari se
eyeliner, maskara aur eyeshadow ka istemaal kare.
Sabse pahle eyeshadow lagaye, ise aap apni dress ke according select kar sakte hai. Aankho ko jada
attractive dikhane ke liye dark color use kare.
Eyes makeup ke dusre step mein eyeliner ka paryog kare. Agar aap ankho ko gehra dikhana chahte hai
to aankho ke niche bhi eyeliner lagaye, isse aankhe badi badi lagegi aur aapko kajal bhi nahi lagana
padega.
Ab baari hai maskara lagane ki. Maskara behad dhyaan se paryog kare, jaldbaji mein kiya gya to ye aapki
eyes ka makeup kharab kar sakta hai.
Agar aapki eyebrow ki shape sahi nahi hai to aap eyebrow pencil se eyebrow ko shape de sakte hai.

5. Lips ka Makeup Karne ke Tarike


Lips ke makeup ke liye lipstick ka paryog kare. Lipstick bhi kafi colors mein aati hai isliye aap apni skin ke
according hi lipstick ka color chune.
Jis tarah makeup lagane se pahle aapne makeup base banaya thik vese hi lipstick lagane se pahle aap

2/3

hotho ka base banaye jiske liye aap primer ka paryog kare. Isse hotho ki darare chip jati hai. Iske baad lip
liner se hotho ki outline banye aur uske baad hotho par lipstick lagaye.
Lipstick lagate samay lip line ka dhyaan rakhe. Aapki lipstick lip line se bahar na jaye.
Lips ki shinning ke liye aap lip glow ka paryog bhi kar sakte hai.

Quick Makeup Tips in Hindi


Sabse pahle face ki dust nikalne ke liye chehre ko moisturiser se saaf kare. Iske liye aap cotton use kar
sakte hai. Iske baad face ke rang se match karta hua foundation ya concealer lagaye fir gaalo par blusher
lagaye. Iske baad aankho ko sunder dikhane ke liye eyes ka makeup kare aur last mein hotho par lipstick
aur lipliner lagaye.

Baalo ko Khubsurat Kaise Banaye


Chehre se Til aur Masse Kaise Hataye
Rang Gora Kaise Kare Gharelu Upay
MakeUp Karne ke Tarike, Bridal Makeup Tips in Hindi ka ye lekh aapko kaise laga hame comment kar ke
bataye. Ghar par makeup kaise kare ka ye article hamara ek paryas hai beauty tips sahi se samjhane ka, aur
agar is koshish mein humne koi mistake ki hai ya fir kuch add karna bhul gaye to niche commemt kar ke jarur
bataye. Makeup karne se sundar kaise dikhe, agar is topic par aapke pass koi sujhav ya tips ho to hamare sath
share kare.

3/3

S-ar putea să vă placă și