Sunteți pe pagina 1din 1

ISLAM EK KHOOBSURAT MAZHAB

Posted On 09 Jan 2013


By : Shezah Ali
6 Comments
Dunya mai mukhtalif mazahib hain jnpar croron log imaan rkhtay ain. Mazhab kici be insaan ki
zindage ka sub sy aham hissa hai, jskay lye insaan agr jaan ly skta hai tau dy be skta hai. Kaha
jata hai k kum o baish har larai ki bunyaadi waja mazhab hai. Hindu, Isaai, budh, musalmaan aur
bht saray mazhab aur akaiid par mushtamil hazaron log ye samajhtay hain kay unka mazhab
sucha aur khara hai, baqi mazahib mai kuch na kuch kami hai. Har mazhab kay pairokaar
mukhtalif dalayl sy apnay mazhab ka difaa krtay hain, bht saray adeeb aur musanif apnay mazhab
kay baray mai kitaabein likhtay hain jsmay unk mazhab kay baray mai likha hota hai. Kaen dafa
kuch log apna mazhab tabdel krk dusra mazab ikhtiyaar krtay hain, unky mutabiq unka mazhab
kamzor hai, jub kay haqeeqat mai unka aqeeda kamzor hota hai. Bht saray log es dunya mai aisay
be hain jo khuda par emaan ni rkhtay jnka koi mazhab nahe hai. Kyun kay mazhab unki zindage
mai khaas ehmiyat nahe rkhta.

Hindu, Isaai, en ka shummar dunya kay sub sy puranay mazahib mai hota hai, jb k Islam
nisbatan naya mazhab shumaar kiya jata hai. Islam ek bht he waseeh mazhab hai, jsmay zindage
kay har mamlay, zaroorat k mutabiq insaan ki rehnumaai ki gae hai. Islam kya hai? Es baat ko
samjhnay kay lye Islam ka mutaalaya zaroori ai. ALLAH Kareem ny apnay mehboob Nabi
S.A.W.W kay zariyay ek kaamil namoona paish kiya. Nabi S.A.W.W nay aisa kaamil aur aalaa
namoona paish kiya jski misaal nahe milti. Islam mai har cheez ka hul hai, chahay mazhab ka koi
mamla ho, tijaarat ho, siyasat ho, hakoomati nizaam sy mutaliq koi masla ho, muaasharti zindage
ho, azdawaji zindage ho Islam mukamal Zaabtaye Hayyat hai. Hazaron logon ny esay rehnumaai
hasil ki aur tahayaat haasil krtay rhein gay. Islam amun ka mazhab hai, jsmay tashadud ya larai k
lye koi gunjaaish nahe.

Islam apnay pairokaron ko taleem daita hai kay wo ALLAH ka paigham dusray logon ko
puhnchaye magar unhe zabardasti qa’ail krnay ki koshish na krein. Ek survey kay mutabiq dunya
mai sub sy zyada qabool kiyay jana wala mazhab Islam hai. Aur dunya mai sub sy zyada Isaai
hain phir Musalmaan. Islam bht saada mazhab hai jsmay ek ALLAH, usk Nabi
aakhruzamaan Hazrat Muhammad S.A.W.W , akhri ilhaami kitaab Quran, aur Qayamat par
pukhta imaan hai.

Islam har kisam ki farsooda riwayat sy paak hai. Islam mai har cheez kay haqooq wazay tarikay
sy bayan kiyay gaye hain. Islam tmaam mazahib sy mukhtalif hai kay ALLAH ny apnay
maan’any walon aur raazi bandon ko Jannat ki khushkhabri di ha. Dunya mai bht saray logon ny
sirf esi lye Islam ko apnaya kay ye dusray mazahib ki tarah tarameem sy paak aur waisa he hai
jaisa Nabi S.A.W.W. k zariyay ALLAH Rabul Izzat nay utaara tha. Islam mai kici waswasay ya
shuk ki gunjaaish nahe, ye ensub sy paak hai.

S-ar putea să vă placă și