Sunteți pe pagina 1din 1

Tu mera pyaar hai, tu hi mera yaar hai

beIntehan dosti, tujhse beshumar hai..


Wajood phir humara, na jane nabaad kyu hai?
Tu dhoop hai, tu hi chaanv hai,
Tu bhatke ko mila ek gaanv hai,
kyu pardo mein hain hum, aakhir ye naqaab kyu hai?
Tu josh hai, tu hi Khed hai
Tu panchi aazad bhi, aur tu hi kaid hai
Udaan me phir bhi hum, namuraad kyu hain?
Tu ras hai, tu hi pyala hai
Tu boond bhi, aur samundar bnke sab jagha faila hai,
kyu doobe nahi hum, sateh par barkaraar kyu hai?
Tujhe fasna hai, tu hi phanda hai
Tu rasta bhi, aur tu hi naksha hai,
Mujhe fir talaash, na jane tumhari kyu hai?
Tu jeher hai, tu hi meetha hai
Tune haraya bhi hai, aur tu hi haar hai
Na jane khali maidaan mein, mere hath talvaar kyu hai?
Tu savera hai, tu hi andhera hai,
Tujhe basna bhi hai, aur tu hi basera hai,
tu pyasa bhi hai, aur tu hi pani uthae hai
Phir bhi meri pyaas bin bujhae kyu hai?
Tera aakar hai, tu hi nirakaar hai,
Tu jla bhi hai, aur tu hi kacha hai,
Phir bhi mera man, gehre saaye se rubabru kyu hai?
Khusbue Tabrizi ki, Rumi failaae hue,
Kyu is "raag" mein, vairaag hi kyu hai?

S-ar putea să vă placă și