Sunteți pe pagina 1din 3

http://indiatyping.com/index.

php/english-to-hindi-typing

Sarkar ko sandesh or Sindhi Samaj ka Sudhar

Maa or Matrabhoomi ko ek hi sthan deta hu. “Sindhu”, Ganga nadhi ki badi bahen manta hu. 7 th April
1967 ko Swarghiya Aatalji ne kaha tha Sindhi mere Mausi hai. Itna gahara nata par fir bi bahut duriya..

Ha Sindh, jis se Hind ko pahachan mili. Sind jisse Hindu Rashtra bana. Sindhu jiske kinare charo vedo ki
rachana hui, ha aaj me usi Sindh ki bhat kar raha hu jo 1947 ke sangrami mele me Bharat Mata ki godh se
bichad gaya tha. Aj vohi Sindh maa Bharati ko kahata hai ki “Maa, me aapke itna karib hote hue bi bichada
hua hu”.

Jab mene Itihas ke jannachah, google par search kiya to pata chala ki kis tarah Punjab or Bangal ko aada
aada kar Bharat or Pakistan me bhat gaya. Par Sindh pura Pakistan me chala gaya. Or pada to pata chala
ki “ Sindh ka partition isliye nai kiya gaya kyuki vaha Hindu Muslim dono dharm madurta se rahate the”.
Or aage pada to pata chala ki “Naye desh Pakistan ko aarthik taur par majbooti ke liye sampana Pradesh
dene hoge, isliye lahore or sindh ki kurbani deni padi”.

Jab Sunny Deol ki Movie “Gadar-Ek Prem Katha” me dekhta to jana ki Panjab ka vibhajan bahut buri tara
khun kharabe ke sat hua tha. Maa Baheno ki aabaru looti gait hi. Ye bat August 1947 ki hai,Maa Bharati
ko “Aajadi ka taufa” mila “Insaniyat ka Katleaam”.

Is ke viparit Sindh ka drushya Punjab or Bangal se ek dum viparit tha. Sindh or Bharat ka Vibhajan mano
sirf kagago par tha, Dilo par nai. Kul mila kar August 1947 ke dango ka Mithi Sindhadi “Mitha Sindh” par
koi jada aasar nai tha. Shayad us waqt Watsaap or Facebook nai tha isliye vaha ka aakrosh Sindh tak nai
pahucha. Fir aachanak kuch hi samay me jaise hi Jinah ki Sarkar me badkau bhashan or Pakistan ka
Islamikaran shuru hua tab Maa Bharati ke sanskaro, Hinduwadi vedik sabhyata, sindiyo ko Maa Bharati ke
prem ke karan or apna Sarva shretha Dharam or Patit pavan sanskaro ko bachane ke liye vibhajan roopi
lakir ko lang kar Nav Nirman desh me aaye. Usdin Maa Bharati ne apna beta khoya or Humare baap dadaon
ne apni Maatrabhoomi hi kho di “Aanath Bana Diya us Siyasi faisle ne”.

Apni Sindhi basha ke aalava hame kya aata tha par shrehtra mashtik ke karan, man me daya, pragati ki
jyot or insaniyat ke jinoon me hame sab sikhadiya. Aj poore Bharat vansh me Sindhi Samaj apni Khushboo
bekher raha hai. Dukh hota hai kuch unkeliye jo sindhi pariwar kisi karan vash yaha nai aapaya. Vaha raha
rahe Hindu Sindhi samudhai aaj bi Mano to Pakistani shashan se aabi bi apne aasthitva ko puch raha
hai…Ishwar unko Shakti pradan kare.

Bichadne ke bad aj tisri pidi me hum sindhi pahuch gaye hai, isliye jada log jispar yeh aapbiti hui ho aj aise
kam log hai. Jo bi Sindh ke bare me suna hai vo sirf apne dada dadi or kitabo se hi pada hai. Isi nadan or
aadi jankari hone wale maan me prashna utha ki, Panjab or Bangal ke vibhajan ki guideline par Sindh ka
vibhajan kyu nai hua. Pura Sindh Pakistan kyu chala gaya? Itihas ko pada to pata chala ki “Sindh ka do hisso
me partition isliye nai kiya gaya kyuki vaha “pura sindh shetra me sabi dharm madhurta se rahate the”.

Ladakpan or mere aanadhi man me tufan sa macha ye soch kar ki “ Kya isi madhurtamaye, aaman or shanti
priya or vikasit sabhyata hone ki saja hum sindhiyo ko mili hai?”. Par me bi sindhi yuva hu.. Man ko samjaya
ki Insan, Aaman or shanti se hi Insan ban sagta hai. Yahi sikh hamare shahid Sai Sant Kavarran sahib ne
diya hai. Nanik dev bi to yahi kahate hai. Par Us sangram or Pakistan ke Islamikaran ko insaniyat ki kya
padi thi. Or isi Aaman or shanti ki saja hum Sindhi Samaj ko Mili. Humne sahi suna hai ki “Sidhe Ped pahale
Kat diye jate hai”. To dusra saval aaya ki “Kiya thedi chal Sindhiyon ke liye aachi chal hoti?”

Me ne jobi suna tha apne dadaji or bhujurgo se hi suna hai. Har bar Sindh ke bare me batate samay unki
aakhen ghili ho jati. Bhaichara itna tha ki koi bi sindhi jab yaha aaaaya to yahi aas lekar aaya ki jab kuch
samay ke bad halat thik ho jayenge to vapic Sindh aayenge. Shayad isiliye hum apne gharo ki chabiya vaha
madhurtapurvak dusre dharm ke rahane walo ko de aaye.

Hum apne ishto ki nishaniya Jamin Jaidad, Haveliya, Sindhu nadhi sinchit Khet Khaliyan, Jhulelal Mandir,
Manora, Kavarram Dham, Hinglaj Mata Shakti peeth, ityadi sab va vaha chod aaye. Sab chod to aaye par
aaj man me baat aati hai ki

1) Hame kis galti ke karan aisa parinam hua. Shyad Hindu ekta me kamjori thi isliye?
2) Kya us samay ki Sarkar (Nehru/Jinha) hum sindhiyo se dar gaye the. Kyuki sindhi samaj politically
and Financially bharat ke baki hiss eke tulna me bahut strong tha.
3) Jinha ne Sindh ki zamin ko Soone ka Aanda dene wali murgi samja. Or Pakistam me shamil
karvaya?

Karan kuchbi ho-Mit to gai jindhagi us Sindhi Sai ki.

Par aaj aasu hamari Aakh se sukh gaye hai. Sindhi samaj ka har baccha Yuva hua hai. Apne sath ooro ko
bi paal pos raha hai. Maa Bharati ke mukut me Heera jhad raha rahi. Or taraki se Ma bharati ko Nav lakha
Mahalakshmi har bi pahana rakha hai. Har kshetra me hum sindhiyo ka varchasva hai.

Malal to sirf Yaha hai ki hume nai mili hamare purvojo ki nishaniya, Litrature, Vo Galiya, gao ki zameen ki
khushboo hame dusri pidi ko nasib nai hui. School/ College me hamare mitr bolte the ki isbar ki chuttiya
Gao me bitayenge. Par hum kaha se laye vo hamare pushto ke Gao. Kaha se laye vo Sukkar, Shikarpur,
Karachi, Larkana, Began Jarwar etc.

Rashtra geet me Sindh ka ullekh aata hai. Jo hamare desh ki aakhandta ko darshata hai, par kuch sal pahale
usse bi hatane ka muddha uthaya gaya tha. Or is samaj ko ek or chot dene ki koshish ki gait thi.

Hairani ki bat to yaha hai ki aaj hum jaha raha rahe hai, vo bi hame Sarkar ne Pakka Lease nai diya hai.
Beghar hone ki talwar abi bi hamare samaj par latak rahi hai. Ek ek kar or kitne zakham or dukh ginau,
shayad patthar bi pigal jaye.

Hal hi me News aai ki Punjab Sarkar or Kendra Sarkar ke sanje priyas se “Kartarpur Gurudwara” ke gate
khole gaye hai. Ye khabar se jitni khushi sikh samaj ko hui usse jada hum sindhiyo ko hui hai. Sindhiyo
dwara Sinchit Sikh samaj Nanak Dev hum sindhiyo ke bi ishth hai.

Sarkar se gujarish thi ki isi shanti priya sindhi dharm jo hind ki roots hai usse aj poshan ki jarurat hai. Kendra
shashan se gujarish hai ki

1) National Development Board for Sindhis. Minority nai special darja diya jana chahiye.
2) Indo Pak ke sanje prayas se Sindhu Hindu pilgrimage tour ki shuruvat kare. Har Sindhi ko Sindh me
Maa Hinglaj, Jhulelal mandir, Kavarram Dham darshan ka lab mile.
3) Sindhu Desh ke bare me bi socha jaye. Arthat Sindhi samaj ka sindhi representative Lok sabha or
Rajya Sabha me aaye.
4) Permanent Lease or Har sindhi samaj ke garib parivar ko paccha Ghar.
5) Sindhiyo ka dharmantaran sarki guano mana jai or Sarkar Sindhi Chanel 24X7 shuru karvaye.
6) Sindhi University branches har district me khule. Sindhi basha school me padaye. Sindhi bhasha
ko bachane ke shigra aati shigra kadam uthay.

Sindhi hu isliye sirf Sarkar par barosa kar ke sota rahu, ye sahi nai hoga. Isiliye me hamare samaj ke yuva
Shakti se aavhan karta hu ki:

1) Samaj Daru ki or Aagresar hua hai. Hame Hamare Baap dadao ke tyag ko yad kar pragati par badna
hai.
2) Dhan sampada humne kamaya hai. Par samaj me Siksha ka sthar badana hai
3) Shreshta samaj ko garib samaj ko rojgar Pradhan kare. Gharib parivar ko aaroghya ki Sahayata
kare.
4) Samaj ki har beti ko aacha sucharitravan Jeevansathi mile. Or Samaj ki beti ko nasihat hai ki
glamour ki jindhagi jada lambi nai hoti hai. Palakose binti hai ki apni aaulad par vishesh dhyan de.
5) Sindhi samaj apni ekta badhye. Hame keval vote bank nai bank kar rahana hai. Sindhu yuka Shakti
bane or Sarkar or shashan me shamil hokar samaj ko majboot kare.

Yahi udheshya se me Pawan Gopichand Walecha, sabi sindhi bhiyo or baheno se request karta hu ki apne
dharamik ekta banaye rakhe. Apne baccho ko sindhi bolna or panda sikhiye. Jain Hind Jain Sind.

-Pawan Gopichand Walecha

Writer: Pawan Gopichand Walecha

Contact No.: 9595532810, 7219311744

Education: MBA, M.Com, Advance Diploma in Construction & Material Management

Email Id: pavan_walecha@rediffmail.com

Profession: Working in Mumbai with Multinational Companies in Finance Department (Commercial


and Accounts) handling Accounts of Civil and Electrical Construction projects helpful for
Mankind and Society.

Interest: Social and Cultural work, Political questioning, Debates.

Address: “Manpaavan”, 1st Line, Rampuri Camp, Amravati, Maharashtra

Religion: Hindu

Language: English, Sindhi, Hindi, Marathi

S-ar putea să vă placă și