Sunteți pe pagina 1din 4

Chehre se Blackheads Remove Karne ke 7 Aasan Upay

Hindi Mein
kyakyukaise.com /blackheads-hatane-ke-upay-tips-to-remove-naturally-in-hindi/
Govind

Blackheads Hatane ke Gharelu Upay Hindi Mein


Aajkal chehre par blackheads hona normal sa ho gya hai. Blackheads jadatar naak(nose) ki dono taraf aur thodi ke
niche hote hai. Tvacha ki chidro mein tel aur mitti jama hone se blackheads ho jate hai. Blackhead ki wajah se dead
skin ki problem bhi ho jati hai, jisse chehre par kil muhanse nikalne lagte hai aur chehra bejaan sa dikhne lagta hai.
Aesa jadatar un logo mein hota hai jinki skin healthy na ho. Blackheads ki problem jadatar oily skin walo ko hoti hai.
Ye problem ladke aur ladkiyo kisi ko bhi ho sakti hai. Market mein milne wale mehnge beauty products buy karna
easy nahi, isliye is article mein hum blackheads hatane ke upay aur chehre ko sundar banana ke gharelu tips bata
rahe hai, Home Remedies to Remove Blackheads in Hindi.
Blackheads kisi bhi umar ki vyakti ko ho sakte hai. Par jo log apni skin ka khayal rakhte hai aur chehre par cleanser,
toner ya koi moisturizer lagate hai unhe ye problem hone ke chances kaafi kam hote hai. Bas main problem yahi hai
ki aaj ki life style mein hum itna busy hote hai ki ye sab karne ka samay nahi mil pata.
Jane Rang Gora Kaise Kare
Jane Chehre ko Khubsurat Banane ke Upay

Blackheads Kyu Hote Hai Causes


Pollution ki wajah se.
Oily Skin ke karan.
Hamare rom chidro ka bada hona.
Rom chidro mein mitti ya bacteria jama ho jana.
Tvacha ki safayi na karna

1/4

Harmons mein gadbadi hona.


Jada maatra mein cosmetic products paryog karna.

Blackheads Hatane ke Upay How to Remove Blackheads in Hindi


Simple tarike se blackheads nikalna bahut dard bhara ho sakta hai kyuki isme kisi stripe ya blackhead removal ka
paryog karte hai jisme bahut pain hita hai. Agar aap blackheads aur dead skin ki problem se pareshan hai aur iske
liye permanent solution chahte hai to niche bataye hue gharelu nuskhe apnaye.

Kisi bhi upay ko try karne se pahle check karle ki aapki skin sensitive to nahi hai, iske liye aap in tips
ko face par lagane se pahle haath ya pair par laga kar check kare agar kisi tarah ki koi allergy ya
reaction ho to aap bataye hue upay mein se koi dusra upay try kare.

1. Green Tea se Blackheads Kaise Hataye


Green tea health ke sath sath skin care ke liye bhi upyogi hai.
1 chammach green tea ki pattiyo ko paani mein pees kar paste bana le aur chehre par blackheads wali jagah
par lagaye aur fingers se halki halki maalish kare.
Ye upay ek natural scrub ki tarah kaam karega aur chehre ke rom chidro se tel bahar nikalta hai. Naak ki
dono taraf is leep ko 5 minute tak laga kar halki malish karne se blackheads saaf ho jayenge.

2. Baking Soda
Paani mein thoda sa baking soda mila kar ek paste bana le aur chehre par blackheads wali jagah par 20 se
25 minute ke liye laga kar rakhe aur uske baad gungune paani se chehre ko dho le, aapko blackheads se
chutkara milega.

3. Jaitun ka Tel
Jin logo ki skin dry hai vo jaitun ke tel aur oatmeal ko milakar ek paste bana le aur paryog kare. Isse blackheads
naturally aur eaisly remove ho jate hai.

4. Hara Dhaniya
Dhaniya ki pattiyo ko paani ke sath pees kar ek paste bana le aur isme thodi si haldi daal de.
Ab is paste ko 20 se 25 minute ke liye chahre par lagaye aur fir gungune paani mein dho le.
Agar blackheads bar bar hote hai to is paste ko rojana raat ko apne chehre par lagaye.

2/4

5. Yogurt (Dahi)
3 chammach dahi mein 2 chammach daliya(oats), 1 chammach jaitun ka tel aur 1 chammach nimbu ka ras
daal kar mix kar le.
Is paste ko 10 minute tak chahre par laga kar rakhe aur uske baad chehra dho le.

6. Nimbu ke Ras se Blackhead Kaise Hataye


Blackheads par nimbu ka ras lagane se bhi benefit milta hai. Din mein 2 se 3 bar nimbu ka ras blackheads
par lagane se saaf ho jate hai.
Agar chehre par kale daag dhabbe bhi ho to badam ke tel mein nimbu ka ras mila kar lagane se daag dhabbe
saaf ho jate hai.
Iske ilava aap nimbu ke ras mein kheere ke ras ki kuch drops mila kar bhi laga sakte hai.

7. Aaloo (Potato)
Blackheads nikalne ke liye kachhe aaloo ka paryog bhi kar sakte hai.
Kacche aaloo ko beech se kaat le aur usme andar ki taraf ched kar le taaki ras bahar nikal sake. Ab
blackheads wali jagah par massage kare.
Blackheads nikalne aur chehre ko sundar banana ke liye ye upay kaafi kargar hai, kyuki isse tavacha bhi
saaf ho jati hai.
Iske ilava aap 3 se 4 aalu pees kar unka paste bhi chehre par lga sakte hai.

Nose se Blackheads Nikalne ke Kuch Easy Tips in Hindi


Angoor ko achi tarah mash karke paste bana le aur blackheads pa lagaye. 15 se 20 minute mein ye paste
such jayega, ab aap halke garam paani se chehre ko dho le.
Ande(Egg) ka safed hissa blackheads par lagaye aur jab ye such jaye tab besan se chehre kon saaf kar le.
Rojana raat ko sone se pahle face ko achi tarah saaf kare. Isse face par pimples ayr blackheads nahi hoge.
Blackheads door karne ke liye nimbu k eras mein thoda namak mila kar 10 minute ke liye lagaye, fir thande
paani se chahre ko dho le. Namaki ki jagah aap sugar kar paryog bhi kar sakte hai.
Tamatar se bhi blackheads hatane ke upay kar sakte hai. Tamatar ka gudda chehre par ragadne se bhi
blackheads khatam hote hai.
Santre ka chilka kl sukha kar uska churan bana le. Ab is churan ko blackhead wali jagah par dhere dhere se
ragde.
Kele ka chilka blackgeads nikalne ke kaam aa sakta hai. Peesa hua kela ya fir kele ka chilka blackgeads
wali tavacha par ragde. Face beauty ke is upay se blackgeads puri rarah hat jaayenge.

Toothpaste se Blackheads Remove Kaise Kare

3/4

Blackheads hatane ke liye toothpaste ki ek patli parat kale dhabbo par lagaye. 20 minute ke baad chehre ko
ache se dho le. Shuruaat mein tooth paste lagane se jalan bhi ho sakti hai par ye thodi der mein hi kam ho
jayegi.

Face Beauty Tips in Hindi


Face par blackheads aur kale daag dhabbe gandagi jamne ki wajah se hote hai. Isliye iske solution ke liye chahre
se gandgi nikalna jaruri hai. Bazar mein kai tarah ke cleanser mil jate hai par aap natural tarike se bhi chehre ki
safayi kar sakte hai.
Ek cup mein 5 se 6 chammach kaccha doodh le aur usme cotton dubo kar apne face ke us hisse par lagaye
jahan kale dhabbe dikh rahe hai. Ab is jagah ko kuch der tak cotton se ragde. Is upay se chahre mein jami
dhool mitti ke kan bahar nikal jate hai.
Hafte mein ek baar face par scrub ka paryog kare. Chehre par scurbing karne se jami hui dhool mitti saaf ho
jati hai aur blackheads bhi nikal jate hai.
Chehre ko saaf karne ke liye multani mitti ka face pack bana kar bhi laga sakte hai.
Jane Ayurvedic Face Pack Hindi Mein

Blackheads se Bachne ke Upay


Besan ke paryog se blackheads se bacha ja sakta hai. Kisi bartan mein besan daal kar usme paani dale aur
ek paste bna le.
Ab is paste ko chahre par ungaliyo ki madaqd se lagaye aur halki malish kare.
Agar aap ye upay hafte mein ek bar kare to blackheads se bacha ja sata hai.
Agar aapke chehre par blackhead hai tab bhi aap ise kar sakte hai, isse blackhead ka ilaj bhi ho sakta hai.

Is article mein bataye hui face beauty home remedies mahilaye aur purush koi bhi paryog kar sakta
hai.

Ghar Par Makeup Karne ke Sahi Tarike


Pimples Keel Muhase Hatane ke 15 Tarike
Dosto Blackheads Hatane ke Upay, How to Remove Blackheads in Hindi ka ye article aapko kaisa laga comment
karke bataye aur agar aap ke pass naak(nose) ke blackheads aur chehre ki dead skin se chutkara pane ke natural
home remedies hai to hamare sath share kare.

4/4

S-ar putea să vă placă și