Sunteți pe pagina 1din 3

Exam Mein Top Karne ke Liye Padhai Kaise Kare- Jaruri

Tips Hindi
kyakyukaise.com /study-mein-top-kaise-kare-padhayi-karne-ke-tips-hindi/
By Govind
Top Kaise Kare: Jo students exams mein top karte hai vo bhi normal bacho jese hi hote hai, unhe bhi class mein
wahi teacher padhata jo aapko padhata hai, unka syllabus bhi sabke jesa hi hota hai. Ab question ye hai ki jab sab
kuch ek jesa hi hai to topper aur average students mein kya difference hai. Dosto farak sirf itna hai ki top karne wale
student ka padhayi karne ka tarika thoda alag hota hai, jis wajah se unke ache marks aate hai. Is article mein hum
aapko aise hi kuch study tips in hindi batayenge jisse aap samaj sakenge ki exam mein top karne ke liye padhai
kaise kare.
Agar aap apni class main ek average students hai aur chahte hai ki ab aap ko bhi class ke topper students mein
gina jaye to aapko thodi mehnat karni hogi aur apni padhai ke tarike ko thoda sudharna hoga.
Jane Padhayi Mein Man Kaise Lagaye

Exam Mein Top Kaise Kare


Topper Banne ke Liye Padhai
Kaise Kare

1. Class Bunk Na Kare


1. Agar aap class mein top karna chahte hai
to har roj class attend kare, kyuki teacher
class mein jo kuch bhi padhata hai vo
basic se shuru karta hai aur ek bar kisi
cheej ka basic clear ho jaye tab topic jaldi samjh aa jata hai.
2. Sath hi ye bhi dekha gya hai ki class mein jo padhaya jata hai unhi topics mein se jadatar questions exam
mein puche jate hai.
3. Agar kisi wajah se aap school ya college nahi ja paye to apne classmate se us din ke topic ke notes le aur
padhe.

2. Technology Ka Sahara Le
1. Aap apni padhayi ke tarike ko aur behtar bnane ke liye computer aur mobile ka sahara bhi le sakte hai.
2. Internet par apne subject se related topic search kare aur use detail mein padhe. Aap videos dekh kar bhi
sikh sakte hai.
3. Mobile mein aapko har tarike ki application mil jayegi. Apne subject se related application search kare aur
use study kare.

1/3

4. Dhyan rahe study ke time aap sirf syudy hi kare kahi aesa na ho laptop par aap facebook ya koi aur website
khol kar baith gaye ya mobile par wassup chat karne lage. In sab cheejo ko aap padhayi ke baad bhi kar
sakte ho.

3. Last Years ke Question Paper Solve Kare


Ache number lane ho ya class mein top karne ka lakshay ho aap pichle kuch saalo ke question papers jarur dekhe.
Isse aapko important topics ka idea hoga aur exam ke pattern ka bhi pta lagega. Question papers solve karke unke
notes bana le jisse exam se pahle quick revision karne mein aasani hogi.
Jane Yaddasht Badhane ke Upay

4. Study Ke Liye Notes Banaye


1. Books se padhte samay apne pass ek pen copy rakhe aur notes banaye. Ya fir aap heighlighter ki help se
book par lines ko heightlight kar sakte hai.
2. Notes mein topic ko detail me likhne ki bajay uske important points likhe. Isse next time wahi topic padhne ke
liye aapko books se detail mein nahi padhna hoga, notes padhte hi aapko sab yaad aa jayega ki is topic ki
kya details hai.
3. Exams ke time quick study mein ye notes aapko jaldi revision karne mein bhi help karenge.

5. Ratta Marne se Bache


1. Agar aap kisi cheej ko yaad karne ke liye ratta marenge to aap kuch samay baad use bhul jayenge aur fir agli
baar use padhne ka man bhi nahi karega.
2. Ratta marne ki bajay aap us topic ke basic clear kare. Agar aap ko kisi topic ki basic knowledge hai to aap us
topic par bina padhe aur yaad kiye bhi bahut kuch likh sakte ho.
3. Agar aap janana chahte hai ki class mein top kaise kare to apne topper student se bhi jaruri tips le aur jane
unka yaad karne ka tarika kya hai.

6. Time Table Follow Kare


Agar ache marks lane ke liye aap raat ko der tak padhte hai ya subh 4 baje uth kar padhte hai to uska koi fayda
nahi. Aap ko apna time table set karna hoga aur har roj usike anusar padhna hoga. Time table mein sabhi subjects
ko time de aur jis subject mein aap kamjor hai uske liye thoda extra time rakhe. Agar aap time table ko sahi tarike se
follow karenge to aap sabi subjects ki preparation ache se kar payenge.

7. Apne Aapko Distraction se Door Rakhe


Distraction matlab dhyaan bhatakna. Agar aap apna lakshay paana chahte hai aur chahte hai ki class mein topper
students mein aapka naam ho to kisi bhi tarah ki distraction se bache aur pura dhyan apni padhai par lagaye.
Facebook, whatsup, girl friend, boy friend kuch aesi cheeje hai jo padhayi se aapko distract karti hai aur aapki

2/3

concentration kharab hoti hai. Isliye jab bhi padhne baitho apna mobile phone aur laptop ka paryog na kare aur sirf
padhayi par concentrate kare.
Jane Meditation Kaise Kare

8. Khud ko Appreciate Kare


1. Kabhi kabhi aage badhte rahne ke liye hame motivation ki jarurat hoti hai. Agar ache numbers ya grade lena
aapko motivate rakhne ke liye kafi nahi to padhayi mein man lagaye rakhne aur pahle se bhi behtar result
lane ke liye khud ko koi gift ya reward de.
2. Aage badhte rahne ke liye apni success ko celebrate karna bhi jaruri hai par vo celebration kuch samay tak
hi hona chahiye. Apne celebration mein apne parents, classmates aur dosto ko bhi shamil kare.

9. Exams ke Samay Tension Na Le


1. Agar aap classes attend nahi karenge aur time table ko bhi sahi tarike se follow nahi karenge to aapka
syllabus complete nahi ho payega aur aapko exams ke dino mein syllabus complete karne ki tension rahegi
jisse aapki tyari par bura asar padega.
2. Agar aap upar bataye hue tips ko sahi tarike se apnayenge to exams se pahle aap tension free rahenge aur
relax mind se papper attempt karenge.

Study Tips in Hindi


Jab hum kisi subject mein weak hote hai to use padhne se katrate hai jese math. Par aapne apni class mein aese
students bhi dekhe honge jinka sab se intresting subject hi math hai. Ye aapke liye bhi ho sakta hai, aap bhi apni
kamjori ko apni takat bana sakte hai. Jis subject mein kamjor hai use padhne ke liye extra time de aur agar kuch
pareshani ho to apne teacher aur classmate ki help le.

Is article mein bataye gye study tips ko agar aap regularly follow kare aur man laga kar padhai kare
to aap exams mein ache marks se pass ho sakte hai aur top bhi kar sakte hai. Topper student banne
ke liye apni soch ko positive rakhe aur yahi soche ki aap bhi class mein top kar sakte hai, bas jarurat
hai discipline aur mehnat ki.

Gussa Kam Karne ke Upay


Study Tips for Students in Hindi
Dosto Exam mein top kaise kare, topper banne ke study tips in hindi ka ye lekh aapko agar acha lage to apne
friends ke sath bhi share kare aur agar aap ke pass ache marks lene ke liye padhai karne ke tips hai to comment
karke hamare sath share kare.

3/3

S-ar putea să vă placă și