Sunteți pe pagina 1din 8

BAL YUVA HINDI MANCH MC SCRIPT - DRAFT

Shamita B Dated 11/20/2018

CHARACTERS:
Gaurav and Taneesha will play the characters of Geek Kids.

Arth and Anaya will play Munna and Circuit

Krish and Syna will play Cool Brat kids

Start of the Program


Shamita to welcome the audience and guests. Thank them for joining, explain rules about no cell phones
etc, noise etc.

Shamita calls Jugal ji on stage for Lamp lighting. Asks Ruchi and Sumit to join too.

Thank Jugal ji and he returns to his seat.

As soon as Shamita starts to say…

To doston, aaiye apne karyakram ki shuruwat karte hain apne pehle……

----------------------------------------------------------------------------------------------------------

KIDS SCENE 1 - Munna and Circuit enter on stage –


Circuit – Aye madam, chalo aapka kam khatam ho gaya abhi.. Chalo idhar se badh lo…

Shamita – Are lekin aap log kaun hain? Aur yahan kya kar rahe hain?

Munna – Are Madam, kaisi baat karti ho? Aap apun ko nahi janti?

Circuit – Are Munna Bhai aur Circuit ko to Gandhi ji bhi jante hain..

Munna – Chalo, ab aap chalo, yahan ka kam apun sambhal lenge

Shamita exits from stage..

Munna – Are Munna, apun ne madam ko to bhej diya, lekin karne ka kya hai? Ye school me admission to
le liya lekin padhai apun se nahi hoyegi…

Circuit - are tansion nahi bhai, wo peeche uncle se maine sab samajh liya hai, aaj kuch padhai nahi,
ekdum eazhy (easy) kaam hai bilkul.. apne ko kuch karne ka hi nahi hai, ye bacche log yahan pe aake
apna Program karenge, aur apun dekhenge..

Munna – are kya bol raha hai, ye school to ek dum mast hai, baache log ka program chalega, ek dum
movie ke mafik?

Circuit – ek dum aur kisi ko bolne ka nahi haan, maine peeche popcorn ka bhi intezam kar ke rakha hai..

Munna – are to phir jaldi bula na apne first group ko…

Circuit and Munna announces the first group – TBD

1
BAL YUVA HINDI MANCH MC SCRIPT - DRAFT

Shamita B Dated 11/20/2018

KIDS SCENE 2 – Gaurav and Taneesha (Both kids will look Geeky – may be wear
glasses or something)

Gaurav and Taneesha both enter the stage and looks around the audience…

Gaurav – Aap sabhi ka aaj humare is Baal yuva school ke baal manch par swagat hai

Taneesha – Humare school ke naye students Munna aur Circuit ki taraf se hum maafi chahte hai.. Par ab
ye zimmedari humare kandho par hai.. aur hum bade hi sayam aur aadar se is karykram ko age
badhaenge - hume poori asha hai ki aapko hamara last act pasand aaya..

Gaurav – Aur agar apne ye act dhyan se dekha to hume poora vishwas hai ye question jo aapki booklet
me hai – uska answer apko zarror pata hoga. Gaurav asks the question regarding the act.

Taneesha – Gaurav, ab tum question pooch hi rahe ho to mujhe ek aur question yad aa gaya

Gaurav – are haan haan bilkul poocho..

Taneesha asks her riddle –to Audience – AAP BHI DHYAN SE SUNIYEGA, “Somwar (Monday) ka din tha 2
chor bank loot kar ek car me bhage

Police apni car mein unka peecha kar rahi thi. Par car ke peeche number plate ki light kharab thi

Aur police ki car ki headlights kharab thi, par phir bhi Police ne choro ko kaise pakda?”

Gaurav – hmmm.. Somwar… Car ke peeche ki light, car ke age ki light, are yar mujhe to laga tum koi
Electromagnetic field ya Trignometry ka question poochogi.. Ye to tumne mushkil mein daal diya..

Taneesha – asks the audience/Or Jugal – if no one answers

She answers, are buddhu ye trigonometry se bhi easy hai – Somwar ka DIN tha Raat nahi ki lights ki
zaroorat padti…

Gaurav – oho Taneesha, tum aur tumhari hindi ki paheliyan

Taneesha – are isi baat se yad aaya kyu na hum apne agle karyakram ki taraf chale? It could be Kabeer
ke Dohe… They introduce the acts

2
BAL YUVA HINDI MANCH MC SCRIPT - DRAFT

Shamita B Dated 11/20/2018

KIDS SCENE 3– Krish and Syna - Cool Brats


Krish – Khush to bahut hongi tum aaj haan..

Syna – kya kehna chah rahe ho Krish?

Krish – Tumhe hi to pareshani thin a ki school mein bas padhai padhai karte rehne wale bacche hain.. lo
tumhari wish poori ho gayi…

Syna – Krish pehli bat to tum har bat pe meri tang kheechna band karo.. main un padhne wale baccho se
pareshan thi.. iska matlab ye nahi ki school me Gunde admission le le.. Aur tum to aise bol rahe ho jaise
tumhe to koi pareshani hi nahi thi..

Krish – oh dear.. mujhe kabhi bhi koui pareshani nahi hoti, you know Sanorita – bade bade desho mein
aise choti choti batein hoti rehti hain (in Shahrukh’s style)

Syna – haan wo to hai… lekin ek minute ek minute.. ye aaj tumhe acting ka naya bhoot sawar hua hai
kya? You know ki tum bahut hi bure actor ho haan…

Krish - babu moshai, ye zindagi ek rangmanch hai aur hum sab iski kathputliya, kiski dork ab khich jaye
koi nahi keh sakta

Syna – Oh aisa kya.. to beta tumhari dor to humare agle performers hi kheech denge.. kyunki wo sach
me rangmanch par apne act ka jadoo chalayenge.. tayar ho?

Krish – Accha, aisa hai to chalo dekhte hain..

Syna – Doston, hamara agla act hai ----Introduce the Group and ACT

3
BAL YUVA HINDI MANCH MC SCRIPT - DRAFT

Shamita B Dated 11/20/2018

SHAMITA INTRODUCES PREETESH


Preetesh speaks for 4-5 mins

------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Shamita – Teachers Poem – 2 mins

Call teachers on Stage – 3 teachers to be honored by Preetesh and Jugal?

--------------------------------------------------------------------------------------------------------

SHAMITA introduces ACT 4


---------------------------------------------------------------------------------------------------

BREAK IS ANNOUNCED – 30 mins


Announcement that program is starting and everyone get seated. Stage Darkens

FLASH MOB

4
BAL YUVA HINDI MANCH MC SCRIPT - DRAFT

Shamita B Dated 11/20/2018

KIDS SCENE 4 – Circuit (Anaya) AND Taneesha enters the stage –


Both look confused.. Circuit is looking for Munna and Taneesha is looking for Gaurav

Circuit – Hello (looking at Taneesha)

Taneesha – Hello, ye Gaurav kahan chala gaya.. ab hum kya karenge yahan?

Circuit - Are Maine dekha tum wo Gaurav se kuch question woshion pooch rahi thi.. tum mere se bhi
pooch sakti ho wahich

Taneesha – Tum question answer karoge? Samajh aa jayega tumhe?

Circuit – are apne ko aisa waisa mat samjho.. Apne maholle ke sab logo ke problem ka solution apun hi
deta hai.. tum pooch ke to dekho…

Taneesha – Accha to batao LAL GHODA RUKA RAHE, KALA GHODA BHAGTA JAYE…

CIRCUIT – are tumko kaise maloom ke kallu ke papa ke pas jo tanga hai usme ek Ghoda lal hai aur ek
kala? Are nahi lekin ek cheez galat kar di tumne – Wo lal wala na actually Ghodi hai.. Ghoda nahi hai..

Taneesha – Hey bhagwan… Main kyu bhala Kallu ke papa ki ghodi, ghoda ke bare me poochongi? Ye
paheli hai…

Circuit – accha to tum kya bolti ho?

Taneesha – iska answer hai AAG aur Dhuan

Circuit – oho, kya funny baatein karti ho AAG and Dhue mein Ghode kahan jayenge?

Taneesha – hey bhagwan—Gaurav kahan ho tum? Waise ek baat hai.. tum bahut funny ho Circuit – main
itna last kab hasi thi yad nahi..

Circuit and Taneesha - Aap log humara next act dekho – INTRODUCe ACT 5 will be introduced

5
BAL YUVA HINDI MANCH MC SCRIPT - DRAFT

Shamita B Dated 11/20/2018

KIDS SCENE 5 – Krish and Munna (Arth)

Krish – Munna ek bat batao, tumko itne sal ke bad ye school me admission lene ki kya soojhi?

Munna – Are apun ko Doctor banana ka hai

Krish – Are lekin Doctor banane ke liye tumko bahut padhna padega aur tum to ek bhi class attend nahi
karte, har class me to teacher tumko aur circuit ko murga bana dete hain

Munna – Are.. apun ko yahi baat to samajh me nahi aata.. apun ko dil ka doctor banana ka hai.. uske liye
khali padhne ki hi zaroorat hai kya? Are apun ko lagte hai ki apun ko insan ke dil ko samajhne ki zaroorat
hai..

Krish – kya bolna chahte ho tum? Dil ko kaise samjhoge?

Munna – are apun ko maloom hai ki life me aadhi se jyada bimariya hai na wo isliye hoti hai ki har aadmi
har time akela hai. Facebook pe 500 friends hai lekin bat karne ko koi bhi nahi..

Krish – hmm sach kaha tumne, sab log busy hai, technology se sab connected hain, lekin dil se ek dum
akele…

Munna – arey wahi to.. are tum apun ke gaon me aake dekho.. sab log subah sham peepal ke neeche
milte hain, zor zor se haste hain.. to aise hi fefdo ki exercise ho jati hai, oxygen milti hai.

Krish- Aur yahan log gym jate hain exercise ke liye.. lekin wo bhi akele, band kamro mein.

Munna – are wahi to.. agar humko ye dil ko khush rehne ka raz samajh aa jaye to har aadmi to doctor
hai.. kya bolte ho..

Krish – Munna, main to soch raha tha ki main sabse cool hoon, lekin tum to super cool ho…

Munna – Are nahi re mamu, apun cool nahi hai.. ek dum fool hai....

Krish and Munna laughs and then introduces the next Act together.

ACT6

6
BAL YUVA HINDI MANCH MC SCRIPT - DRAFT

Shamita B Dated 11/20/2018

KIDS SCENE 6 - GAURAV and SYNA comes here


Syna – Are Gaurav, tum yahan kya kar rahe ho? Wahan Taneesha tumhe har jagah dhoond rahi hai

Gaurav – accha main to library me apni book padh raha tha (SURPRISED)

Syna – Ek bat poochoon tumse, ye har time books padh padh ke tum pak nahi jate? Itna sab kuch yad
kaise rehta hai tumko? Life me kuch fun karo yar.. chill maro

Gaurav – Are books padh ke koi thak kaise sakta hai bhala.. books mein kitna kuch hota hai seekhne ko..

Syna – are lekin itna ratta marna padta hai..

Gaurav – are ratta kya? Agar har cheez ko practical life se relate karo to sab easy ho jata hai..

Syna – Accha, ek example do

Gaurav – accha man lo tum aur Krish ghar jane ki ek race lagate ho.. Agar tum apni Geometry ke
theorems janti ho.. to tum apne dimaag se hi best route nikal sakti ho aur jeet sakti ho..

Syna – are wah.. Krish se jeetne ke liye to main koi bhi theorem yaad kar sakti hoon

Both Laugh..

Gaurav – Main ek baat kahoon? Main aaj tak apni books mein itna busy raha ki kabhi tum logo se baat
bhi nahi ki.. aaj tumse baat karke bahut accha laga

Syna – Mujhe bhi Gaurav.. and I know.. hum log bhi tumhe padhaku samajh ke kabhi tumse bat karne
nahi aye.. lekin ab hum friends hain?

Gaurav –yes bikul hain….. To chalo aao hum apna next program ki taraf chalet hain? ---- MAY BE CROSS
CONNECTION (which is similar to this concept)

ACT 7

KIDS SCENE 7 - THEN ALL THE KIDS COME TOGETHER AND INTRODUCE JUGAL JI
Syna – Ye hain Indian cinema ke prakhyat/famous actor

Gaurav – Hum sabhi ne inhe child actor ke roop me bahut si movies me dekha aur saraha

Krish – Actor hone ke sath sath ye ek jane mane Director bhi hain

Arth – Inki film Roadside Romeo ke Direction ke liye inhe National Award se nawaza gaya

Taneesha – Ye Dharma Production ke Creative Development head bhi hai

Anaya – to aaiye manch par swagat kijiye, the multi talented Jugal Hansraj ji ka.

7
BAL YUVA HINDI MANCH MC SCRIPT - DRAFT

Shamita B Dated 11/20/2018

KIDS THANK JUGAL JI and then introduces ACT 8 together


SHAMITA introduces ACT 9

KIDS SCENE 8 – ALL KIDS


Taneesha – Doston, aaj hum logo ne ek nayi bat seekhi hai aur asha hai aap logo ne bhi humare sath is
bat par dhyan diya hoga

Krish – Kitni hi baar hum logo ko bina jane pehchane, unke bare me ek opinion bana lete hain.

Circuit– jaise apun ne in logo ke bare me banaya aur in logo ne apun ke bare mein. Lekin hum sab me
kuch na kuch aacha hai..

Gaurav – hum sab ek doosre se alag hain, lekin iska matlab ye to nahi ki jo mujhse alag hai wo galat hai..

Syna – to aaiye jo jaise hai usko waise hi accept kare

Munna – Aur isi dharna ke sath chale apne aakhiri Act ki taraf.—INTRODUCE the team.

ACT 10
-----------------------------------------------------------------------------------------
After ACT 10. Shamita calls everyone for participation certificate and QUIZ results. THANKS everyone –
Audience and participants.

END of Program

S-ar putea să vă placă și