Sunteți pe pagina 1din 57

1

ARBI KAY PAKISTANI ZOBANOON PAR LISANYATI ASRAAT

Maqsood Hasni

Arboon ka bar-e-sagher se sadyoon ka nahain, hazaroon


saal ka reshta hai. Arab bar-e-sagher ki mukhtalif
valaitoon main mukhtalif hawaloon se aatay jatay rahay
hain. Sowahil oon ki tovajo ka khasusi markaz rahay hain
aur is kay asaraat kisi nakisi hawala se aaj bhi mojood
hain. Aaj bhi kuch sahili alaqay hain jahaan arbi boli jati
hai.
Arboon ki aamad se oon kay omomi-o-khsusi rujhanaat,
rovaeay, adbi-o-masharti saliqay, tajarti atwaar,
tamadni-o-saqafti andaz-o-aqdaar waghera shaori aur
lashaori toor par daramad howay. In omoor kay
zeer-e-asar Arbi zoban ka bar-e-sagher ki zobanoon aur
raej bolioon ko matasar karma qatee hairat ki baat
3

nahain. Marozaat-e-bala ki tasdeeq-o-taeed kay zimun


main Hindustani shiar-o-adab, dastanoon aur mazhabi
kutab i.e. Ramaen, Bhagvat Gita waghera ko malahzt kiya
jana chahiay. Yah amar bhi bahartoor malhoz-o-khatar
rehna chahiay kah Arab, Iran aur Turki ko bhi matasar
kartay rahay hain. Ahal-e-faras aur Turkoon ka bhi
bar-e-sagher main aana jana raha hai. Bilwasta alfaz ki
daramad ka silsala apni jaga mojood raha.
Arboon ki bar-e-sagher ki yatra doo hawaloon say
khasusan samnay aati hai:
1- Islam se pehlay batoor tajar waghera
2- a- Islam kay baad batoor mobalagh, fatay aur
siyasi matoob baraay panah
b- Musalman sufi bhi bar-e-sagher kay
mukhtalif alaqoon main warad hotay rahay
Talu-e-Islam kay baad Arab waghera batoor musalman
(khasusan) aaay Is tara Arbi tehzeeb kay elava Islami
4

tehzeeb nay bhi apna rang dikhaya. Bar-e-sagheer ki


zobanoonb main mukhsous Islami istalahaat dakhal hoee
hein. Agar in zobanoon ka lisanyati motalia karna ho to in
omoor ko nazar main rakhna paray ga. Is nacheez
thereer main kuch Pakistani zobanoon ko paish kiya giya
hai.

(URDU)

1- Urdu main Arbi kay hazaroon alfaz apni asal ashakal,


asal mafaheem aur daisi mafaheem kay sath
mostamal chalay aatay hain. Yahaan misalain paish
karma mazmoon ko gher zarori tavalat dainay kay
mutradaf ho ga.
2- Arbi alfaz ko asal ashkal kay sath qabool kiya giya
hai laikin oon kay mafaheem yaksar tabdeel kar
diay gay hain. Maslan akhbar, baqaya, hareef, khat,
5

khasam, khalifa, radeef, raqam, roza, raqeeb,


sharaab, jaloos, ghareeb, aziz, salvat, fitna, rashi,
qaiyamat waghera
3- Bohat se Arbi alfaz kay talafaz main tabdeli aa
gaee hai laikin mafaheem kisi haad tak qaem rahay
hain. Maslan iqraar se aqraar, aqsam se iqsam,
ifrat se afrat, ilzam se alzam, ifada se afada, boraq
se baraq, izafat se azafat, tanazur se tanazar, jizya
se jazya, jima se jama, zimma se zomma wagher
4- Ain ki aawaz omoman bool chal main nahain aati.
Maslan maloom malom/malom, taalaq se talaq,
samaat se samat, maasoom se masoom waghera.
Yah surat ziyadatar Punjabi alaqa main paee jati
hai.
5- Baaz daisi alfaz main Arbi aawazain dakhal ho
gaee hain jis kay sabab alfaz Arbi mehsous hotay
hain laikin oon kay mafaheem Arbi nahain hain.
Maslan ahwaal, oqaat, asami, hoor waghera wahad
6

bolay jatay hain.


6- Bohat sari Arbi istalahaat Urdu main dakhal ho
gaee hain. Maslan aayat, ahraam, ajal, iman, amam,
ameer, tasbeh, jubba, janaza, jarah, jehaad, hujra,
haj, hadees, jannat, hamd, deen, dafn, klafn,
rabaee, joraab, sajda, shaheed, dozakh, ghusal,
qaba, khumas, mukhamas, wazo waghera
7-Arbi talmihaat nay Urdu zoban ko hosn aur sarvat
bakhshi hai. Chand eak masalain malahza hoon:
Aatash-e-Namrood (Nar-e-Namrood),
Ijaz-e-Masiha, hatam, Chah-e-Yusaf, dam-e-Esa,
Shajar-e-Mamnoa, Hosan-e-Yusaf, taer-e-Sidra,
Lehhan-e-Daodi, Aadam, jalwa-e-Toor,
Sabar-e-Ayoob, Tofan-e-Noh, Gulistan-e-Khaleel,
yad-e-baiza, Yaqoob bani esraeel waghera
9-Bohat sari zarab-ul-imsal Arbi alfaz se tarkeeb
paee hain. Maslan
7

*wali kay ghar shitan


*Zahar ka Rehman batan ka shitan
*Jal to jalal to
*jis ki fikr os ka zikr
*jis ki surat achi nahain os ki surat kiya daikhni
*Jis ki joroo indar os ka moqadar sikandar
*Jo qareeb woh zeyada raqeeb
*hatam ki qabr par laat marna
10- Taqya-e-kalaam main bhi Arbi alfaz mojood rehtay
hain. Maslan
Bismilla, inshaAllah, Subhanallah, Alhamdolillah, Allah
hafaz, Khair to hai, kher ho, apna khayaal rakheay (take
care), toba kar, toba karain, aafat hai, fitna hai, Allah
baili, Allah bakhshay, Bismilla karain, Allah karay, zaroor,
zarori nahjain, kher se, khizar milay, jis qadar, zara
sa/se, barkat hai, eman ki, tajveez bana, bismillah ka
8

sawaab ponchay, hasha wa kalla waghera,


11- Baishamar Arbi alfaz ki Urdu tareqa se jamein bana
li gaee hai. Maslan
Horoon, faqiroon, wakiloon, naqaloon, kitaboon,
taqdiroon, safoon, zarortoon, hadoon, haltoon, hojroon,
fitnoon, mazhaboon maskinoon waghera
Horain, kitabain, jorabain, haltain, hadain, taqdirain,
safein, salvatain
Hujray, hadsay, safhay, fitnay waghera
12-Ungint Urdu mahavray aur afal majhool Arbi alfaz se
tarkeeb paay hain. maslan
khabr aana, khabr hona, khabar milna, khat aana, khat
bigarna, khayaal bandhna, khayaal karna, haz othana, haq
ada karma, haqiqat khulna, khairbad kehna, khair
manana, hisaab banana, hisaab daina, hisaab rakhna,
salvatain sonana, haram khana, haram moot marna,
haram ho jana, dua daina, dua othna, dua karna, dawa
9

othna, haad bandhna, haad se bharna, haad jari karna,


dafan karna, damagh chatna, zikar karna, zikar hona,
zikar aana, hajamat hona, hajamat banana, zaat se girna,
zakhira hona, hijaab aana, hijaab othna, raqam karna,
raqam katna, shak karna, shak parna, shak jana, haal
aana waghersa
13-Mukhtalif tara kay ungint marakbaat Urdu
main mustamil ho ga hain:
Mal pani, sulah safaee, saaf suthra, saaf baat, maal gari,
mala maal, zaat Vanti, sad-e-rah, zaat paat, banda
bashar, zaat raat, hasal jama, tan badan, jama kharach,
maal maro, mola bakhsh, tana mehna,
Allah pak, Quran pak, Hadees pak
Iman choor, subh dam, subh sowairay, char asbaab, char
anasar, joot jama, joor jama, baad azaan waghera
Jan-e-alam, azab-e-jan, aiam-e-baharaan, aab-e-hayat,
aab-e-rahmat, aab-e-zamzam, aab-e-kosar,
10

shab-e-zulmat, wazay-e-ehtyat, andaz-e-ataab,


shoor-e-qaiyamat, sadqa-e-jariya, banda-e-khoda,
jalwa-e-gul, tahaiya-e-tofan, jazba-e-dil,
hangama-e-mehfil
fatah-o-nusrat, fatah-o-shakast, qaza-o-qadar, iz-o-jah,
hosn-o-qabeh
deen aur dunyain, arbi aur ajmi, ameer aur ghareeb
pehlay ameer phir ghareeb, pehlay sahib pher malazam,
pehlay dwa phir shifa, pehlay niat phir namaz, pehlay
salam phir parnaam, pehlay wazo phir namaz, pehlay
daam phir kaam
ameer ho kah ghreeb, apna ho kah gher, deen ho kah
donyan, dil ho kah damagh, angraiz ho kah arbi
filfor, filasar, filwaqay, filasal
dar-ul-aman, banat-ul-nash, daem-ul-habs, noor-ul-eain,
qurat-ul-ein, nar-ul-hataab, rooh-ul-qodas
11

jan ka sadqa, mal ka sadqa, chandi ka waraq, aafat ka


tukra, aafat ka parkala, shah ka mosaheb
raqabat ki aag, shaihad ki churi, shitan ki aant, ji ki aafat,
char ki marzi
jan se aziz, khayaal se bahar, gherat se ari, shar se
bahar
14-Sabqoon Lahqoon se tarkeeb panay walay kuch alfaz
batoor namona malahza hoon:
ahal-e-deen, ahal-e-donyan, ahal-e-sidq, ahl-e-Islam,
ahal-e-iman, ahal-e-taqwa
baadakhlaq, baadtameez, baadamal, baadnaiat
baikhabr, baihal baiiman baibasar, baitaalq,
baihisaab, baidakhal, baikhoof,
tahaal, tabamaqdoor, tabahayat, tadair, taqaiyamat
bilakhoof, bilatasaraf, bilashuba, bilahisaab, bilajawaz
humkalam, humsohbat, humasar, humnafs, humwaqt
12

nahaq, naqadar, (baiqadar bhi mustamal hai), najaez,


namonasab
gherhazar, gherzarori, gherzaat, gherinsani,
ghershara
Allahpak, Rasolpak, Nabi pak
Peer Sahib, DC sahib, walid sahib
Tajarbagah, taleemgah, jalsagah, jalwagah, janazgah,
eidgah
Taseeldar, taalqadar, maldar, hasaldar, haqdar,
hisadar
Haramzada, sahibzada, ameerzada, shareef zada
Hosnkhaiz, larzakhaiz, qaiyamatkhaiz
Zaroratmand, razamand, zafarmand
Karamnawaz, ghareebnawaz, hosnnawaz
Harafaashna
13

Hisaabdaan
Hayasoz
Hairatnak, ghazabnak, khoofnak, ibrat;nak
Tadbeergar, aafatgar, jalwagar
Safbasta
Ataatgozar, malgozar, khadmatgozar
15-Bohat se alfaz Urdu kay lisani set up kay motabaq
tarqeeb paay hain. Maslan
Mala mal, nasiba, biddati, batakh/batkha, badla, taat,
naraaz, hind se hinda, hind se hindu, hind se hindastan,
bar-e-sagher, hindvi, ahalyan, jurmana, baili, (sahaili se
tarkeeb paya hai), Aagha mina, ata+pat (turki aur Urdu).
16-Issi tara masadar bhi takeeb paay hain. Maslan
badalna
17-Mardana aur zanana namoon main baishamar Arbi
alfaz parnay sonnay ko mil jatay hain. Maslan
14

Ahmad deen, Fazal deen, Maqsood Ali, Rasheed Ahmad,


Salamat Ali,
Noor Mohammad, Barkat Ali, Shahadat Ali, Umar Deen,
Amjad Ali,
Mahboob Hussain, Akram Khan, Karam Haidri Raiza Bano,
Zikra Abbas, Nusrat Shagufta, Maqsoom Akhtar, Afzaal
Baigam,
Maqbool Baigam, Hamida Baigam, Jannat Bibi, Sahib Jan,
Ramzana Bibi,
Irha Syed, Umar Khair, Saeeda Pawaiz, Sadia Habeeb,
Bushra Naheed,
18-Urdu ki eak ibarat malahza farmaein jis se Urdu par
Arbi kay lisanyati asraat ka bakhobi andaza ho jaay ga:
Ghariboon kay sath aap ka bartao aisa hota kah oon ko
apni gharibi mehsous na hoti. Oon ki madad farmatay aur
oon ki diljoee kartay. Aksar dua mangtay thay kah
Khudawand mujhy maskeen zindah rakh, maskeen otha
15

aur maskinoon kay sath hasher kar. Aap mazlomoon ki


faryad sontay aur insaf kay sath haq dalatay.
19- Lafzoon ki haiti tabdili: naimat Ali se niamat Ali
20- Manvi tabdili: khasam, rashi, greeb, sharaab
(BARAHVI)

1. Bohat se Arbi alfaz apni asal oway hain. Maslan


Awal, hal, aakhar, inkar, lutaf, dashkal aur kisi haad tak
asli mafaheem kay sath Barahvi zoban main dakhal heen,
mazhab, iqrar, khabar, donyain, hisaab, wazo, hosn, fikr,
marz, ghazab, azab, khas, khalaq, gham, talab, kitab, ilm,
jannat, qiyamat, taqdeer, saraf, aqal, shan, qoom, fana,
nasara, kul, shiar, sadqa, kafar, insan, shariat, maloob,
maqsood, rasool, maal, shukar, zakat waghera
2- kuch alfaz mafaheem ki tabdeli kay sath is zoban ka
hisa ban gay hain. Maslan
16

ghreeb, qadar, oqaat, nafa, ash, tariqat, hosla, qadr,


majlas, kismet, kitab (Qran-e-Majeed) ghazi, hoor,
sharaab, hisaab, qaidi, khajal, taqat, ahwal, khat, tofan,
sawab, haqeer, sabaq, marz, ensan
3. Tabdili-e-haiat kay sath Arbi alfaz is zoban main dakhal
howay hain. Maslan
hawalak (itla milna, ahwal se), ghamak, sadkha (Sadqa),
phakeer, nalat (lanat) sowab, kharobo,
4. Arbi khasusan Islami istalahaat ne Barahvi main apni
jagha banaee hai.
Maslan deen, mazhab, tabeeb, salam alaek, azab, wazo,
hasher, shareek, janaza, nafa, moman, haya, eman,
qayamat, mohabat, hob, eshq, adalat, mareez, Toaam,
mulk, mahboob, ashq, kafar, sherak, shiar, jannat
5. Sabqay joor kar alfaz bana liay gay hain. Maslan
sharsurat (hosein), lajawab, baihisaab, baihajat,
barwaqt neemmula, basafa
17

6. Daisi tariqa se jamain banaee li gaee hain. Horain,


molkan (milak ki jama), shariataan, lamhaat, raqiban,
raqibatan
7. Mukhtalif noeat kay marakbaat parnay ko miltay hain.
maslan
khushkhabar, kushhal
khushhal-e-halat ghareeb-e-siyal chawah sawab,
khoda-aa-Mustafa, khar-o-khrab, pak-o-sharab,
bhang-o-sharab, soob-o-biga, khar-o-kharabo,
khas-o-aam, alam-e-fana, rasam-e-kohan,
mahboob-e-jani
kharan laila, Allah pak, Nabi pak, hoasan na ajeeb, donyan
doulat, khabar, kitabkhaan, ghareeb khwaray, ahal ayal
8. Zobanoon main aawazoon ka tabadal aam si baat hai.
Maslan
Malakhmoot (malkalmoot)
18

9. Kuch jumlay awanmi bool chal ka hisa hain jo manvi


aur sori hosan main lajawab hain. Maslan Na iqrar kisah
na inkar kisah Maza zindgi da bandgi aee
Na khushi tah kami nag ham tah hisab ay Ghreeb ay siyal
of Char aee yar rasool
10.Shadi baiah kay gitoon, nohoon, marsihoon margh kay
bainoon Arbi alfaz se khali nahain hain. Issi tara majlasi
zindgi ki bool chal main Arbi alfaz asal, behroop ya
moqami sabqoon lahqoon kay sath shamal hotay rehtay
hain.
12- Barahvi zarab-ul-imsal bhi Arbi se tahi nahain hain:
Khali aa tofak un ara bandagh khalira
Vail badshah tikan ay ghareeb aa
Barwakht vail ay
Thikri ay sardar ay kasis shaik kunah ay oo kul naay kul
kun ay
19

13- Bohat sari Arbi talmihaat barahvi shaeri mian istamal


hoti hai.
Kush Arbi alfaz jama laikin Barahvi main wahad istamal
hotay hain. Maslan
Ahwal, oqaat, hoor waghera
15- Zanana-o-mardana naam bhi Arbi alfaz se khli nahain
hain. Maslan
Malak dad, Mohammad Fazal, Abdul Haee, Mohammad
sadique,
Mohammad Sadiq, Roshan deen, Faiaz Mohammad, Morad
Ali,
Faqeer Mohammad, Basir Ahmad, Khoda-e-Rahmat
waghera
16- Barahvi lataef aur pahailioon main bakasrat Arbi
alfaz apni asal shakal aur tabdeelshuda ashkal kay sath
miltay hain.
20

BALOCHI

1- Bohat se Arbi alfaz apni asal ashkal kay sath Balochi


zoban kay zakhira-e-alfaz main dakhal ho gay hain.
Maslan Badal, jism, kharab, khair, hal, sawal, salah, saaf,
sabr, qissa, tabiat, mazaq, kitab, khatar, darja, umr,
safar, meharbani, yaqeen, mobarak,
wasta, salamat, khidmat, akas, hisab, tameez, saboon,
samaan, faislah, khayaal, fikr, moaf, khabr, eid, gham,
murgh, takleef
2- Bohat se alfaz tabdeli-e-ashkal kay sath Balochi
21

zoban ka hissa ban gay hain. Maslan


Wakht (waqat), omeet (omeed), nazoor (mazoor),
maloom (malomaat, maaloom) waghera
3- Boht se alfaz sabqoon aur lahqoon kay hawala se
Balochi tehreer-o-taqreer main shamal ho gay hain.
Maslan
4- payaqeen, (yaqenan), barwakht, chywakht (kab),
kamwakht, kamumar, maloomdar (malomaat hasal
karnay wala), puromeet, neemjisma, khizmatgar,
minnatwar (shukarriya), baadtameez, ghamgeen
baiadbi
5- Tabdeli-e-mafaheem kay sath bhi bohat saray alfaz
balochi zoban main dakhal ho gay hain. Maslam
janeen (orat), badal (tabadal), hal (itla), khabar (baat),
khayaal (hoshyar), samaan (mal-o-asbaab), johalla
(nichay), ashar (shutar), qoom (qabila)
6- Bohat saray marakbaat Arbi alfaz se takeeb patay
22

hain. Maslan
Jan salamti, gat kharaab (gala kharaab), ashar muragh
(shutar muragh), zar-e-hawala (draft), kharaab gari,
talaaq gaptageen, sar darad (darad-e-sar), kul hisaab,
mobarak baat Eid-e-nook (eid ka chand), warg-e-khatar
(rehnay kay liay), muzbabakar (bawarchi khanay ki
zarorat), wakht aa sar (waqt par), khayaal aa baray
(sambhal kar), darad aa takleef (darad ki takleef), jan
salamti-e-sanad (heath certificate) saman-e-karaya
(saman ka karaya) waghera
7- Omomi bool chal main bhi Arbi alfaz dakhal howay
hain. Maslan
Chay wasta (kis liay), hal badaay (bura hal), taee
shukarriya, neharbani bakunb, mini samaan, safar pa
khair
8- Arbi aur Islami talmihaat Balochi zoban ka hissa ban
gaee hain maslan muragh-e-suleman
23

PUSHTO-PAKHTO

1- Boht se Arbi alfaz apni assal ashakaal aur


asli-o-daisi mafaheem ke sath Pushto zoban kay
zakhira-e-alfaz main dakhal ho gay haim. Maslan
imtihan, itraz, intazar, inkaar, barkat, zaat, lazeez, haj,
alim, sheikh, ghulam, qasam, qabil, faqeer,fikar, ghalt,
saat, mal, gharoor, zikar, mal, salah, zarb, zamanat,
talaaq, ghussa, adi, fata, yaqeen, illat, adat, halal,
zaman, jaieb, noor, qismat, tama, harkat, sadqa, nafa,
24

hukam, donya qarz, haram, kafan, oqbq, shan, ghazi,


gham, sabr, azmat, zulm, lihaz, qadr, surat, isharah,
ghalt, nasiat, ghanimat, haq, shar, razi, qazi, baqi, qaem,
bala waghera
2- Bohat se Arbi alfaz tabdili-e-ashkal kay sath Pushto
zoban main shamil ho gay hain. Maslan
wakht (waqt), safa (saaf), wasa (wasila), batay (baat),
kalmia (kalmah), badoo (dadi), sah (sans), dalalay
(madah), khabra (hal, khabr), khob, zayaat (ziyada),
sahiba (sahib) (dalal), naraza (naraz), madhay, khezmat,
3- Aksar Arbi alfaz tabdili-e-mafaheem kay sath Pushto
zoban ka hessa bun gay hain. Maslan
khabra (baat), khali (hafta), shoro (budh), qayamat
(nayaab), khair (khalqat), aakheer (aakhar), hajat
(zarorat), raseed (ponchna), saba (kal sub), khairaat,
bhaikh) mulk (khait), (assal), khalaq,
4- Arbi lafzoon ki jama bananay kay liay bhi daisi atwar
25

ikhtayar kiay jatay hain. Maslan


ghazi (ghaziyaan), kitabona (kitabain), kamona (qamain)
5- Lafzoon ki buntar main sabqay lahqay bhi ikhtayar kiay
jatay hain. Maslan
baiwakht, baiizati, barwakht, maaldar khoobsurat
6- Marakbaat bhi Pashto zoban main kami nahain. Maslan
sahar mal (subh sowairay),sahat wakhti, khushhala (kush
hal), zayaat barkat, zayaat ghareeb, Islami mamlakat,
khush khabray, Allah pak, daam da jaal, zahar surat, jaieb
ke ghari waghera
6- Bohat sari Arbi talmihaat nay Pushto shaeri ko jala
bakhshi hai.
7- Bohat saray zanana-o-mardana naam Arbi alfaz se
tarkeeb paay/patay hain.
8- Bohat saray Pushto mohavray Arbi alfaz se tashkeel
patay/paay hain. Maslan
26

Ghairat shatakol, moqa dnawatal, pa naiat yo hidal,


khabra spinol, qasam khoral (khurdan/khana), taba
vistal, pa khabra rasidal, izat warko, gham ghaltol
9- Pashto zarb-ul-imsal main bhi Arbi alfaz bakasrat
nazar aatay hain. Maslan
qagha-e-halal dai kho rang ay da mardar day
chay pa tama daso roshi
Chay aqal-e-kam vet al ay pah khona gham de
Harkat kunbay barkat de
Khapal amal dah ray mal
Tool umar kumbay mayo salam vachova
Chay sar hayat vi topaee dhairay
Marag na khalasay nishta
Pa khodaay meharban notool jahan meharba
Saqa rah bala
27

Banda da banda shitan dai banda da banda Rehman dai


2- Bohat saray Arbi alfaz apni asal ashkaal kay sath daisi
mafaheem main mustamal chalay aatay hain. Maslan
amin, ghareeb, makan, waqiya, ras, sami (assami),
rasam, qul, qalam, fikar (andaisha), misal (tasveer),
hoor, qasoor, badal, talab, ekhtalaf, shara sunat (khatna)
waghera
PUNJABI

1- Arbi kay hazaroon alfaz Punjabi zoban main apni asal


ashkal, asal aur daisi mafaheem main warad ho gay hain.
Maslan
Hamd, naat, naymat (naymat se niyamat), rahmat,
hukam (hukm), rab, jin, malaek, zahar, batan, aeb, qudrat,
sukar (shukr), malik, khaliq, surat, qehar (qehr), qalam,
kitab, hesaab, noor, arsh, ommat, rasool, makan, hakam,
olaad, Aal
28

2-Bohat se alfaz maenoon ki tabdili kay sath warad


howay hain. Maslan
Abtar, aafat, khasam, majlas, sharaab, khat, fitna, tofeeq
bamaeni
rasaee, ghareeb, Deendar dar kay lahqay kay hawalah se
nomuslim kay maenoon main mustamal hai, Asami,
ahwal, hoor, baqaya, aafaat, akhbar, waghera Punjabi
main wahad istamal hotay hain
3-Bohat se alfaz Punjabi lehjay aur talafaz kay sath
istamal main aatay hain.
Hajar (hazar), ijat (ezzat), khizmat (khidmat), baizzat
(bayizzat), roja (Roza), niyamat (naymat), sandokh
(sandooq), fasaat (fasaad) bsharma
4-Aawazain kam ki gaee hain. Maslan
Saee (Sahi), bsabra (baysabra), bqola (bayqola),
bsharam (baysharam)
Aawazoon ka tabadal aam se baat hai. Maslan
29

Maseet (masjad), lajat (lazzat), qarja (qarza), quzrat


(qudrat), aamirat (amirat) waghera
1-Muradaf aur mutbadal alfaz bhi aam istamal main aatay
hain. Maslan
Lakh (moqadar), nark/ narak/nakh (dozakh), hath da
dita (sadqa)
2- Maeni taqriban wohi rahay hain laikin ashkaal main
tabdeli aee hai. Maslan
Aakhila (aakhri), aakhirvaan, aakhila waghera
3- Alfaz gharay gay hain. Maslan
Qazae, qarzae, fotitgi, qismati, safan safa, mehnatana
waghera
4- Masadar takhleeq howay hain. Maslan
Dadlana, ghusalana, qabzana, qabolan waghera
5- Moanas Punjabi sabhao kay tehat takhleeq kiay gay
hain. Maslan
30

Sabni, ghulamni, fitni, qasaen, aaftan (kaftain bhi


mostamal hai), zidan, ansafan, ghaflan, ghafli (donoon,
moanas aur mozakar kay liay mostamal hai),
qarzan/qarjan, faraiban, zalman, qabolan, qaidan,
azaban/ajaban, fasadan, qasoran waghera
6-Jama bananay kay liay bhi Punjabi atwar ikhtayar kiay
jatay hain. Maslan
Harfaan, amaan, khasaan, amlaan, salamaan, arzaan,
lafzaan, mazoraan, akhbaraan, maghroraan waghera
Hakimoon, akhbaroon, quzratoon/qudratoon waghera
Duaein, arzaein, qazaein, hoorain waghera
Khatawaan, duawaan, atawaan, qararaan
Khatiyaan, safaeyaan waghera
7- Baishamar Arbi istalahaat Punjabi main raej hain.
Maslan
Jalaab (joraab), moja (moza), haram, halal, haj, kabah,
31

wajo/wazo, towaaf, sajdah, kitab (morad Quran), ghusal,


qabar (qabr), ibadat, baqreed (baqra Eid), jumah, sadqah,
khair khariat, masjad/maseet, fatwa, fatehah,
ghons/ghos, nabi, rasool, qiblah waghera
8- Bohat sari Arbi talmihaat Punjabi main raej chali aati
hain. Maslan
Mah kanani, aadam, Hawa, koh toor, Yusaf, Mosa, Esa,
Zakreya, Yahiya, Suleman, khizar, yad-e-baiza Faraon,
namrood waghera
Aadam kankoon mana karaya
Esa bin baap jamya
ismaeel noon ziba karaeyo
Sabar day tan kiray chalaeyo
Yusaf kho poaeyo
9- Punjabi asloob kay hawalah se Arbi ka istamal milta
hai. Maslan
32

Akhbaroon (akhbar se), taqsiroon (taqseer se), gheboon


(ghaeb se), azaboon (azab se), hazoroon (janab, aap,
hazoor waghera se)
10- Sabqoon aur lahqoon ki madad se alfaz bananay ka
Punjabi zoban main aam ravaj hai. Maslan
Ahal walaet (Ahal-e-walaet), zomawar, qadarshanas,
ghershara,
bayhesaba, Bayqadra, bayshukra (nashukra bhi
mostamal hai),
baisurta, baimehnat, baimehnata, bsurta, baiolada,
purtaqseer, zaroratwan, zaroratwand, gharazwand,
fitnadoz, ghareebnawaz, deendar,
11-Khoobsurat marakbaat Punjabi main pharnay sonnay
ko miltay hain.
Maslan
Peer faqeer, abd khdae, saaf safaee, saaf suthra, ishq
kamal, wehum khayaal, wehum goman, sabaq namaj, zida
33

zidi, Allah bhaway, makan munawar, khoof raqeeb, zohad


kitab, sawal jawab, shara shariat, oot Mohammad, haj
namaj, hosan bazaar, ajiz maskeen, khair khariat, akhbar
hakaet, hal haqiqat, hal ahwal, hal chaal, fikar andaishah,
hob mohabat, sadqay sajday, wah wa khaliq /khaliqa
/rabba, peer moreed, naqad-o-naqdi, pakka yaqeen,
sohni surat, taiz taba, saaf zoban, pak hukam
kaee haji, hika surat, her surat, asal haqiqat, aakhar noon
donyan da itbar, rahmat da mehn, ilm da fazal, Aadan da
rukh, qudrat da waali, khidmat da ant, qudrat de shiri
kujh khasi kujh aami, khar na kaee, sulah na mun
surat tay khsiat, moqadam tay patwari, peer tay moreed
mehnat vich dhehan, rahmat vich saman, haraf vich
sofaidi
12-Zarab-ul-imsal main Arbi alfaz ka istamal bara aam
hai. Maslan
Taqdeer day agay tadbeer vi naein chalde
34

Moot noon dhoya zahmat qabool kiti


Nalay haj nalay vanj
Jaee rooh tahay fareshtay
Nani khasam kita dotray noon chati
Miaan bivi razi ki karay ga qazi
Tandrusti hazar niyama (niamat) hai
Qarz qayamat bukh niyamat
13- Baishamar Arbi alfaz kay sath Punjabi masadar jur
kar mohavray afaal majhool tarkeeb paay hain. Maslan
Allah bhawan/bhavna, sadqay jana/jan, razi rehna, kaam
hon/hona, Ghulam hon, surat vaikhan/vaikhna, lutaf
karan/karma, surat likhan/ likhna, isharat hon/karan,
aakhair vakhan, qovat lavan/lavna,
bismillah karna/karan, qabool karan/karma, qasiday
pharan/phana,
himat karan/karma, matbal niklan/nikalna (matlab
35

nikalna)
14-Arbi alfaz takya-e-kalam main bhi nazar aatay hain.
Maslan
Bismillah ji, Shukar Alhamdollah, masha Allah, subhanalla,
in sha Allah, Allah Karim, Allah taala, Allah tobah, tiara
koee deen iman vi ay, apnay eman nal kavein, Allah
rakhay, Allah bakhshay, Allah Bhanay, Bismillah da sawab
bakhshan, rooh noon pandh na poway, Allah jhoot na
balay, Allah da dita sub kujh ay, Allah da mal ay,
Shukranay day nafal waghera
15-Is ibarat ko malahza karain Arbi alfaz kay istamal ka
azkhud andaza ho jaay ga:
Ustad horan di gal son kay os noon aj hadoon vad ehsas
hoya paee Rab day hukam ottay amal karkay ik qoom
aazadi di naimat hasal kar sakdi ay tay saday ghar day
halaat qaivain naein badal sakday. Os noon pakka yaqeen
si paee Rab da paigham ghalt naein ho sakda.
36

15-Bohat saray zanana aur mardan naam Arbi alfaz se


motalaq hotay hain:
Ahma (Ahmad Deen), Shida (Abdul Rashid), Gaman
(Ghulam Mohammad), fata (fatay Mohammad/Ali), phaja
(Fazal Deen), Nora (Noor Mohammad / Deen), Dulla
(Abdullah), Soda (Saood/Masood/Maqsood), phira
(Faqeer Mohammad/Ali/Hussain), faqiriya (Faqeer
Masih/Mohammad), Kamma (Karam Ali), phama (Ghulam
Fatima), Noraan (Noor baigam), Rajjo (Raj Fatima/Bibi),
Razia baigam, Shidaan (Rasheed Baigam), Hanifaan (hanif
Bibi), Shajo (Shanaz Fatima), Jantay (Jannat Bibi),
Karamtay (Karamat bibi), safo (Safora), Najo (Nzjiya),
Shammo (Shams Bibi) waghera
37

SARAKI

1- Sainkaroon Arbi alfaz apni asal ashklal kay sath asal


aur daisi mafaheem main Saraeki zoban main dakhal ho
gay hain. Maslan
Islah, inkar, dua, sehat, saman, gham, azaab, sohbat,
jahanam, taqdeer, zulm, haram, halal, zalim, mazloom,
moot, naqsh, hal, haq, deen, eman, motmin, khabar,
mosibat, sabar, talaq, mal, khair waghera
2- Tabdil-e-ashkaal kay sath Arbi alfaz Saraeki zoban ka
hissa ho gay hain:
Hawal (ahwal), khizmat (khadmat), wakht (waqt), badkh
38

(bat se tarkeeb paya hai), jamat (jamaat) waghera


3- Jama bananay kay liay bhi daisi atwar ikhtayar kiay
jatay hain:
amlaan, rasolaan, kitabaan, hisabaan, qabraan, lafzaan,
ostadaan, salataan, manzalaan, naitaan, kafraan,
faqiraan, safaeyaan, ostadiaan, shitaniyaan safay
waghera
4-Zobanain alfaz gharnay ki bhi shoqeen hoti hain.
Saraeki main bhi yah chalan mojood hai. Maslan
Salama laiki, alaki (salam ka jawab),mastori, fitni, qabool
se qabola, ghula, safaya, ashitani, sharbat, kariman,
rahiman, itbari, makri waghera
6- Sabqoon aur lahqoon se bhi Saraki alfaz tarkeeb
patay rehtay hain. Maslan
Fikarwand, fikarzan, ghermulkh, paraya mulkh, kharab
lok, nakanama ghalt aadmi, hadharam, faqeer ovas
waghera
39

7- Mukhtalif qisam kay marakbaat bhi pharnay sonnay


ko miltay hain. Maslan
Hadharam, moot hayati, moot bhali, sikde taseer, kavash
qabilay, hal hawal, fikar faraq, Allah baili (baili sahaili ka
motradaf hai/bigri hoee shakal hai), Yosaf sani, mushkal
nal, faqar walaet, zulam machan, arab sharif, sahi salam,
aqal day divay, eid da chan, lanat da tika, lanat de pand,
gham de hasi, Allah Allah, manzar manzar, Allah baili,
haiyati aala, okha marhala, Aih aadmi, aih manzar, bahoon
zalam, rolis khali, sakay aadmi, her naqsh, soom salaat,
aas ommeed, Essa de jowar, ghama di mari, til til di
khabar, zamanay da khaliq, rasmaan day khalaf, roh koon
hijar, polaan vich ghareeb, sabar tay shukar waghera
8- Baaz misray baray khoobsaurat hain. Maslan
Her surat vich toon
Ishq Fareed kaee ghar galay
Ondi surat mun vich vasdi
40

Haj hai oon mukhray da vakhan


9- Saraki kahavatoon main bhi Arbi alfaz mujood hain.
Maslan
Roti khavay shakir nal paisa bachavay maker nal
10- Saraeki jumloon main Arbi alfaz mojood hotay hain.
Maslan
Rab day khail niyaray hun
Ishq anokhri pir
Allah taein koon vadavay
Khuda kein aas mand koon khali naein torainda
Allah saein aap barkat pasi
Allah tein koon taray
Lafzaan ki mar daivan (mohavra bhi hai)
11- Moanns Arbi alfaz se tarkeeb pa gaee hain. Maslan
Qabool se qabolan, maker se makran, fitna se fitni, Rahim
41

se Rahiman, Karim se Kariman, ostadni, kafarni, kafran


bhi boltay hain
12- Kuch jamein wahad istamal hoti hain. Maslan
Aafat, talaqaan, sami (asami), hawal (ahwal), hoor,
qasoor, oqaat waghera
13- Sankroon mohavray Arbi alfaz se tarkeeb paay hain.
Maslan
Aakar pon, aakar tapawan, aameen karan, ostad pakran,
Allah rasi karan, Allah Allah karan, oqaat tay aawan, salsi
karan, roh kharab thiwan, shar chavan, shala taala
karan, shitan aawan, talaq daiwan, lanat pichoon lagan,
waqt tay pakran, khair hoon waghera
14- Bohat sari Arbi tamihaat Saraeki zoban kay
zakhira-e-alfaz main dakhal ho gaee hain. Maslan
Adam, Hawa, khizar, Mosa, Esa, Yousaf, Toor, Namrood,
Hatam, Faraoon, yazeed waghera
15- Ashkhas kay namoon main Arbi alfaz shamal ho gay
42

hain. Maslan
Mashooq Ali, Mahboob Hussain, Charagh Din, Khair Deen,
Ahmad Deen, Rasheed Ahmad, Amjad Ali, Saeed abid,
Shakar Ali, Karamat Bibi, Shela Rasool, Bushra khanam,
Nasra Parveen, Sahib Jan, Raiza Bano, Zakya, Aesha
habeeb, Shahida khatoon, fazal bibi, Umar Khair amra,
Karim Fatima, Karam bibi waghera
16- Baishamar Arbi/Islami istalahaat Saraeki zoban ka
hessa ho gaee hain. Maslan
Qabar, kafan, dafan, zokat, haj, kabah, towaf, qibla,
rasool, nabi, masjid, wazo, Quran, iman, deen, Islam,
jarab, toam, holya, halwa, nak naqshah, naqsh, taveez
waghera
17- Bohar se Islami istalahaat takya-e-qalaam ban gaee
hain. Maslan
Bismillah karan, In sha Allah, Mashalla, Alhumdollah,
Subhanllah, Allahoakbar waghera
43

18- Shaed hi koee aisi ibarat ya shair ho ga jis main Arbi


alfaz mojood na ho. Chand Ashar batoor namona malahza
hoon:
Akh day manzar mok vainday hun chakar o rag rag nay
lehnday hun
(Mumtaz Dar)
Naizay tay teer tofanag qehri naz nazar day
(Khaja Ghulam Fareed)
Noor khandavaan rataan andar akhaan koon mei vat vat
balaan
(Saleem Ahsan)
Sat sik gherkhoda di sab shay wehum khayaal
(Khaja Ghulam Fareed)
44

SINDHI

1- Ungint Arbi alfaz Sindhi zoban-o-adab ke zakhira e


alfaz main kisi qisam ki ashkali aur manivi tabdili kay
bagher dakhal ho gay hain. Maslan
iman, barkat, shukar, rooh, mal, naseeb, niat, qazi, qaem,
shahid, malik, ahmaq, ashaq, doulat, zaat, salamat, ozar,
milk, nishani, tama, hiras, khaab, mobarik, halal, haram,
eid, ilat, adat, zaroor, mulk, bala, faeda, khalaq, tabaq,
moot waghera
2-Bohat se alfaz tabdili-e-ashkal kay sath sindhi adab aur
awami bool chaal main dakhal ho gay hain. Maslan
45

Saas (sans), khatmar (naqas), zaman (zamanat), mulo


(mulaan), kasaee (sawad ki bajay seen kay sath), mamli
(moamlah), faedo (faeda), kam (kaam), eidan (eid)
waghera
3-Aksar Arbi alfaz tabdili-e-mafaheem kay sath dakhal
howay hain. Maslan
Sahib (Khuda) (taqdeer- Punjabi main bhi in mafaheem
kay sath mostamal hai), , karam, faqeer, qayaam
(qiyamat), lanat (mosibat, dukh, parishani), ghareeb,
saraf (khreeddar) waghera
4- Sabqoon lahqoon ki madad se bhi alfaz tarkeeb paay
hain. Maslan
Kamzoor
5- Arbi lafzoon ki jamain daisi tariqa se bana li jati hain.
Maslan
Hooroon, eidoon
6- Arbi alfaz ki aamaizesh se khoobsurat morakabaat
46

bana liay jatay hain. Maslan


Aqal-e-oman, ilat wahe, adat na wahe, idan mobarak, kuto
ba halal, zaat parkan, Ozar ghta, maza moqan,
mazhar-e-sidaq-o-safa, omeed-o-yaas-o-hasrat,
reshta-e-ulfat, qatra-e-shabnaum waghera
7- Bohat sari Arbi tamihaat sindhi shaeri ka hissa ban
gaee hain.
8-Bohat sari Arbi Islami istalahaat Sindhi shiar-o-adab
main bilatakalaf istamal main aati rehti hain. Maslan
zanana-o-mardana namoon main Arbi alfaz warad ho gay
hain
47

GOJRI

1- Sakroon Arbi alfaz apni asal ashkal, Arbi aur daisi


mafaheem kay sath Gojri zoban main dakhal ho gay hain.
Maslan
izzat, sehat, gham, qoom, maqsad, naimat, rahmat,
naseeb, dua, dunyan, molak, inaam, qismat, aqal, amal,
faiz, manzal, haq, fitrat, qudrat, mukhlooq, rooh, basarat,
basirat, shak, shakir, shukar waghera
2- Tabdel-e-ashkal kay sath bhi bohat saray alfaz Gojri
zoban main dakhal howay hain. Maslan
Misr o(misra), hulio (hulya), tarqo (tariqa), hiso (hissa),
48

Qsso (qissa), nafo (nafa), Talimo (taleem), nuskho


(nuskha), Janazo (janazah), qatro (qatrah), tarya (tara),
naro (nara)
3- Arbi istalahat Gojri zoban ka hissa bani hain. Maslan
Iman, deen, mazhab, qabr, halal, haram, munsaf, adil,
shitan, marz, mareez, qimat, rahmat, haqooq, haya, talaq,
jahil, qiyamat, zulm, zalim, mazloom, asool, miras,
moaljah, ishq, ashaq, mashooq, gham, yaqeen, millat,
qoom, alim wagherah
4- Arbi alfaz se baray khoobsurat Gojri marakbaat
tarkeeb paay hain. Maslan
Rahmat ko paikar, qudrat ko lashkaro, ishq ko darya,
ashaq ko dil, izzat ko thaan, Allah ko Farman, khalqat ko
gham, zulm ko hath lamairo, insaf ko hami, ilm ko sikhno,
haq ka rah, dunyan ka halat, Sacho Eab, alim fazil, suthro
intazam, haq haqooq, maqadmobazi, farman opar,
bachyan ki Tarbiat, Khuda ki rahmat, Khuda ki qudrat,
khabaan ki taveel, izzat tay iqbal, deen tay iman, maqsad
49

tay maqsood Dastoor parano, qiyamat jano, insan


banoyo, samaan banayo, mal banayo, ishq nachaway,
Kitab parhno, waqat gamao, rizq kamano, mahool
bachano, zikar karno, toor tariqo, changi Tarya, sehat
jawani, zulm kharabo, chango alim, teen talaq, manzal
khoto, thoro izzat, Changi halat, yo qool gher kay nal,
khair kay nal, waqat kay nal
5- Bohat se alfaz gherarbi mafaheem kay sath istamal
main aatay rehtay hain. Maslan
Qisma (maqsad), khair (bhaik), ghareeb (muflis, baizar,
kangal), sharab (wine), majlis, jalos, qasoor (khata),
oqaat, hikmat, shareek (shareqo) waghera
6- Arbi alfaz ki daisi tariqa se jamain bananay ka aam
rovaj hai. Maslan
Khabaan, shitanaan, haltaan, qomaan, insanaan, afataan,
khamaan, amaan waghera
7- Wahad ko jama aur jama ko wahad istamal ka toor
50

bhi milta hai. Maslan


Oqaat, ahwal, asami, hoor, kasoor waghera
8- Sabqoon lahqoon ki madad se bhi Gojri alfaz tarqeeb
patay hain. Maslam
Baitehqeeq, bainoor, maqadmay bazi, izzatdar, zimidar,
hissodar, lachaar waghera
9- Sifti sabqay lahqay bhi bakasrat istamal main aatay
hain. Maslan
Chango alim, changi tarhya, changi halat, chango misro,
suthro intazam, khoob yaqeen, yoqool, yotariqo, kul
makhlooq, halal kamaee, akhila Rab, pak nabi, choto bhai,
bohat nafo, farshaan opar, thori mehnat, pak rasool, jalvo
nairo, sacho khaliq waghera
10- Arbi talmihaat bhi Gojri shaeri ka hissa ban gaee
hain. Maslan
Aadam, Hawa, Musa, Esa, Khizar, Maraj Shareef,
shabraat, Soor israfeel, jabreel, shitan, arsh, sardar
51

lolak waghera
11- Bohat se Islami kalmay takya-e-kalam ban gay hain.
Maslan
Ji bismillah, bismillah karo, Alhamdolillah, Allah hafiz,
Mashallah, Inshallah waghera
12- Dr. Sabir Aafaqi ki nazam khud itmadi ka eak band
malahza farmaein is se Arbi lafzoon kay istamal ka
andaza ho jaay ga:
Allah tairo nasir bandya o malik tay Qader bandya
Rehiay daem shaker bandya shak na kariay Sabir bandya
Jay toon os naan yaad kariay ko
Rab sachay amdad kareay ko
13- Shadi khushi kay gitoon aur marag kay bain aur
nohoon masin Arbi alfaz ka bilatakallaf istamal hota
rehta hai.
52

MIWATI

1- Miwati main bohat se Arbi alfaz apni assal ashkal,


daisi istamal aur badaisi mafaheem main mostamal hain.
Maslan
mulak, aseel, maal, eid, mahal, sakhi waghera
2- Tabdeli-e-ashkal kay sath ungint Arbi alfaz miwati
main dakhil ho gay hain. Maslan
Munjal (manzal), Koom (qoom), khaphan (kafan), jakhman
(zakhm), kismet (qismat), majboran (majbori se), tablig
(taligh), jalso (jalsah), kheso (qessa), ojaro(ojalah), okhat
(oqat), halwo (halwa), faslo (fasla) waghera
3- Mivati main Arbi alfaz jur kar marakbaat tashkeel
53

patay rehtasy hain. Maslan


Baqareid, baqreed donoon tara se mostamal hai. Kismit
ko maro, donyan ko mal, yah asloob Gojri ka bhi hai. Sakhi
marad ko sath, Gojri main bhi issi toor se boltay hain.
Sangat aseel, khair-o-sar (shar)
4- Mivati main aawazoon kay tabadal ki kaee suratain
hain aur yahhi ravaiya Arbi kay sath hai. Maslan
a. hy maqsura ki tabadal aawaz wao hai. Maslan jalso
(jalsah), khiso (qessah), arso (arsah), (qisso qissa)
b. Punjab kay mivatioon ki thisri aur chothi nasal alaf
ki aawaz ko bhi wao main tabdeel kar daiti/rahi hai.
Maslan ando (anda)
c. Pari mivati main hay maqsura kay liay alaf ya alaf ki
se aawaz nikaltay hain. Maslan jalsa/jalso, sadmasadmo,
waghera
d. Zaal ki aawaz ka mivati jeem tabadal hai. Maslan
Jomo (zima), jikar (zikr), jael (zaiel) wagherah
54

e. Soad ki aawaz kay liay seen mostamal hai. Maslan


sab/saeb saeb (Sahib)
Khaso/khasa/khaasa (khsah)
Khalas/khalis
Sadko/sadka
Sadmo/sadma (sadmah)
f- Zawaad kay liay jeen ki aawaz bool chal main aati hai.
Maslan jaep/jaeph, oojo (wazo),
jabta/jabita/japto/jaebta (zabta), japt/japti/jabat/jabti
(zabt/zabti),
jaeya/jaya jamun/jaamun
g- Zaal ki aawaz jeem main tabdeel ho jati hai. Maslan
jakaat/jaakaat (zakat), japran/jaaphran (zafran)
h- Sheen ki aawaz ki mutbadal aawaz seen hai. Maslan
bashr se baser, shahi se sahi, Shrab se sarab/saaraab,
55

sharbat se sarbat, shubah se suba/subo


saruko/sarika/sarika/sariko
i- Qaaf ki aawaz ko kaaf main tabdeel kar daitay hain.
Maslan
shooq se sook wagherah
j- Khy ki aawaz kaaf main tabdeel ho jati hai. Maslan
khalipha/khalipho/khaelipha/khaalipho (khalifa)
wagherah
k- Fay ki aawaz phay main badal daitay hain. Maslan
aphraat/apharat/aphraat, phitno/phitna (fitnah),
pharman (farmaan), phursat (fursat), pharaj(faraz)
l- Ghasi ki aawaz gaaf main tabdeel kar daitay hain.
m- Qaaf ki aawaz ka tabadal khay bhi hai. Maslan
khissop, khasbo (qesba), tuphan(tufan)
n- Toay ki mutbadal aawaz tay hai. Maslan tuphan
(tufan), tarj (tarz)
56

o- Mivati mohavroon main Arbi alfaz ka istamal hota


rehta hai. Maslan khapun (kafun) pharan, daphan karan,
pharaib dain, tuphan avan, kismit ajman, kismat jagan,
phitno jagan, taliph pharman, honslo totan, sakal bigran
p- Bohat se Arbi tamihaat mivati shaeri main raej ho
gaee hain
q- Arbi istalahaat ki mivati main kami nahain.
r- Mardana aur zanana namoon main Arbi alfaz dakhal
ho gay hain.
Maslan
Mohammad Sariph, basir Ahmadf, Sadeek khan, Deen bibi,
jannat Bibi, Noor Boibi
s- Bar-e-Sagheer ki dosri zobanoon ki tara mivati main
noon ka hashvi istama aam se baat hai. Maslan
honslo wagherah
57

S-ar putea să vă placă și