Sunteți pe pagina 1din 3

Iss Saadgi Pe Kaun Na Mar Jaye Ae Khuda.....

Ladte Hain Aur Haath Mein Talwar Bhi Nahin......!!!!!!!!!!! Mirza Ghalib
Achi Surat Ko Savarne Ki Zarurat Kya Hai
Sadgi Mein Bhi To Qayamat Ki Ada Hoti Hai .

Begangi-e-Dil

Kahate hain mujhase ishk ka afsana chahiye


Rusvayee ho gayee tumhe sharmana chahiye

woh log bahut khush kismat thay


jo ishq ko kaam samajhte thay
ya kaam se aashiqui karte thay
ham jeeteji masroof rahe
kuchh ishq kiya, kuchh kaam kiya
kaam ishq ke aare aata raha
aur ishq se kaam ulajhta raha
phir aakhir tang aakar ham ne
dono ko adhoora chhor diya
Faiz Ahmed Faiz

Kuddar itanee fitarate rindana chahiye


Sakee yeh kud kahe tujhe paimana chahiye
Aasheek bagair husno jawanee fujul hai
Jab shamma jal gayee hai toh parwana chahiye

Aankho me dam ruka hai kisee ke liye jurur


Warna marije hijrr ko mar jana chahiye
Wada tha unake rat ke aane ka ai kamar
Abb chand chhup gaya unhe aa jana chahiye

dekh kar aap ki jawaani ko aarzu e sharaab hoti hai


roz tauba ko todta hoon main roz niyat kharaab hoti hai
saaki ke gesuon ki hawa khaa raha hoon main
aur iss hawa ke saath uda jaa raha hoon main
eh wahshat e khayaal nateeja tere supurd
saagar ko qayanaat se takra rahah hoon main
jaata hoon bazm e hashar main is bedili ke saath
jaise kisi raqeeb ke ghar jaa rahah hoon main

Kaun hai jisne mai nahi pi hai, kaun jhuthi kasam uthaata hai
Maikade se jo bach nikalta hai, teri aankhon mein dub jaata hai
(Jab ghir ke aayi kaali ghata, rindon ne kahaan ji bhar ke pila
Inkaar kiya jab saaki ne paimaane tut gaye, paimaane tut gaye) - 2
Jab aaye sharaabi masti mein, sab dub gaye yuun masti mein
Hungaama huwa ek basti mein, hungaama huwa ek basti mein
Log aaye jab maikhaane tak, paimaane tut gaye, paimaane tut gaye
Saaki ki nakaabu ulat-te hi, kimat na rahi paimaane ki
Raunak hi gayi maikhaane ki, raunak hi gayi maikhaane ki
Sab pine lage jab aankhon se, paimaane tut gaye, paimaane tut gaye
Saaki ki nazar jab tang huyi, sheeshon ki kismat sang huyi
Yuun saari faza berang huyi - 2
Maikhane mein aise jung huyi, paimaane tut gaye, paimaane tut gaye
Jab ghir ke aayi kaali ghata, rindon ne kaha ji bhar ke pila
Inkaar kiya jab saaki ne, paimaane tut gaye, paimaane tut gaye
Paimaane tut gaye, paimane tut gaye

Majnu Hai hum par khwaish-e-Laila Nahi Karatein


Hum ishq to karate hai par tamanna Nahi Karatein

Dil Abhi Tak Jawaan Hai Pyare


Kis Musibat Mein Jaan Hai Pyare

dair o haram ki gard bahut door reh gayi


shayad ke maikade ke kareeb aa raha hoon main
mujhse bhi saada lauh koi hoga e adam
kasdhan kharaab hone ko phir jaa raha hoon
aapke waaste gunah sahi hum piyein toh sawaab banti hai
sau ghamon ko nichorne ke baad ek qatra sharaab banti hai
hum apni shaam ko jab nazre jaam karte hain
adab se humko sitaare salaam karte hain
gale lagaate hain dushman ko bhi suroor mein ham
bahut bure hain magar nek kaam karte hain
sajayein kyun na ise ye sarai hai dil ki
yahan haseen musafir kayaam karte hain
hayaat bech de thode se pyar ke badle
ye karobaar bhi tere ghulam karte hain
hamein tu ek nazar se nawaaz le saaki
ham apne hosh o khirad tere naam karte hain
'Qateel' kitne sukhan saaz hain ye sannate
sukoot e shab mein jo hamse kalaam karte hain

Tu Mere Hal Ka Khayal Na Kar


Is Mein Bhi Ek Shaan Hai Pyare

Saqi Sharab La Ke

Raat Kam Hai Na Ched Hijr Ki Bat


Ye Badi Daastaan Hai Pyare

Jaane Kya Kah Diya Tha Roz-E-Azal


Aaj Tak Imtihaan Hai Pyaare

Yeh alag baat hai saaki ke mujhe hosh nahi


Varna main kuch bhi hoon
Yeh alag baat hai saaki ke mujhe hosh nahi
Varna main kuch bhi hoon ehsaan faramosh nahi
Kaun hai jisne mai nahi chakkhi
Kaun joothi kasam uthata hai
Maikade se jo bach nikalta hai
Teri aankhon mein doob jaata hai

Main Tujhe Be-Wafa Nahin Kahta


Dushmanon Ka Bayaan Hai Pyare

Mudrib rabaab utha ke tabiyat udaas hai


Saqi sharab la ke tabiyat udaas hai

Saari Dunya Ko Hai Ghalat-Fahmi


Mujh Pe Tu Mehrabaan Hai Pyare
HAFEEZ JALANDHARI

Chubhati hai talbon jaam mein sitaron ki roshni


Aye chaand doob jaa ke tabiyat udaas hai

Talkh Kar Di Hai Zindagi Jis Ne


Kitni Meethi Zabaan Hai Pyare

Kuch Ishq Kiya, Kuch Kaam Kiya


Kuch ishq Kiya Kuch Kaam Kiya

Shayad tere labon ki chatak se ho jee bahaar


Aye dost muskura ke tabiyat udaas hai

Hai husn ka fusror bhi ilaze fasurdgi


Rukh se naqaab utha ke tabiyat udaas hai

Akele hain wo aur jhunjhla rahe hain

Maine kabhi ye zid toh nahin ki faraze shab


Aye chand doob ja ke tabiat udaas hai

Akele hain wo aur jhunjhla rahe hain


Meri yaad se jang farma rahe hai

Tauba toh kar chuka hoon magar phir bhi aye naveen
Thoda sa zahar la ke tabiyat udaas hai.

Ilaahi mere dost ho khairiyat se


Ye kyoon ghar me patthar nahi aa rahe hai

Rooh pyaasi kahan se aati hai,


ye udaasi kahan se aati hai

Bahut khush hai gustakhiyon par hamari


Bazahir jo barham nazar aa rahe hai

hai vo ik sar supardagi to bhalaa,


badhawaasi kahan se aati hai,

Ye kaisi hawa-e-tarkki chali hai


Diye to diye dil bhuje ja rahe hai

vo hum aagosh hai, to phir dil men,


naasipaasi kahan se aati hai,

Baharon me bhi may se parhez tauba


Khumar aap kaafir hue ja rahe hai

ek zindaan-e-bedili aur shaam,


ye sabaa si kahan se aati hai,

Khumar Barabankvi

tu hai pehloo men, phir teri khushboo,


ho ke baasi kahan se aati hai,

Acha KhaSa Baithe Baithe Gumm Ho Jata Hon

dil hai shab sokhtaa, siwaay umeed,


tu nidaa si kahan se aati hai,

Ab Main AkSar Main Nahin Rehta TUM Ho Jata Hon..!! Anwar Shuoor

main hoon tujhmen aur aas hoon teri,


tu niraasi kahan se aati hai,

Hum waha hai jaha se hum ko bhi kuch hamari khabar nahi hoti (Mirza
Ghalib)

Jaun Elia

tumhara husan agar benaqab ho jaye


har ek chehra khuda ki kitab ho jaye

--Najuk tere marij-e-mahobatka haal hai.


Din kat gya hai par raat ka ktna muhal hai.

jo qayede sa naho tou fuzool hay sajdaa


adab k saath khata bhi sawab ho jayee

aap ki yaad aati rahi raat bhar - Faiz Ahmad Faiz (MakHdoom ki yaad
mein)

sharabion ko aqeedat hay is qadar tum se


jo tum pila dou tou pani sharab ho jayeee

aap ki yaad aati rahi raat bhar


chashm-e-nam muskuraati rahi raat bhar
aap ki yaad aati rahi

dil us ka namazi ban jayeee


ankh us ki gulabi ho jayee

raat bhar dard ki shamaa jalati rahi


gam ki lau tharatharaati rahi raat bhar

jis ko tu mohabbat se dekhay


saqi woh sharabi ho jayeeeee <3 Lahori

baansuri ki surili suhaani sadaa


yaad ban banake aati rahi raat bhar

Yebhi to ek dalil hai uske hone ki

yaad ki chaand dil me utarati rahi


chaandani dagamagaati rahi raat bhar

Jab tak na maniye use dil manta nahi

koi divaanaa galiyo me phirataa rahaa


koi aavaaz aati rahi raat bhar
NAZEER QAISAR
Chand ko poora hone do...

Hath Nikle Apne Dono Kaam Ke..


Dil Ko Thama Unn Ka Daman Tham Ke.. Daagh Dehlvi
Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahin milataa
kahin jmin to kahin asamaan nahin milataa

Benaam saa ye dard thhahar kyon nahin jaataa


jo bit gayaa hai wo gujr kyon nahin jaataa

jise bhi dekhiye wo apane ap men gum hai


jubaaan mili hai magar hamajubaaan nahin milataa

sabakuchh hai kyaa dhundhati rahati hain nigaahen


kyaa baat hai main wakt pe ghar kyon nahin jaataa

bujhaa sakaa hai bhalaa kaun wakt ke shole


ye aisi ag hai jis men dhuaan nahin milataa

wo ek hi cheharaa to nahin saare jahaaan men


jo dur hai wo dil se utar kyon nahin jaataa

tere jahaan men aisaa nahin ke pyaar n ho


jahaaan ummid ho isaki wahaaan nahin milataa - nida fazli
-

main apani hi ulajhi hui raahon kaa tamaashaa


jaate hain jidhar sab main udhar kyon nahin jaataa
wo naam jo barason se, naa cheharaa naa badan hai
wo khwaab agar hai to bikhar kyon nahin jaataa
Nida Fazali

tere dar se uTh kar jidhar jaauuN maiN


chaluuN do qadam aur Tha'hr jaauuN maiN
agar tuu Khafaa to parvaah nahiiN
teraa Gham Khafaa ho to mar jaauuN maiN

tabassum ne itnaa DaNsaa hai mujhe


kalii muskuraaye to Darr jaauuN maiN
sambhaale to huN Khud ko tujh bin magar
jo chhuu le ko'ii to bikhar jaauuN maiN - khumar barabankvi
teri baat hi sunaane aaye, dost bhi dil hi dukhaane aaye
phool khilte hain, to hum sochte hain, tere aane ka zamane aaye
shayad mujhe nikaal ke pachta rahe ho aap
mehfil mein is khayaal se phir aa gaya hoon main
mehfil mein baar baar kisi par nazar gai
humne bachai laakh, magar phir udhar gai
unki nazar mein koi to jaadu zuroor hai
jis par padi, usi ke jigar tak utar gai
us be-wafaa ki aankh se aansu jhalak pade
hasrat bhari nigah, bada kaam kar gai
unke jamaal-e-rukh pe unhi ka jamaal tha
woh chal diye, to raunak-e-shaam-o-sahar gai
unko khabar karo ke hai Bismil Qareeb-e-marg
woh aayenge zuroor, jo un tak khabar gai
Gair lei.n mehfil mei.n bose jaam ke
ham rahe.n yu.n tashna-alab paigam ke
Khat likhe.nge garche matlab kuchh na ho
ham to aashiq hai.n tumhaare naam ke
ishq ne Ghalib nikammaa kar diyaa
varnaa ham bhi aadmi the kaam ke
koi ummeed bar naheen aatee
koee soorat nazar naheen aatee

Aji janaab
Khushi ke mauqe par
Kya bedili kaa raag
Chheda huaa hai
Koi khushi kaa git sunaaiye
Ham gam zadaa hai laaye
Kahaan se khushi ke git
Kahaan se khushi ke git
Dege wo hi jo paayege is
Zindagi se ham
Dege wo hi jo paayege is
Zindagi se ham
Ubharege ek baar
Abhi dil ke walawale
Abhi dil ke walawale
Mana ke dab gaye hai
Gam e zindagi se ham
Mana ke dab gaye hai
Gam e zindagi se ham
Lo aaj hamne tod diya
Lo aaj hamne tod diya
Rishta e ummid
Rishta e ummid
Lo ab kabhi gilaa na
Karege kisi se ham
Lo ab kabhi gilaa na
Karege kisi se ham.
marte haiN aarzoo meiN marne ki
maut aatee hai par naheeN aatee
hai kuchch 'eisee hee baat jo chup hooN
warna kya baat kar naheeN aatee ?
kaaba kis munh se jaaoge Ghalib,
sharam tumko magar nahi aati
-

maut ka ek din muayyan hai


neehd kyon raat bhar naheeh aatee?

Ye tabiyat amirjadi hai har ek baat pe machalati hai

aage aatee thee haal-e-dil pe hansee


ab kisee baat par naheen aatee

Itne zalim na bano kuch toh murawat sikho....


Tum pe marte hai toh kya mar hi daalo ge..

jaanta hoon sawaab-e-taaat-o-zahad


par tabeeyat idhar naheen aatee
hai kuchch eisee hee baat jo chup hoon
warna kya baat kar naheen aatee?
kyon na cheekhoon ki yaad karate hain
Meri awaaz gar nahin aati.
daagh-e-dil gar nazar naheen aata
boo bhee ei chaaraagar ! naheen aatee
ham wahaan hain jahaan se hamko bhee
kuchch hamaaree khabar naheen aatee
marte hain aarzoo mein marne ki
maut aatee hai par naheen aatee
kaabaa kis munh se jaaoge Ghalib
sharm tumko magar naheen aatee
Tang aa chuke hai
Qash ma qash e zindagi se ham
Tang aa chuke hai
Qash ma qash e zindagi se ham
Thukaraa na de jahaan ko kahi
Bedili se ham

Kehte Ho Mujh Se Ishq ka Afsaana Chaiye


Ruswaai Ho Gai Tumhen Sharmaana Chaiye,
Khud-Daar Itni Fitrat-e-Rindaa na Chaiye
Saqi Yeh Khud Kahe Koi Paymaana Chaiye,
Aashiq Bagair Husn-o-Jawaani Fazool Hai
Jab Shama Jal Rahi Hai To Parwaana Chaiye,
Matti Kharaab Karte Ho Kiyon Bemaar-e-Hijr Ki
Jo Tum Pe Marr Gaya Usay Dafnaana Chaiye,
Aankhon Mein Damm Ruka Hai Kisi K Liye Zaroor
Warna Mareez-e_Hijr Ko Marr Jaana Chaiye,
Wada Andheri Raat Mein Aane Ka Tha"Qamar"
Ab Chaand Chup Gaya Unhe Aana Chaiye.

S-ar putea să vă placă și