Sunteți pe pagina 1din 6

Yah Dehshat'gard

hain ?!

obama ho
kah
osama
ya koe aur;
ya donya ka koe harami tarein baad'sha,
eak aam admi ko os say kiya matlab kiya wasta.
siyasi madarioun
aur
mazhabi fatwa sazoun say bhi,
eak aam admi koe dilcaspi nahain rakhta.
Woh jiein marain
jannat jaein ya jahanum,
oon ka baira gharaq ho ya baira taiarta rahay,
kisi kamzour aur moflis shakhas ko es say kiya gharaz ho sakti hai?!
Eak aam admi ki zarourat seraf itni hai kah ossay aur os kay bivi bachoun ko sokh ki aur
paiat bhar roti milti rahay.
Os ka koe sakoun barbad na karay.
Likin donya kay her baadsha ki rouz-e-azal say pori pori koshesh aur dili khaesh rahi
hai kah awam sokh ka sanas na hi lain to sab acha hai ba'surat-e-digar os kay mouj
mailay main kami ya khalal aa sakta hai.
Oon ki kamae aur tamam wasael apnay khisay kar liay jaein.
Es zimun main koe choun charaan karay to ossay forun say pehlay tha kar dou.
Faraoun shadad namroud yazeed mar gay likin apnay ganday aur baad'bu'dar anday
bachay apni yaad main chour gay ta'kah woh donyan kay sakoun amun aur apnay hi
awam ki zindgioun ko awami bahboud aur asuli tour par baad'tar say baad'tar kartay
rahain aur khud mouj masti ki gozarain.
Woh aur os kay gamashtay aur dalal adaray roshni main nahaein khaein piain aur
kamao awam andhairoun main bhuki piyasi zindgi basar karay.

Mein eak ostad houn mujhy kisi bhi harami ya halali baad'sha say koe dilchaspi
nahain. Dozakh main sha aur os ki shahi kay din raat gozrain,
mujhy es say kiya .
Mein seraf aur seraf yah khaesh rakhta houn kah mairay students aatay waqtoun main
dou waqt ki roti kha sakain aur insanyana zindgi gozarain.
Woh kisi ko dokh na dain
aur
oon say koe jinay ka haq na chinay.

Jahanum main ja'ay osama ya obama,


kamzour logoun ka oon say ya oon kay baad'moash chori khoroun say kiya reshta,
kiya nata ya kiya laina aur daina.

Insan koe bhi mar diya ja'ay kisi bhi hath say qatl kar diya ja'ay, es say bhar kar koe
ghalt kaam ho hi nahain sakta. Insan ko marnay ya qatl karnay ki baja'ay os ki soni to
ja'ay, os kay jaez motalbaat aur masael haal kar diay jaein to kisi bhi sata par garbari
paida nahai hoti. Garbari ossi waqt paida hoti hai jab insan kay masael hal nahain kiay
jatay, os ki kamae par na'jaez (tex) daka dala jata hai ya woh zulm ka shakar hota.

Aaj donya kay kamzour log qatl ho rahay hain. Monsab aur Gora'house nawaz es
kaam ko darust qarar day raha hain. Donya kay tamam chamchay shah bai'his,
khud'gharz, aish'parast, bai'haya, bai'zameer bai'gairat, bai'sharam waghera waghera
ho gay hain.

Ghairoun ki kiya baat karni, Hajaz-e-Moqadas (naam'nihad saudi yahudi royal


khan'dan) kay hukam'ran jo pori insani baradri ki bhouk piyas mita saktay hain aur yah
oon ki Islami zima'dari hai, aankhain band kiay ya phir Sura Baqar kay motabiq Allah
nay oon kay diloun par mohar sabt kar di hai, kay masdaq apnay hal aur bai'mehnat
maal (aish-o-eshrat) main mast hain. Pori donya ki bhouk na'sahi apni Islami
Baradri ko to sahara day saktay hain.

amrika ya kisi aur faraoun ki aisi ki taisi jo donya kay kisi kamzour ki taraf aankh otha
kar bhi daikh lay. Hum khud itnay bai'zameer aur bai'ghairat ho gay hain jo in mothi
bhar logoun ko chout dikha rahay hain. Yahhi nahain hum oon kay bai'zameer
chamchay karchay aur gomashtay hain. Bai'zameer hukam'ran baat cheet ko la'yaeni
samjh kar goli kay hath main aman ki lagam day rahay hain to es bhuki piyasi aur
gher'yaqini zindgi karnay ka kiya faeda. Humain chahiay kah cholu bhar pishab
main naak dabo kar mar jaein.
Bai'ghairat zindgi say yah kahein behtar rasta hai.
Aaj dehshat'gardi ka kiya khoub paimana aur miar banaya giya hai:

Jo sach baat karay woh dehshat'gard.


Jo sarkari goli say mara ja'ay woh dehshat'gard.
Jo roti mangay woh dehshat'gard.
Jo kamzor aur ghareeb jaga (tex) dainay say inkaar karay woh dehshat'gard.
Jo ziyada sawal jawab karay ya zulm kay khalaf aawaz otha'ay ya tanqeed karay woh
dehshat'gard.
Jo insaf mangay woh dehshat'gard.
Jo merit ki baat karay woh dehshat'gard.
Jo marzi aur aazadi ki zindgi karnay ki baat karay woh dehshat'gard.
Waghera waghera

Arasto nay bohat pehlay kaha tha:


Riyasat maan ki tara hoti hai likin na'khalaf hukam'ran ossay apni
mankoha bana kar rakhtay hain.
Arasto ka kaha os ehad main kiya aaj bhi otna hi darust aur sachae par mabni hai.

Ghear to, gher tehartay hain likin yah apnay say ghear, gheroun say kahein baad'tarein
sabat howay hain. Paisay lay kar apni izzat amrika ko day daitay hain aur essay
mokhtalif tara say justify bhi kartay hain:
1. Agar hum na daitay to poray molak ko nashana banaya ja sakta tha.
Bakri ki zindgi gozarna thi to
aitam bamb bananay ki kiya zarourat tha.
Molak ka sara bajat fouj par kharch karnay ka kiya jawaz hai.
Fouj rouz-e-awal say apnay ya apni marzi kay sha kay liay motaharrak rahi.
Awaam ki behtari kay liay kiya howa hai.
Jang ki surat main ba'goli awam hi kottay ki mout mari hai aur la'ab yah othatay
rahay hain.
Koe sha sadar jarnaiel karnaiel bhi kabhi kisi nay jang main martay daikha hai?!
2. Qoam ki essi main behtari thi.
3. Dehshat gardi kay khatmay kay liay yah bohat zarori tha.
4. Hum amrika kay ithadi hain es liay batour ithadi yah kaam zarori tha.

sarkari goli ka nishana bachay bhi ban rahay rahay hain. Es zimun main shaed yah
socha ja raha ho ga kah yah baray ho kar dehshat'gardi phalaain gay lihaza aaj hi in ka
makko thap dou.
Na rahay banas na bajay bansri.
Masoum fareshay bhi ab dehshat'gard khahay ja rahay hain.
Kis say faryad ki ja'ay,
faryad sonnay walay essay jaez aur dehshat'koshi ka naam day rahay hain.
Ab chand dehshat'gard malahza houn:

Burning-Man-Iraq.jpg Pic.jpg r3003657664.jpg Pict27.jpg Afgha.jpg NoWArIraqiChild.jpg


iraq12yearold.jpg AFG_dead_children_55.jpg gaza_mother_dead_children.jpg

Israel-Continues-Attacks--001.jpg dead-child-killed-by-us-nato.jpg

ghazni_civilins_killed_by_nato_oct16_09.jpg Pict153.jpg Reg03.jpg

three_children_killed_by_us_israel.jpg two_dead_children.jpg

821370fee24658ceb6d019970fdf_grande.jpg aa-Vietnam-War-kids-fleeing-agent-orange.jpg

body_of_child_killed_by_us_attack.jpg c686105b5e5e4f65b08633e9e365890e.jpg

child_injured_us_illegal_invasion_iraq.jpg child_stands_beside_dead_children.jpg

Injured-child-600-pix.jpg Somalia%20Fighting_Kapl.jpg two_dead_bodies_children.jpg

murdered-afghan-kids.jpg 4868540.jpg 3144946177_58480fc008_o.jpg azizabad_video.jpg

baby_killed_by_us_is_buried.jpg bala_baluk_wounded.jpg Children.jpg gazaR_468x560.jpg

Irag_photo_Wikileaks.jpg us_attack_on_fallujah_baby_killed.jpg toddler_killed_us_attack.jpg Pict112.jpg

Pic.jpg ittihad_news-4_XOQoE_19672.jpg iraq_child_victim_us_war_attack_.jpg

gi-and-dying-iraqi-girl-0_22_450_baby.jpg four_children_morgue.jpg children_killed_by_us.jpg

child_killed_by_us.jpg carries_body_of_child_killed_by_us_shell.jpg baby-injured-by-nato.jpg

afghankids.jpg afghan-300x200.jpg 3654775509.jpg 6.jpg

five-killed-in-bahrain-protests-pic-ap-423825595.jpg gi-and-dying-iraqi-girl-0_22_450_baby.jpg
iraq_child_victim_us_war_attack_.jpg ittihad_news-4_XOQoE_19672.jpg Pic.jpg Pict112.jpg

toddler_killed_us_attack.jpg us_attack_on_fallujah_baby_killed.jpg Helmand.jpg

iraq_child_victim_us_war_attack.jpg iraq-children.jpg iraqigirl.jpg

kunar_feb20_2011_us_crime-300x212.jpg Law8694.jpg school-boys-killed-2010.jpg

skynews_619133.jpg AFG_afghan_dead_children.jpg afghan_child_killed_by_americans.jpg

afghan-civilian-casualties-by-rawa1.jpg afghanistan.png child_burnt.jpg children_dead.jpg

eight_year_old.jpg girl_wounded_in_iraq.jpg homeless_boy_sleeps_on_street.jpg kabul1a-UNI62566.jpg

markosian_Abzulit_Shauxalov_04feb11_480.jpg Pak2.jpg

photo_1306728023427-1-0.jpg photo_1306728023427-1-0.jpg

Red-Cross-assists-landmine-victims-in-Afghanistan_1.jpg

Opar kuch tasaveer paish ki gae hain sadri aur jarnaili karnaili aur dalal'dil hasab-e-mamoul dharkata
rahay ga likin insani dil apna tasalsil aur hawas yaqinun kho day ga.

Ay masoum Fareshto!
Mein bara kamzour moflis kangal aur borah admi houn.
Mein tumain kuch bhi nahain day sakta aur nahi tumharay liay kuch kar sakta houn.
Tumharay khazeer qatloun say badla nahain lay sakta likin tumhari mout par mairi
aankhoun nay un'gint ashkoun kay moti tumhari nazar kiay hain aur karti rahain gi.
Kamzour borah aur bakri'dil shakas aur kar bhi kiya sakta hai.

Haan mairay bohray kamzour aur kamptay hath dua kay liay
zarour othay hain:
Ay Allah in bai'rehim khanzeer qataloun ko lambi magar baad'tarein, baad'naseeb aur
intahae khouf'nak umr ata farma aur yah her lamha sisak sisak kar gozarain.

Ay Allah in kay abdan main aisay kiray paida kar day jo in ka chain aur sakoun chain
lain.

Ay Allah yah marna chahain likin in ko mout na aa'ay.


Ay Allah eak insanoun jinoun aur fareshtoun ki aisi nasal paida farma jo qiyamat tak in
par lanatain baijti rahay.

Ay Allah inhain aisi bhouk ata farma jis ki taskein aag aur taizab say hoti ho.

Ay Allah en par toba aur moafi ki qaboliat kay tamam darwazay band farma day.

Ay Allah in kay khanzeer say baad'tar cehray bana day.

Ay Allah in khanzeer qataloun ki nasloun ko naiki ki hadaet ata farmana aur oon kay
diloun main insan ki izzat aur mohabat ko ojagar farmana.
Yah bhi kah woh bachoun say dili olfat mohabat aur shafqat karain.

Ay Allah in masoum Fareshtoun kay qatloun ko kabhi bhi moaf na karna aur in ka
thikana haviay ki barkati hoe baad'tarein aag banana.

Qatlo!
Tum par:
Qiyamat tak aur os kay b'ad bhi
Allah,
Os kay saray Rasoloun,
Os kay saray Fareshtoun
Os ki sari Nari makhlouq
aur
Os ki sari ki sari makhlouq ki bai'shumar lanat ho
lanat ho
lanat ho
lanat ho.
Dard-e-Dil rakhnay walo
kaho,
Amein.

S-ar putea să vă placă și