Sunteți pe pagina 1din 4

Yaddasht Badhane ke 10 Aasan Upay- Memory Increase

Tips in Hindi
kyakyukaise.com /yaddasht-badhane-ke-upay-memory-power-increase-tips-in-hindi/
Govind

Yaddasht Kaise Badhaye in Hindi


Aaj kal ki busy aur compition se bharpur is life mein hum log aksar kisi tanav mein rehte hai jiske karan hum
choti choti cheje bhi bhul jate hai, aur agar sahi samay par vo yaad na aaye to pareshaniya badh sakti hai. Hum
apne dimag ka 5 se 8% hissa hi isteemaal karte hai aur agar hum baki ke hisse ko bhi active kar sake to hum
apne jivan mein bahut se mushkil kaam aasani se hi kar sakte hai aur kamyabi pa sakte hai. Bhulne ki samasya
bacho, bado aur budho sabhi ke sath hoti hai. Is article mein hum janenge chote bacho ki yaddasht kaise
badhaye, gharelu nuskhe aur ayurveda home remedies se yaddasht badhane ke upay, Memory Power
increase Tips in Hindi.
Jane Gussa Kam Karne ke Upay

Dimag Kamjor Hone ke Karan Causes of Memory Loss


Yaddasht ka badhna aur kam hona hamare brain ki power par depend karta hai. Hum daily routine mein aise
bahut se kaam karte hai jo dhere dhere hamare dimag ko kamjoor karte hai. In buri aadto ko turant band kare
nahi to ye aapke brain ko nuksan pahuncha sakti hai.
Puri neend na lena
Breakfast na karna
Jada khana (Over eating)
Kam pani pina
Ek samay mein bahut sare kaam karna (Multi tasking)
Smoking karna
Stress mein rehna

1/4

Yaddasht Badhane ke Upay


Memory Power Increase Tips in Hindi
Aaj kal ke life style mein hamari memory power itni weak ho gyi hai ki humko ye bhi nhi yaad hota ki hum kal kis
se mile the, humne kya khaya tha ya kahan gaye the aur kai baar logo ke naam bhi bhul jate hai. Kuch log
memory loss ke treatment ke liye multivitamins ki medicine bhi khate hai. Aaiye kuch aise gharelu nuskhe jane
jisse hum apne dimag ko tej karke apni yaddasht badha sakte hai.
1. Badam: Raat ko sone se pahle 5 se 7 badam paani mein bhigo kar rakhe aur subh inka chilka utar kar ek
paste bana le. 2 chamach shahad aur badam ke paste ko 1 glass gungune doodh mein mila kar piye. Doodh
peene ke 1 ghante baad tak kuch khaye piye nahi. Aap badam ke paste ko makhan aur mishri ke sath mila kar
bhi kha sakte hai. Rojana is upay ko karne se dimag computer ki tarah tej hota hai.
2. Akhroat: Hamare dimag ki banawat bilkul akhroat jesi hoti hai. Agar aap chahte hai ki aapki yadasht bahut tej
ho to 20 graam akhroat aur 10 graam kishmish rojana khaye. Garmi ke mausam mein is upay ko kam kare.
3. Kaali Mirch: 5 se 7 kaali mirch mein 25 se 30 graam makhan aur mishri mila kar khane se dimag ki kamjori
dur hoti hai aur kaam mein bhi man lagta hai.
4. Palak: Palak mein vitamin A, K, E, C, B2, B6, Folic acid, Jink, Manganese aur Calcium hota hai, jo hamare
dimag ko active rakhte hai. Palak mein omega 3 fatty acid bhi hota hai jo hamare brain ke liye bahut jaruri
nutrition hai. Yaadasht badhane, mind development aur hamari ekagrata badhane ke sab jaruri poshak tatav
palak mein maujood hai. Isliye dimag ko swasth rakhne ke liye niymit roop se iska sevan karna chahiye. Jin logo
ko gurde mein pathri ho ya fir gurde ki koi aur bimari ho unhe palak ka sevan nahi karna chahhiye.
5. Dark Choclate: Dark chocolate khane se dimag ki karya shakti badhti hai aur memory boost hoti hai. Iska
sevan jada nahi kare kyuki isse wajan bhi badhta hai.
6. Ghee ki Malish: Dimag ki kamjori dur karne ke liye gay ke ghee se sir par malish kare. Isse dimag tej hoga
aur kamjori bhi door ho jayegi.
7. Til: Yaddasht badhane mein til ka sevan bahut faydemand hai. Til mein gud mila kar rojana khane se
yadashat badhti hai.
8. Aanwle ka Murabba: Subh khaali pet aawle ka murabba khane se dil aur dimag dono ko takat milti hai. Aur
agar aapko bhulne ki samasya jada ho to 1 chammach aawle ke ras mein 2 chammach shahad mila kar sevan
kare.
9. Udad ki Daal: Raat ko sone se pahle udad ki daal ko paani mein bhigo de aur subh ise pees kar paste bana
le. Ab is paste ko doodh aur mishri mein mila kar khaye, isse dimag tej hota hai.
10. Pudeene ki Chay: Agar aap ko bhulne ki samasya hai aur bahut mushkil se koi cheej yaad rakh pate his to
subh uthne ke baad pudene ki chay piye. Pudene ki chay long term memory mein sudhar karti hai.

Dimag Tej Kaise Kare Ayurveda Remedies to Improve Memory Power


1. Alsi ka Tel: Memory power aur concentration badhane le liye alsi ka tel bahut hi upyogi hai. Rojana alsi ke tel
ka sevan karne se brain se judi koi bimari nahi hoti. Iske paryog se digag active hota hai, students aur dimagi
kam karne wale logo ko iska sevan jarur karna chahiye.
2. Brahmi: Yaddasht badhane ke liye brahmi ek achi ayurvedic aushdhi hai. Brahmi mein anti oxidant hota hai
jo hamare dimag ko tej karti hai aur iske sevan se dimag jaldi thakta bhi nahi hai. Rojana 1 chammach brahmi
ka sevan karna chahiye.

2/4

3. Mulethi: Students ko aur jo log kisi competitive exam ki tyaari kar rahe hai unhe mulethi ka sevan har roj
karna chahiye. Isse padha hua sab yaad rehta hai aur dimag tej hota hai.
4. Lauki ka Tel: Lauki ka tel yaddasht badhata hai. Sir mein lauki ka tel lagane se dimag ko takat milti hai aur sir
mein thandak rehti hai. Agar sir mein dard hai, baal safed ho rahe hai, jhad rahe hai to bhi ye tel lagane se fayda
milta hai. Hafte mein 2 baar lauki ke tel se sir ki malish kare.
5. Giloy: Amla, giloy aur jamasi, sabko brabar matra mein le kar pees le aur churan bana le. Is churan ko subh
2 graam ki matra mein paani ke sath le.
6. Gehu ke Javare ka Ras: Yaddasht badhane ke liye wheatgrass juice pine se bhi bahut fayda milta hai.
Rojana iske sevan se samaran shakti badhti hai aur bhulne ki bimari ka ilaj bhi hota hai.
7. Gulukand: Yadashat badhane ke liye din mein kam se kam 2 bar gulukand khana chahiye. Students ko ye
upay roj karna chahiye, isse padha hua sab yaad rehta hai.
8. Daalchini: Raat ko sone se pahle 10 graam dalchini powder ko shahad mein mila kar chaat le aur uske baad
kuch khaye piye nahi. Isse bhulne ki bimari dur hoti hai aur yaddasht badhti hai.
9. Jamun: Jamun mein fosetin hota hai jo pichli baate yaad rakhne mein madad karta hai. Jamun mein smaran
shakti tej karne ki takat hoti hai.

Bacho ki Yaddasht Badhane ke Upay (Tips)


Bacho ke dimag ke vikas mein unke parents ka bahut bada role hote hai kyuki bacho ke liye unka pahla school
unka ghar hi hota hai. Aaiye jante hai bacho ki yaddasht badhane ke gahrelu tarike aur tips.
1. Dahi: Dahi mein amino acid hota hai jo stress door rakhta hai aur dimag shant rehta hai. Kids ko kisi bhi
parkar ke tanav se door rakhne ke liye khane mein dahi ko shamil kare.
2. Doodh: Doodh mein shahad mix karke pine se yaddasht tej hoti hai. Bacho ka mind sharp aur active rakhne
ke liye doodh jarur pilaye.
3. Mind Game: Aajkal bazaar mein bahut se aise toy milte hai jinhe khelne ke liye dimag lagta hai. Chote bacho
ko unki umar ke anusar kuch mind games la kar de aur ho sake to unke sath game bhi khele.
4. Brahmi Powder: Bacho ki memory badhane mein brahmi powder ka parog kafi labhkari hai kyuki ye exam
aur study ke samay yaddasht tej karne ke sath sath unke dimag ko bhi shant karta hai. Aadha chammach
brahmi powder aur shahad ko garam pani mein mila kar pilaye fayda milega.

Ek research mein paya gya ki pregnant women ke liye machli(fish) khana behad faydemand hota
hai. Jo garbhwati mahilaye hafte mein 3 se 4 din machli khati hai unke bacho ka dimag bahut tej
hota hai. Machli khane se bacho ke dimag ka ache se vikas hota hai aur bacho ko autism ka
khatra bhi kam hota hai.

Bacho ka Dimag Tej Karne ke Tarike


Bacho ko dopehar ko ek ghante neend de.
Bacho ke sath missing number game khele. Bacho ke sath 1 se 10 tak ginti gine aur beech mein kuch
numbers chod de aur kids ko un numbers ko janane ko kahe.

3/4

Bacho ko naye words bolna sikhaye.


Bacho ke sawalo ka jawab de.
Bacho ke sath samay bitaye aur unke sath game khele.
Raat ko dinner karte samay kids ke sath baate share kare.

Dimag Tej Karne ke Upay aur Tips Hindi Mein


Kharbuje ke beej tave par bhun kar chaba chaba kar khane se yadasht tej hoti hai.
Subh subh ek glass pani mein 2 chammach shahad mila kar pina chahiye.
Kadu ki kheer khane se memory power boost hoti hai.
Rojana subh ek glass gajar ka juice pina chahiye.
Til aur shakar ke ladu khane se dimag tej hota hai.
Jin fruits mein fasforas adhik matra mein hota hai vo yaddasht badhane mein upyogi hote hai. Jese ki
angur, santra aur anjeer.
Agar aap mansahari hai to bhojan mein machli khaye aur agar shakahari hai to 3 chote chammach alsi
beej ka powder paani ke sath le.
Aam ka ras (Mango juice) memory badhane mein kafi faydemand hai. Aam ras mein 2 chammach shahad
mila kar lena acha hai.

Yaddasht Badhane ke Liye Meditation aur Yoga


Meditation karne se dimag shant rehta hai, aur mind par control bhi badhta hai. Yoga mein pranayam karne se
mind relax hota hai.
Jane Yoga Kaise Kare
Jane Meditation Karne ka Sahi Tarika

Har insaan chahta hai ki uski yaddasht tej ho aur use jarurat ki sabhi cheeje yaad rahe. Jis vyakti
ki memory tej hoti hai use kamyabi aasani se mil jati hai, chahe yo students ho, employee ho ya
koi businessmen. Agar aap mehnati hai aur aapki yaddasht bhi achi hai to aapki success ke
chances kafi badh jate hai, aur agar aapko lagta hai ki aapko memory loss ki problem hai to aap
bhi yaddasht badhane ke upay Kare.

Dadi Maa ke Gharelu Nuskhe aur Upay


Dosto Yaddasht Badhane ke Upay, Memory Power Increase Tips in Hindi ka ye leekh kaisa laga comment karke
bataye aur agar aap ke pass dimag tej karne ke upay, sujhav ya koi anubhav hai to hamare sath share kare,
aapki knowledge se auro ko bhi benefit milega.

4/4

S-ar putea să vă placă și