Sunteți pe pagina 1din 4

~Don't Overburden Yourself in Religion~

Allah desires ease for you;


He does not desire difficulty for you.

Allah (Subhanuhu Wa Ta'ala)


tumhaare liye aasaani chahete hain;
woh tumhaare liye mushaqqat nahi chahete.

(Al Qur'an ~ Surah al-Baqara, 185)

Allah likes the religion


which is true, straight and easy

Narrated Abu Huraira (may Allah be pleased with him):


The Prophet (peace be upon him) said,

" Religion is very easy


and whoever overburdens himself
in his religion
will not be able to continue in that way.
So you should not be extremists,
but try to be near to perfection
and receive the good tidings
that you will be rewarded;
and gain strength by worshipping
in the mornings, the nights."

~ Urdu Translation (transliteration) ~

Allah ko woh Deen pasand hay


jo sachcha, seedha aur aasaan ho

Hazrat Abu-Hurairah (radi'Allahu anhu) say


Aan-Hazrat (sall'Allahu alaihi wa sallam) nay fermaya,

"Bay-shak (Islam ka) Deen aasaan hay


aur Deen mein jo koi sakhti kare ga
to Deen iss per ghalib aaye ga
iss liye beech beech ki chaal chalo
aur afzal kaam
(na ker sako to kam-az-kam afzal kaam)
ke nazdeek raho
aur sawaab ki ummeed rakhte hue khush raho.
Aur taqat/qoowat haasil karo
subah ki ibadat se aur raat ki ibadat se.

(See Fath-ul-Bari, Page 102, Vol 1).

Bukhari Sharif, Volume 1, Book 2, Number 38.


Do (good) deeds
which is within your capacity

Narrated 'Aisha (may Allah be pleased with her):

Once the Prophet (peace be upon him) came


while a woman was sitting with me.

He (peace be upon him) asked, "Who is she?"


I replied, "She is so and so,"
and told him about her (excessive) praying.

He (peace be upon him) said disapprovingly,

"Do (good) deeds which is within your capacity


(without being overtaxed)
as Allah does not get tired (of giving rewards)
but (surely) you will get tired
and the best deed (act of Worship)
in the sight of Allah is that
which is done regularly."

~ Urdu Translation (transliteration) ~

Apni taqat aur salahiyat ke daa'irah mein


rah kar (neik) aamaal karo

Hadhrat Aai'sha (radi'Allahu anhu) riwayat karti hai ke:


Ek dafa Nabi (sall'Allahu alaihi wa sallam) tashreef laaye
jabke ek khatoon mere paas baithi huyee thein..

Unhon ne daryaaft farmaya ke


'woh kaun hai?',

Main ne jawaab diya woh falaan falaan hai


aur uss (khatoon) ki
namaaz (ki ziyadatioon) ke baare mein bataya.

Aap (sall'Allahu alaihi wa sallam) ne


radd (na-qabille qubool) karte huye bataya ke:

"Apni taqat aur salahiyat ke daa'irah mein rah kar


(neik) aamaal karo (Beghair ziyadati ke)
kiyonke Allah Ta'ala (Sawaab dene se) nahi thakte
lekin (Yaqeenan) tum thak jaoogee
aur sab se behtareen aamaal (ibadat)
Allah Ta'ala ki nazron mein woh hai
jo mustaqil kiya jaaye."

Bukhari,Volume 1, Book 2, Number 41.

S-ar putea să vă placă și