Sunteți pe pagina 1din 9

Raah mein khatre bhi hain lekin thaharta kaun hai

Maut kal aati hai, aaj aa jaye, darta kaun hai

Tere lashkar ke muqabil main akela hoon magar


Faisla maidaan mein hoga ke marta kaun hai

Mere hujre mein nahi aur kahi par rakh do


Aasma laaye ho le aao zami par rakh do

Ab kahaan dhundhne jaoge hamaare qaatil


Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do

Usne jis taaq pe kuch toote diye rakhe hain


Chaand-taaro ko bhi le jaake wahi par rakh do

Ishq mein jeet ke aane ke liye kaafi hoon


Maine akela hi zamaane ke liye kaafi hoon

Har haqeeqat ko meri khwaab samajhne waale


Main teri neend udaane ke liye kaafi hoon

Mere bachchon mujhe dil khol ke tum kharch karo


Main akela hi kamaane ke liye kaafi hoon

Ek akhbaar hoon aukaat hi kya meri


Magar sheher mein aag lagaane ke liye kaafi hoon

Chaand ek toota hua tukda mere jaam ka hai


Ye mera kaul nahi hazrat e khayyaam ka hai

Humse pucho ke ghazal maangti hai kitna lahu


Sab samajhte hain ye dhandha bade aaraam ka hai

Ab teri baari hai aayine bacha le apne


Mere haatho mein jo pathhar hai tere naam ka hai

Pyaas agar meri bujha de to main jaanu warna


Tu samandar hai to hoga mere kis kaam ka hai

Siyaasat mein zaroori hai rawaadaari samajhta hai


Wo roza to nahi rakhta par aftaari samajhtaa hai

Achaanak bansuri se dard ki lehrein ubharti hain


Guzarti hai jo radha par wo girdhari samajhta hai
Kaam sab gair-zaruri hain jo sab karte hain
Aur hum kuch nahi karte hain gazab karte hain

Aapki nazron mein suraj ki hai jitni azmat


Hum charagon ka bhi utna hi adab karte hain

Apni pehchaan mitaane ko kaha jata hai


Bastiyaan chod ke jaane ko kaha jata hai

Pattiyaan roz gira jaati hain zehreeli hawa


Aur humein ped lagaane ko kaha jata hai

Suraj sitaare chaand mere sath me rahe


Jab tak tumhaare haath mere hath rahe

Shaakhon se toot jaayein wo patte nahi hai hum


Aandhi se koi keh de ke aukaat me rahe

Jhuthon ne jhuthon se kaha hai sach bolo


Sarkaari elaan hua hai sach bolo

Ghar ke andar jhuthon ki ek mandi hai


Darwaaze par likha hua hai sach bolo

Guldaste par yakjahti likh rakha hai


Guldaste ke andar kya hai sach bolo

Ganga maiyya doobne waale apne the


Naav me kisne chhed kiya hai sach bolo

Ab jo baazaar mein rakhe hain to hairat kya hai


Jo bhi dekhega wo puchega ke qeemat kya hai

Maine pehle hi kaha tha ke safein thik karein


Ab agar haar ke baithe hain to hairat kya hai

Unche-unche darbaaron se kye lena


Nange bhooke bechaaron se kya lena

Apna maalik apna khaalik afzal hai


Aati-jaati sarkaaron se kya lena
Saath hamaare kai sunehri sadiyaan hain
Humein sanichar-itwaaron se kya lena

Paanv pasaaro saari dharti apni hai


Yaar ijaazat makkaaron se kya lena

Ungliyaan yun na sab par uthaya karo


Kharch karne se pehle kamaaya karo

Zindagi kya hai khud hi samajh jaoge


Baarishon mein patange udaya karo

Shaam ke baad tum jab seher dekhlo


Kuch fakeeron ko khaana khilaya karo

Doston se mulakat ke naam par


Neem ki pattiyon ko chabaya karo

Chand suraj kahan apni manzil kahan

Aise waison ko moo math lagaya karo

Mujhme kitne raaz hain, batlaun kya


Band ek muddat se hoon, khul jaun kya

Aajizi, minnat, khushamad, ilteja


Aur main kya-kya karu, mar jaun kya

Ek pathhar hai wo meri raah ka


Agar na thukraun to thokar khaun kya

Phir jagaaya tune soye sher ko


Phir wahi lehja daraazi, aaun kya

Ye zindagi sawaal thi jawaab maangne lage


Farishte aake khwaab me hisaab maangne lage

Idhar kiya karam kisi pe aur idhar jata diya


Namaaz padhke aaye aur sharaab maangne lage

Sukhanwaro ne khud bana diya sukhan ko ek mazaak


Zara si daad kya mili khitaab maangne lage

Main jugnuon ko munh laga ke uljhano mein pad gaya


Ye bevakuf mujhse aaftaab maangne lage

Insaaf zaalimo ki hamaayat mein jayega


Ye haal hai to kaun adaalat mein jayega

Dastaar noch-nach ke ehbaab le ude


Sar bach gaya hai ye bhi sharaafat mein jayega

Dozakh ke intezaam mein uljha hai raat din


Daawa ye kar raha hai ke jannat mein jayega

Khushfehmiyon ki bheed mein tu bhool kyun gaya


Pehle marega baad mein jannat mein jayega

Waakif hai khoob jhooth ke fan se ye aadmi


Ye aadmi zarur siyasat mein jayega

Jo taur hai duniya ka usi taur se bolo


Behron ka ilaaka hai zara zor se bolo

Aankhon mein hai kuchh dil mein hai kuchh hothon pe kuchh hai
Yun bol rahe ho to kisi aur se bolo

Dilli mein hum hi bola karein amn ki boli


Yaaron kabhi tum log bhi Lahore se bolo

Jo mansabo ke pujaari pehen ke aate hain


Kulaah tauq se bhaari pehen ke aate hain

Ameer-e-sheher teri tarah keemti poshaak


Meri gali mein bhikhari pehen ke aate hain

Yahi aqeeq the shahon ke taj ki zeenat


Jo ungliyon mein madaari pehen ke aate hain

Hamaare jism ke daagon pe tabsara karne


Kameezein log hamari pehen ke aate hain

Ibadaton ka tahaffuz bhi unke zimme hai


Jo masjidon mein safari pehen ke aate hain

Ye masnadon ki siyasat siyaah chashma hai


Jise Imaam Bukhari pehen ke aate hain
Ye sahara jo nahin ho to pareshaan ho jaayein
Mushkilein jaan hi lein-lein agar aasaan ho jaayein

Ye jo kuch log farishton se bane phirte hain


Mere hathhe kabhi chad jaayein to insaan ho jaayein

Uski kathhai aankhon mein hai jantar-mantar sab


Chaaku-vaaku churiyaa-vuriyaa khanjar-vanjar sab

Jis din se tum ruthi mujhse ruthe-ruthe hain


Chaadar-vaadar takiya-vakiya bistar-vistar sab

Mujhse bichhadkar wo bhi kahaan ab pehle jaisi hai


Feeke pad gaye kapde-vapde zevar-vevar sab

Ishq-vishq ke saare nuskhe mujhse seekhte hain


Taahir-vaahir Manzar-vanzar Johar-vohar sab

Nishaane chook gaye sab nishaan baaki hai


Shikaargaah mein khaali machaan baaki hai

Ye aur baat ke ab khushbuyein nahin lekin


Hamaari taaq mein ek itrdaan baaki hai

Phir ek bache ne laashon ke dher par chadhke


Ye keh diya ke abhi khaandaan baaki hai

Wo bevakoof zamin baantkar bahut khush hai


Use kaho ke abhi aasmaan baaki hai

Abhi ganimat hai sabr mera abhi labalab bhara nahi hu


Wo mujhko murda samajh raha hai usse kaho main mara nahi hu

Wo keh raha hai ke kuch dino me mita ke rakh dunga nasl teri
Hai uski aadat dara raha hai hai meri fitrat dara nahi hu

Tufaan to is shahar mein aksar aata hai


Dekhein abke kiska number aata hai

Yaaron ke bhi daant bahut nukile hain


Humko bhi saanpo ka mantar aata hai
Kabhi akele mein milkar jhanjhod dunga use
Jahan jahan se wo toota hai, jod dunga use

Mujhe wo chhod gaya ye kamaal hai uska


Iraada maine kiya tha ke chhod dunga use

Paseene baantta phirta hai har taraf sooraj


Kabhi jo haath laga to nichod dunga use

Bacha ke rakhta hai khudko wo mujhse sheeshabadan


Use ye darr hai ke main todfod dunga use

Maza chakha ke hi maana hu main bhi duniya ko


Samajh rahi thi ke aise hi chhod dunga use

Har ek zarra sitara sifat na ho jata


Ye khaak hasil-e-konomakaan ho jati

Agar huzoor ka saaya zamin pe pad jaata


To ye tamaam zamin aasmaan ho jati

Dil dhadakne ka tasavvur hi khayaali ho gaya


Ek tere jaane se saara shaher khaali ho gaya

Shayari mein bheek maangi ja rahi hai aajkal


Shair kaasa ho gaya shayar sawaali ho gaya

Aap chillate rahein jamhooriyat-jamhooriyat


Meri nazron mein to ab ye lafz gaali ho gaya

Ye imaarat haan yahi sansad bhawan-sansad bhawan


Ye hamaare desh ka mandir tha naali ho gaya

Apne sannaton mein dooba ek goonga aadmi


Dil ki masjid mein azaan dekar bilaali ho gaya

Bulaati hai magar jaane ka nai


Ye duniya hai idhar jaane ka nai

Mere bete kisi se ishq kar magar


Hadd se guzar jaane ka nai

Kushaada zarf hona chahiye


Chhalak jaane ka bhar jaane ka nai

Sitaare nochkar le jaunga


Main khaali haath ghar jaane ka nai

Wo gardan naapta hai naap le magar


Zaalim se darr jaane ka nai

Neele peele udhe bhoore kaale hain


Sab apne hi zeher se marne wale hain

Humko katra kehkar hasna thik nahi


Yaar samandar hum bhi pani wale hain

Andhere chaaro taraf saaye-saaye karne lage


Charaagh haath utha kar duayein karne lage

Saleeka jinko sikhaya tha humne chalne ka


Wo log aaj humein daaye-baaye karne lage

Lahu-luhaan pada tha zami par ek suraj


Parinde apne paro se hawaayein karne lage

Zami par aa gaye aankhon se toot kar aansu


Buri khabar hai farishtey khatayein karne lage

Tarakki kar gaye bimariyon ke saudagar


Ye sab mareez hain jo ab dawayein karne lage

Ajeeb rang tha majlis ka khoob mehfil thi


Safedposh uthe kaayein-kaayein karne lage

Kaisa naara kaisa kaul Allah bol


Abhi badalta hai mahaul Allah bol

Kaise saathi kaise yaar sab makkar


Sabki neeyat daanvadol Allah bol

Jaisa gaahak waisa maal dekar taal


Kaagaz mein angaare tol Allah bol
Chhod zamin par apni chhaap samte naap
Dilli ho ya Asansol Allah bol

Aisi sardi hai ke suraj bhi duhai maange


Jo ho pardes me wo kisse razaai maange

Agar khilaaf hain hone do jaan thodi hai


Ye sab dhuan hai koi aasmaan thodi hai

Lagegi aag to aayenge ghar kai zad mein


Yahaan pe sirf hamaara makaan thodi hai

Hamaare munh se jo nikle wahi sadaqat hai


Hamaare munh mein tumhari zabaan thodi hai

Main jaanta hoon ke dushman bhi kam nahi


Lekin hamaari tarah hatheli pe jaan thodi hai

Jo aaj saahib-e-masnad hain kal nahin honge


Kiraayedaar hain zaati makaan thodi hai

Sabhi ka khoon hai shaamil yahaan ki mitti mein


Kisi ke baap ka hindostaan thodi hai

Jaake ye keh de koi sholon se chingaari se


Phool is baar khile hain badi taiyyari se

Baadshahon se bhi phenke hue sikke na liye


Humne khairaat bhi maangi hai to khuddari se

Ae khuda phir ye azaab aur ye sitam kiske hain


Tu to is baat se waqif hai ke hum kiske hain

Aaj jab naam-e-nabi likha to andaaza hua


Lafz kyun paida hue loh-o-qalam kiske hain

Apne haathon ko wo patwaar bhi kar sakta hai


Hausla hai to nadi paar bhi kar sakta hai
Jurm khud karna aur ilzaam kisi par dharna
Ye naya nuskha hai bimaar bhi kar sakta hai

Ek huqumat hai jo inaam bhi de sakti hai


Ek kalandar hai jo inkaar bhi kar sakta hai

Dhundta phirta hai tu der-o-haram mein jisko


Moond le aankh to deedaar bhi kar sakta hai

Jaagte rahiye ki awaaz lagaane wala


Lootne walo ko hoshiyaar bhi kar sakta hai

Ab apni rooh ke chhalon ka kuch hisaab karoon


Main chahta tha charaagon ko aaftaab karoon

Buton se mujhko ijazat agar kabhi mil jaye


To shaher bhar ke khudaon ko benaqaab karoon

Us admi ko bas ek dhun sawaar rehti hai


Bahut haseen hai duniya ise kharaab karoon

Ye zindagi jo mujhe karzdaar karti rahi


Kahin akele mein mil jaye to hisaab karoon

Unche-unche darbaaron se kye lena


Nange bhooke bechaaron se kya lena

Apna maalik apna khaalik afzal hai


Aati-jaati sarkaaron se kya lena

Saath hamaare kai sunehri sadiyaan hain


Humein sanichar-itwaaron se kya lena

Paanv pasaaro saari dharti apni hai


Yaar ijaazat makkaaron se kya lena

S-ar putea să vă placă și