Sunteți pe pagina 1din 4

Bismillaahir Rahmaanir Raheem

Ghairmuakllid Muhaqeeq Dawood Arshad Sahab ki Jhoot aur Bad-diyanti per


Ek Nazar
Seene per hath bandhna liye Gairmuqallideen ka Mashoor Masala hai. Lekin is
masale ko sabit karne ke liye Gairmuqallideen ko kitna jhoot bolta he aapke
samne Pesh-e- Kheedmat he.
Barelvi Maslak ke ek mashoor Aalim Mufti Ahmed Yaar Naeemi Sahab ne ek Kitab
Jaa-Al-Haq likhi jo ke kafi mashoor kitab hai. Iske jawab me Gairmuqallideen ke
ek muhaqeeq Abu Shoib Muhammed Dawood Arshad Sahab ne Kitab likhi Jiska
naam hai Deen Al Haq Ba-Jawab Jaa Al Haq hai. Is kitab main Mufti Ahmed
Yaar Naeemi Sahab ke pesh kirda dalail ke jawab diye gaye hai.
Is Kitab ka Muqadma Mashoor Gairmuqallid Muhammed Yaha Gondluvi ne likha Aur
Uske sath sath Us ki Tareef Mojoodah Dor ke mashoor Gairmuqalled Allama
Mubashir Ahmed Rabbani ne bhi ki hai.
Is kitab me Muhammed Dawood Arshad Sahab Jahan Naaf ke neechay haath
bandne ke barain main Mufti Ahmed Yaar Naeemi Sahab ke hawale per aitrazaat
kia hai wahi Seene per hath bandhne ke Bare me Dalaail bhi bayan kia hai. Lekin
chunke Seene per Haath bandne wali riwayat zaef hai isliye Dawood Arshad Sahab
ne apne dalail bayan karne ke duaran Kayi Jhoot Bole hai. Unhone ek Riwayat pesh
ki Hazrat Halab (Radiallahu Anhu) Se aur Likhte he ke

''







Dawood Sahab ne Hawala diya Musnad Ahmed Jild, Sifa 226
Tarjuma: Maine Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam. ko Dekha ke Namaz me
Ikhtetam me Dayen Aur Bayen Salam pherte they aur Namaz me Seene par Hath
Rakhte they. [Deen Al Haq Ba-Jawab Jaa Al Haq, 1/217]
Scan Page: http://i.minus.com/ik1lgwJsfDh4q.jpg
Lekin Musnad Ahmed main Hazrat Halab (Radiallahu Anhu) se ye riwayat aise nahi
hai jaise ke Dawood Sahab ne bayan ki hai. Kyu ke Dawood Sahab ne khaynat
karte hue Hadees ke alfaaz tabdeel kardiye hai aur iske ilawa unhone Sand
bayan he nahi ki takay koi Musnad Ahmed se riwayat check karle kyu ke Musnad
Ahmed main iski sanad zaef hai.
Musanade Imam Ahmed Ki Riwayat ye hai, Mulhaza ho.


" : , ,
, , "




,


"
:

, "

,

) (
Scan Page: http://i.minus.com/iJ3yFUMYhDUyJ.jpg
Dawood Sahab ke Khayanat wa Jhoot Mulhaiza ho:
1) Is Riwayat me Namaz ka Alfaz hai Nahi he Jabke Dawood Sahab ne Tarjuma
Karte huwe apny Marzi se usme Namaz ke alfaz shameel kar diye
2) Dawood Sahab ne apna Mouquff sabit karne ke liye khayanat ye kee ke is
Riwayat se

)"
:

, "

(
Ye alfaz nikal diye
3) Lafz Hadah ko Yadhu se Tabdeel kar diya.
Is Tarah ye Puri riwayat me ye tabdeele ho gayi.
Dawood Sahab ne ye riwayat apne hisab se tabdeel karne ke baad mazeed 2 aur
jhoot bole:
4) Dawood Sahab likhte hai Imam Tirmizi (Rahimahullah) ne aur Allamah Nemwi
Hanafi (Rahimahullah) ne is iski sanad ko Hasan Tasleem kiya he. [Deen Al Haq
Ba Jawab Jaa-Al-Haq, 1/218]
Scan Page: http://i.minus.com/iYwGppG71ht2O.jpg
Dawood Sahab ka jhoot hai ke Imam Tirmzi (Rahimahullah) is riwayat ke sanad ko
Sahih Kaha hai. Kyu ke Hazrat Halab (Radiallahu Anhu) ki ye riwayat Jame Tirmizi
mai is sanad aur is alfaaz ke saath mojood he nahi. jin Alfaz ke sath Dawood Sahab
ne pesh ki hai
Iske ilawa Imam Tirmizi (Rahimahullah) Ne Hazrat Halab (Radiallahu Anhu) Ki Jis
hadees ko Hasan kaha he uskie Sanad bhi Mukhtaleef hai. To Dawood Sahab ne
Imam Tirmizi (Rahimahullah) kee Taraf Jhoot ki Nisbat ki hai.
Scan Page: http://i.minus.com/ibkN0Be8dRAzuN.jpg

5) Allamah Nemwi Hanafi (Rahimahullah) ka Hawala diya ke Unhone Asaar asSunan me is Riwayat ko Hasan Tasleem kiya ha. Lekin yaha bhi Dawood Sahab ne
Gair-Muqalledeen ke Rosh pe chalte hue khayanat kar dali. Dawood Sahab ne
Allamah Nemwi Hanafi (Rahimahullah) ka Muqammal Hawala pesh he nahi kiya
balke Aadha Hawala pesh kiya he Aur Baki Aadha hawala chod diya kiyu ke Agar Us
Hawale ko Muqammal pesh karte to us Riwayat kee haqeeqat sab ke samne aajati.
Allamah Nemwi Hanafi (Rahimahullah) ne ye Riwayat un Alfaz ke sath Bayan he
Nahi ki Jin Alfaz ke sath Dawood Sahab ne pesh ki. Allamah Nemwi Hanafi
(Rahimahullah) ne ye Riwayat Musnade Ahmed se pesh kee Aur musnade Ahmed
kee Riwayat kee Sanad ko Hasan Tasleem Kiya. Lekin Uske sath Aage wazahat ki
ke Musnad Ahmed ki Us Riwayat ki sanad me "
'' ke Alfaz Gair-mehfooz hai
[Asaar as- Sunan]
Scan Page: http://i.minus.com/ibfxjuYscuco61.jpg
Lekin Dawood Arshad Sahib ne khayanat Karte Huwe sirf Itna bayan kiya ke Us
Riwayat ki sanad hasan he aur Aage ka Hawala Chod diya.

6) Ghairmukallideen ke Maulana Dawood Arshad Sahab Maraaseel Abu


Dawood se Ek Rayawat bayan karke likhte hai hai Iski Sanad Imam Tawoos
tak bilkul Sahih hai. [Deen Al Haq Ba-Jawab Jaa Al Haq, 1/218]
Scan Page: http://i.minus.com/iYwGppG71ht2O.jpg

Ye Dawood Sahab ki Jhoot hai ke iski Sanad Sahih hai. Kyunke ye riwayat
zaeef hai aur Allamah Nemwi Hanafi (Rahimahullah) ne isko za'eef bayaan
karne ke ba'd iski sanad me ek rawi ko bhi za'eef bayaan kiya hai.
Chancha Allamah Nemwi Hanafi (Rahimahullah) ye riwaayet likhne ke ba'd
likhte hain ki ise Abu Dawood ne apni Maraaseel me bayaan kiya hai, lekin
iski sanad za'eef hai.
Aur uski wajah bayaan karte huwe likhte hain ki ''Za'eef hone ke saath saath
iski sanad me Sulaimaan bin Moosa hadees me narmi baratne waale hain
aur Imaam Bukhaari (Rahimahullah) ke nazdeek Munkar ul Hadees, aur
Imaam Nasai (Rahimahullah) ne farmaaya ki Qawi nahi hai, aur Al-Tqreeb
me Sudooq aur Faqih kehne ke saath saath hadees me narm aur aakhri umr
me Makhloot ul Kalaam farmaaya hai.'' [Asaar as- Sunan]
Scan Page: http://i.minus.com/i4rMiLMuxf6p8.jpg

Iske elaawa Is riwaayet ke rawi Sulaimaan bin Moosa ke baare me Imaam


bukhari (Rahimahullah) bayaan karte hain ki '' hadees me qawi nahi hain''
[Kitaab uz zu'faa lil Bukhari 186]
Scan Page: http://i.minus.com/iAts5MXCPQxZc.jpg

Jis riwaayet ki sanad za'eef hai us riwaayet ko Dawood Arshad saahab Sahih
keh Kar logon ko dhoka dene ki koshish kar rahe hain.
7) Maulaana Ahmed Yaar Naeemi Sahab ne Allamah Ibn Hazam ki kitaab
se ek riwayat Hazrat Anas (rez.) ki bayaan ki hai Daahena haath Baayen
haath pe Naaf ke neeche rakhna Nabuwwat ke akhlaaq me se hai. Is riwayat
pe aittraaz karte huwe Maulana Dawood Arshad Sahab Likhte hain ki ''Bila
shubah Imaam Hazam ne ise bayaan kiya hai magar iski sanad bayaan nahi
ki........ Khud Imaam Hazam ne saraahat ki hai ki iski Sanad nahi hai yeh
bila sanad hi hai'' [Deen Al Haq Ba-Jawab Jaa Al Haq, 1/226]
Scan Page: http://i.minus.com/iUWxDQDEjk2bn.jpg

Is hawaale me Dawood Arshad Sahab ne Ibn Hazam ki taraf Jhoot mansoob


kiya hai. Ye baat sahih hai ki Allama Ibn Hazam ne apni kitaab me ye
riwaayet bila sanad bayaan ki hai lekin Ibn Hazam ne ye saraahat nahi ki ki
is riwaayet ki sanad nahi hai.
Scan Page: http://i.minus.com/ibwDL3jEwlqLF.jpg

Allama Dawood Sahab ne ye jo kaha hai ki ''Allama Ibne Hazam ne


saraahat ki hai ki iski sanad zaeef hay ye baat jhoot hay.
Mene Aapke saamne Gairmuqallid ke sirf ek Riwayat Ke bare me ye chand
Jhoot aur bad-diyantiyan Bayan kiye Takay Logon ko (Naam Nihaad) Ahle
Hadees ki Haqeeqat pata chale ke Ye kis tarah Logon ko Gumrah karte hai.

By: Ghulam Khatam An-Anbiyeen Sallallahu Alaihi Wasallam


Mohsin Iqbal

S-ar putea să vă placă și