Sunteți pe pagina 1din 27

1

Admi,
Janwar ya os ki koee taraqiyafta
surat hai?!

Tehreer:
Prof. Mr. Maqsood Hasni (P.PhD)

Abuzar Barqi Kutabkhana


June 2017
2

Admi,
Janwar ya os ki koee taraqiyafta surat hai?!

Mein kae roaz say soch raha tha kah insan ko Allah Sahib
nay khoob nahain khoobtar bhi nahain balkah
khoobtarein (Ahsan) kay darjay par faez farmaya hai to
phir yah digar makhloqaat (1) aur janwaroon balkah baz
ouqaat janwaroun say bhi baadtarein harqatain kayoun
karta hai. ?
Yah sawaliya maira hi nahain, her soch bichar karnay
walay shakhas ka hai. janwar ziyada tar paiat say sochta
hai kayounkah os ki sochnay ki salahiatain insan kay
barabar nahain hain aur nahi insan jaisi tarjihaat hoti
hain. Janwar ko Allah Sahib nay ghaat laganay ki salahiat
say nawaza hai jab kah insan ko tatbeer ka rasta dikhaya
hai. Insan nay is salahiat say hamaisha bohat hi kam
faeda othaya hai. Yah to janwar say kahein ghaatkar
sabat howa hai. Kavway ko chalak tarein parinda samjha
3

jata hai laikin os ki chalaki insan kay samnay sifar ho kar


reh jati hai. Insan ko bardasht kay mada say nawaza gaya
hai laikin janwar main bardasht ka mada nahain rakha
giya. Bhook main woh baichain ho jata hai. Malahza
farma lain insan bhouk piyas main pagal ho jata hai aur
her qisam kay insani taqazay aur asoul bhoul jata hai.
Insan aur janwar lakhoun saal say zamein par eak sath
reh rahay hain. Janwar insani moashrat ka ahum tarein
hissa raha hai. Eak sath reh kar bhi rehnay kay hawala
say s insan os sa nahain laikin adaat aur khasael kay
hawala say janwar say bohat hi qareeb raha hai. Aaj kay
taraqiyafta dour main bhi yah surat-e-haal kuch
mukhtalif nain. Donoun kay darniyan mojoud
mamaslatoun kay hawala say maira yah tajziya malahza
farmaein:
Fareshtay paigham rasani ibadat aur kae dosray faraz
anjam daitay aaay hain yah bhi oon say kaam karta aaya
hai.
4

Jin sharat sarkashi hukam odoli (2) waghera main


hamaisha marouf rahay hain. Insan main bhi yah khasael
paay jatay hain.
Devtaoon ko khush khasael honay kay hawala say missal
banaya jata raha hai. Insan bhi in sifaat say mehroom
nahain raha.
Rakhshash kabhi bhi achi nazar say nahain daikhay gay.
Evil souls say bhi achay ki towaqo nahain rakhi gaee.
Jin makhloqaat ka opar hawala diya giya hai mairi nazar
say kabhi nahain gozray tahum oon kay honay aur oon
kay kamoun kay hawalay parhtay aur sontay aa rahay
hain. Haan albata janwar nazroun say ghaeb nahain rahay
aur insanoun say in ka rabta aur taalaq daikhnay aur
sonay say taalaq rakhta hai. In kay hawala say baray
itmaad say baat ki ja sakti hai. Maslan
Janwaroun ki aur insan ki body language main hairat
angaiz mamaslatain mojoud hain.
5

Odasi, dokh dard, khushi, dar, khouf, bhouk piyas,


mohabat, nafrat, soach bichar ki kafiyaat, lalach, havas,
sex ki talab, romanas, bimari, fikarmandi, garmi sardi,
dosti, doshmani, daranay dhamkanay ki kaifiat, ghossa,
narazgi, douri, qorbat, madad ki talab, phansnay ki adat,
ghat lagana, tashakur, shakaet, shakar karnay kay
taiwar, larnay marnay, soog, dostana andaz waghera
waghera ka andaz donoun kay chary aur jism ki
naqal-o-harkaat (body language) say bakhoubi lagaya ja
sakta hai.
Insan aur janwaroun kay bachoun ko doudh pilanay kay
andaz bhi eak say hain.
Insan group aur family main rehna psand karta hai. Yah
sift janwaroun main bhi paee jati hai.
Insan naqali kartay hain janwar bhi naqali kartay hain.
Khushi main insan hinsatay aur ghami main rotay hain
janwar bhi rotay aur hanstay hain.
6

Insan sikhnay kay amal say gozartay hain. Janwar bhi


sikhnay kay amal say gozartay hain.
Insan gatay hain janwar bhi sorili leh main gatay hain.
Insan ko sorili leh aur aawaz khush aati hai hai.
Janwaroun ko bhi sorili leh aur aawaz achi lagti hai.(3)
Insan khail koud karta hai. Janwar bhi khail koud kartay
hain.
Insan raqas karta hai. Janwar bhi nachtay hain.
Insan doshman kay sath jang kartay hain jab kah janwar
bhi apnay sardar ki sar kardgi main doshmun kay khalaf
lartay hain aur apni bahadri kay johar dikhatay hain.
Insan sinaf-e-mokhlif ko matasar karnay kay liay ajeeb
ajeeb qisam ki harkatain karta hai aur yahhi surat-e-
haal janwaroun main nazar aati hai.
Insan janwaroun kay qareeb rehna ko mayoub khayaal
nahain karta. Janwar bhi insan kay qareeb rehna pasand
karta hai.
7

Insan kuch mil janay ki surat main anay malik say gaddari
karta hai. Janwar bhi haddi mil janay ki surat main malik
yaapnay qabilay ka sath chour kar chour say mil jata hai.
Insan boray waqt main sath chour jata hai janwar bhi
boray waqt main apnay sathi ka sath chour jatay hain.
Insan boray waqt main sathioun ka sath daitay hain.
Janwar bhi boray waqat main apnay sathioun ka sath
nahain chourtay.
Mokhtalif hawaloun say Insan hijrat karta hai. Janwar bhi
hijrat kartay hain.
Insan khorak ki talash main nikalta hai. Janwar bhi
khorak ki talash main nikaltay hain.
Insan apnay bachoun say piyar karta hai. Jawar bhi
apnay bachoun say piyar kartay hain
Padaesh kay hawala say khatoun zachgi ki dardoun say
dou char hoti hai. Mada janwar bhi is say balatar nahain
hai.
8

Insan say bhool chouk hoti hai jis kay sabab ossay noqsan
othana parta hai. Janwar bhi apni kisi ghalti kay sabab
noqsan othatay hain.
Insan omomun janwaroun ki si harkaat kata hai. Paltu
janwar bhi janwaroun kay say kaam kartay hain aur
onhain os main koe diqat mehsus nahain hoti.
Kuch kaam insan janwaroun kay say nahain kar pata
laikin taqribun ki haad tak kar laita hai. Yahhi
surat-e-haal janwaroun kay sath darpaish hai.
Sonay jagnay kay andaz miltay jultay hain.
Khanay pinay ki bohat sari chizain eak jaisi hain. Insane
janwar ki jhout kha laita hai. Janwar bhi insan ka chora
howa khana khushi say kha laitay hain.
Donoun is matti say nikalnay wali chizoun ka istamal
kartay hain.
Donoun ka inhasar eak dosray par hai. Insan kay hawala
say yah moamla siraf paltu janwar tak hi mehdoud
9

nahain.
Gher paltu janwar bhi insan say jura howa hai aur insan
bhi os say istafada karta hai. Maslan:
Insan janwaroun ka doudh pita hai. Janwaroun ka doudh
adviyaat main istamal karta hai is main soar, kotya, gadhi
waghera shamil hain.
Gosht khour janwar gosht khatay hain. Insan sabzioun
aur daloun kay sath sath gosht bhi bari khushi say khata
hai. Baz gosht khour janwar mordar kha jatay hain. Insan
bhi barailar kay towast say mordar khata hai. Havas
pasand qisaab morda janwaroun ka gosht bachtay hain
aur khalatay hain.
Kuch janwar ghar nahain banatay aur eak jaga parao
nahain kartay. Is qamash kay insanoun ki bhi insani
moashrat main kami nahain hai.
Insan aur jawaroun ko bohat sari eak si bimariyaan lahaq
hoti hain.
10

Hamal aur padaesh kay moamlaat taqriban eak say hain.


Anday ka insanoun main istamal bara aam hai.
Anday ka insan ki takhleeq se taalaq hai.
Insan janwaroun ka doudh pitay hain. Janwar bhi insan ka
doudh pitay hain.
Insan dou paoun par chalta hai janwar bhi dou paoun par
chal saktay hain ya kam az kam kharay ho saktay hain.
Kuch dou paoun walay jawar bhi hain.
Yahaan chand bohat qareeb ki mamaslatain araz ki gaee
hain warana rooz mara say motaalaq bohat sari batoun
main eak sa pun paya jata hai.
Insan kay janwaroun say jinsi taaloqaat aur reshta,
mamaslatoun tak hi mehdoud nahain balkah oon kay
darmiyan jinsi reshta bara qaribi aur mazbout raha hai.
Penis sucking janwaroun main bhi mojoud hai ya insan
nay yah illat janwaroun say hasil ki hai bilkul issi tara
female sex organ sucking janwaroun main bhi mojoud hai.
11

Baz janwaroun kay sex organ ho baho insan jaisay hotay


hain. Haan lambae waghera main kuch farq ho sakta hai
laikin insan kay liay khush kon rehta hai.
Jin maoun say mojouda adam ki nasal ka aaghaz howa
hai, oon ki shakhasi haisiat mashqouk chali aati hai.
Lilith: Adam say pehlay matti say banee gae, jin thi, Devi
thi, bhout thi, woman of sprit thi waghera waghera qisam
ki batain parhnay sonnay ko milti hain. Yah bhi ho sakta
hai soot nay aisa maroof kar diya ho kah woh insan na
thi.
Unnamed eve: kay motaalaq kuch nahain milta kah woh
koun aur kiya thi. Os ka kiya bana aur os say Adam ki
kitni ouladain hoein.
Hawa: aasman say otri, hoor, Adam ki bachi hoe matti say
takhleeq hoe, jin thi, pehloun main say thi, Adam ki pasli
say banaya gae, devi thi waghera waghera qisam ki
batain parhnay sonnay main aati rehti hain.
12

Mein yahaan yah sabat nahain karma chahta kah mojouda


admi janwar aur insan kay jinsi milaap ka ya phir janwar
ya kisi aur taraqi yafta makhlouq kay jinsi taaluq ka
natija hai. Ya yah kah insan janwaroun ya kisi janwar ki
taraqi yafta shakl hai. Mein siraf is zimun main dou batain
arz karnay ka motmanni houn:
*Pehli baat yah kah insan aur janwaroun aur dosri
makhlouqat ki bahmi moashrat kay natija main insan
main hiwani khasael chalally aaay hain.
*Dosri baat yah kah janwaroun aur insanoun kay jinsi
milaap say insannama log bhi vajoud main aaay hain jis
kay sabab insan main na siraf janwaroun ki si adtain aa
gae hain balkah is kay Haiti dhanchay main bhi janwaroun
ki si tabdiliaan aae hain warna insan ko Allah Sahib nay
khoub tarein paida farmaya hai.
Hazrat Adam (AS) say pehlay bhi daranay walay donya
main aatay rahay hain laikin onhoun nay oon daranay
waloun kay kehnay par apni harqaat-e-baad say toba
13

nahain ki. Oon ki is baadamali kay sabab onhain halak kar


diya giya. (4)
Adam ko tarji di gae onhain ilm ki doulat say sarfaraz
kiya giya. Is fazilat kay hawala say Fareshtoun ko jin
main, jin bhi shamil thay, Adam ko sajda karnay ka hukam
mila.
Adam (AS) ko 120 ouladoun say nawaza giya. Yah
ouladain donya ki mokhtalif walaitoun main pehloun ko
rah-e-rast par lanay kay liay mahajar hoein. Onhoun nay
pehloun say azdvaji reshtay qaem karkay onhain izzat
bakhshi. Is tara daranay ka amal jari-o-sari rakha giya.
Yah alag baat hai kah bohat saray logoun nay koe assar
nahain liaya. jis ki waja say onhain saza bhi milti rahi. Is
saza say ibrat lainay ki bajaay Admi nay adaat-e-baad
say toba nahain ki.
Allah Sahib apni adat kay motabiq daranay walay bhaijta
hi raha. Soulaihein waghera islah kay liay tashreef latay
rahay hain aur in Holy Spirt kay anay ka silsala aaj bhi
14

jari hai.
Yah moamla Allah Sahib hi janta hai kah admi itna bara
martaba panay kay bavajoud insan janwar honay main
kayoun farhat aur fakhar mehsous karta hai. Admi janta
hai kah woh digar makhlouqaat say afzal hai aur is amar
ka dawa bhi karta hai laikin kaam janwaroun kay say
karta hai.
Ab yah faisla karma bara hi mushkal hai kah is insan ko,
insan kaha jaay ya janwar ka naam diya jaay. Haiti itbar
say yah insan nazar aata hai laikin is kay kaam bhairioun,
kotoun, soavroun, gidaroun, gidoun, lomaroun, ghadoun,
bilioun, waghera jaisay hain. Mein soch soch kar halkan
ho giya houn kah aakhir is insan ko kiya naam diya jaay
kayounkah is kay moamlaat insan kay say nahain hain.
Allah Sahib nay toiessay boland kar diya hai laikin issay
bolandi khush nahain aa rahi. Pehloun ko hum is liay
matoub kartay hain kah oon kay sarbarahoun nay khuda
honay ka dawa kiya . Aaj ka mohazab admi khuda honay
15

ka dawa to nahain karta laikin kaam aur tamkanat khuda


jaisi hi hai. Os kay kisi ghalt ko ghalt keh kar daikh lain,
agala din daikhna bhi naseeb na ho ga.
Is makhlouq ko admi keh lain ya koe aur naam day lain.
Yah madi taraqi main aasman ki balandioun ko hi kayoun
na chou lay, issay insan ka naam daina qatan zulm aur
ziyadti kay motradif hai. Yah woh insan nahain ya os
insan ki nasaql say nahain lagta jissay malaek-e-falki nay
sajda kiya tha. Agar yah woh insan ya os insan ki nasal
say hota to is main insanoun jaisi kuch to baat hoti.
Kisi ko Noor Mohammad keh dainay say os ki mosalmani
sabat nahain hoti. Issi tara kisi ko Yaqoub Masi keh
dainay ka matlab yah nahain kah woh Essa (AS) ki shariat
par chalnay wala ho giya hai. Bilkul yahhi mitar aur ki
pehchan ka nahain banaya ja sakta. 20, 20 ropay kisi say
asal say zaed lay kar woh hazaroun ka mojram ho raha
hai. Kisi aur ko takleef day kar mehsous hi nahain kar
raha. Khud to chain kar apna aur apnay ayaal ka paiat
16

bhar raha hai yahhi nahain apni nasal kay liay bhi haram
ki kamae jama kar raha hai ossay yah yaad tak nahain
kah eak roaz ossay Allah Sahib ko jawab daina ho ga. Jo
shakhas khud ko Khuda samjh raha hai aur khayaal
katrta hai kah sab kuch os kay hath main hain aur woh
kuch bhi kar chuknay ki ehliat rakhta hai. Woh kisi kay
samnay jawabdeh hi nahain aur Os kay hukam kay
bagher koe sanas bhi nahain lay sakta, ossay kis asoul ki
bonyad par insan kaha jaay ga?!

Baad onwani kay zomray main kuch kaha jaay to kaha


jata hai kah bhouk piyas main marta kiya na karta. Kiya
bhouk piyas ya koe aur hajit fitrat main tabdili la sakti
hai?!
Fitrat to apni jaga par atal thous aur naqal-e-taghear hai.
Is main tabdili nahain aa sakti. Agar tabdili aa jati hai to
fitrat ko fitrat nahain kaha ja saklta. Lion ko ghas
khilanay kay lakh jatun karain woh ghas nahain khaay ga
17

kayoun kah ghas khana os ki fitrat main dakhil nahain.


Kha laita hai to lion ko lion nahain kaha ja sakta. Gaay ko
gosht nahain khalaya ja sakta. Agar woh kha lati hai to
woh gaay nahain rahti os ko koe aur naam daina paray
ga.
Hathi anda nahain daita agar dainay lagay to os ko kis bal
botay par hathi kaha jaay ga. Bilkul issi tara insan khoub
tarein aur Khuda kay image par banaee gaee makhlouq
hai, is liay is say danista ghalt nahain hona chahiay. Khud
pait bharta hai aur os ka humsaya bhouka say sota hai,
khud jina chahta hai laikin auroun say jinay ka haq chein
laita hai to admi ko admi kis tara kaha ja sakta hai. Agar
admi danista ghalt karta hai aur bhoul jata hai to is ko
insan kehnay ka koee jawaz baqi nahain rehta.

Kisi ko insan ya janwar qarar dainay kay liay koe to mitar


hona cahiay. Aaj kay taraqiyafta shakhas ko ba shour
makhlouq to kaha ja sakta hai laikin issay insan kehna kisi
18

tara monasab nahain. yah woh insan nahain jis ka hawala


Allah Sahib nay Sura Tein main diya hai. Yah zalmoun
main say ho giya hai. Kisi zalum nainsaf, khudgharaz,
lalchi, havaspasand, rishwatkhour, aqrabaparast, paitu,
zaat ka qaidi waghera ko insan nahain darinda ya hiwan
to kaha ja sakta hai insan kehna bajaay khud insan ki
tazleel hai. Insan to kaenaat ka khoub surat aur
nafeestarein bashinda hai.mujhy yah sab kehnay main
koe sharmindgi mehsous nahain ho rahi kah aaj ka insan,
insan nahain, janwaroun ki koee taraqiyaft shakl hai jo
hiwani kamoun main janwaroun say bhi bazi lay giya hai.
Is hawala say is makhouq ko janwaroun ka sardar kaha ja
sakta hai.
---------------------------------------------
1- Jin, Malaek, Dev Devta waghera
2- A. Ezazeel is ki behtarein daleel hai.
b. Jinoun ki Sarkashi karnay par ezazeel ko sarkobi kay
liay bhaija giya to os nay jinoun ko maar maar kar
19

jangloun main bhaga diya. Woh donya ka badshah honay


kay sath afvaj-e-jin-o-malak ka garnael bhi tha.
c. Pehli sarkashi ko daikh kar hi Adam ko sajda karnay
say inkaar kiya giya.
3- Hazrat Daoud (AS) ka qissa aam hai kah jab woh
kalaam apni sorili aawaz main partay thay to parinday
aur janwar bhi onhain sontay thay. Issi hawala say
lehn-e-Daoudi tarkeeb marouf hai.
4- Sura Yonis : 12, 13, 14
20
21
22
23

Thai Buffalo Gives Birth To Human-li


24
25
26
27

S-ar putea să vă placă și