Sunteți pe pagina 1din 20

*~ILM-E-RAMAL ( GEOMANCY ) ~*

ILM-E-RAMAL :-
Pak hai woh zaat jes ny aisy pak uloom makhlooq ke
bhalai aur mushkil khushai k leye autary aur Pak hain woh
hastiyan jen par ye Ilm autary gaye aur unhoun ny
khedmat-e-khalq ke aur in uloom-e-mukhfi ko aam
kiya,Ilm-e-ramal woh qadeem ilm jes k zarye ham kesi
shaks ka mazi haal aur mustabil ka sirf aik zaicha bana
kar bata sakty hain ramal k aik zaichy sy pory 144
sawalaat k jawabaat milty hain ,aur dosry tareky sy 164
tak jawabaat milty hain,Ramal ka lafz apny maeny k
hisaab sy bohat he waseh hai yani k reayt jestarhan
regestaan mn reyat k koie andaza nahe laga sakta usi
tarhan ye ilm bhe la mehdood aur bohat wusehat leye
hoay hai,is ilm ko lakeron ke science kaha jaye tu ghalat
na ga is ilm k ahaty mn khaliq-e-kainaat ny har cheez ka
hissa rakh diya hai is leye ye ilm nehayat sacha aur sahe
hai .

ILM-E-RAMAL KE TAREEKH :~~


ketaab tareekh-e-alam ibn-e-khuldoon lekhte hai k "ilm-e-
ramal ka nuzool Hazrat Daniyaal a.s par ALLAH ny ba
wasatat jibraiel a.s kiya". is ilm ke ibtada tu pehly hogaie
the albata uooj par unky dour mn aya yahan ye lekhna
bhe zarori hai k ahly hind hazrat daniyaal alahy salaam ka
ustaad Tem Tem Hindi ko manaty hain jesy k surkhaab
ramal k musanif pro.hakeem munshi raghbeer singh
sayah apni book k page 7 par lekhty hain k "aam rewayat
mowajed is ilm k daniyaal a.s hain ,agay chal kar lekhty
hin k ye ilm bhe ejaad kardah mahereen falsfa
wa science ahly hind hai isky saboot k tur par ahly hind
dairah abdah ko pesh karty hain jo tarteeb kardah
daniyaal a.s hai aur ye he woh dairah hai jesko asal aur
taskeen aur uml-ul-dawair aur taskeen tem tem hindi bhe
kehty hai aur isi tem tem ko ahly hind hazrat daniyaal ka
ustaad kehty hain isi wajah sy is ilm ko woh khud sy
mansoob karty hain ,hakeem tem tem hindi ka zamana tu
pata nahe albata agr tem tem k laghwei maeny dekhy jain
tu tem buzruge barai aur ala ko kehty hain dosry maney
maal-e-basyaar k hain aur jes tarhan tem tem muraqab
hai tu is sy ( jibraiel a.s muraad hain ) yani k ahly hind
jesko hakeem tem tem hindi k naam sy janty hain aur
hazrat daniyaal ka ustaad kehty hain woh hazrat jibraiel he
hain har tarhan is naam-e-pak k leye barai he barai pai jati
hai .

s.nazir hussain ba hawala tareekh khuldoon apni book mn


lekhty hain k ilm-e-ramal k asaar ahly misr k han bhe
mojood thy faroos nami misri kahen is ilm ka bani mubani
tha jes ny is ilm par ketaab lekh kar sandook ko tala laga
kar band kardi the aur mumfis k daldalon mn aik muqaam
par rakh de the jesy egypt k 3rd shahi khandaan ky 4th
badshah ramees doyum ny wahan sy nekalwaya ,isi
badshah k dar bari kahein sistaamoon ny dobara is ilm ko
misr mn zindah kiya.

ahl-e-yunan bhe ilm-e-ramal janaty thy aur mashoor falsafi


jalenos bhe apny dour ka by badal ramaal tha ,isi arhan is
ky baad sukraat aur aflatoon be is ilm k ulma mn shumaar
hoty hain,yunan sy ye ilm italy walon ny aur wahan sy
tamaam aqwaam-e-europe nyhasil kiya,phir jab muslmaan
aur aqwam-e-europe aik dosry mn shamil hoay tu
musalman ulma ny is ilm mn tarhan tarhan ke
mushghafiyn bayan karky ahly europe ko is sy mazeed
roshnaas kiya.
muslmaan ulma ny is ilm ko kuldi kahenun aur
iranai wasateer sy sekha aur is ilm ko miraaj-e-kamal tak
pohanchaya ,isi waja sy ahd-e-qachaar ka mashoor aur
maroof irani ramaal Surkhaab apny dour ka by badal
ramaal tha ,is hakeem ny ilm-e-ramal ko is kamaal tak
pohanchaya k ajj ye ilm baqaida science mn shumaar hota
hai .
ILM-E-RAMAL AUR AMBIYA ALHAY SALAAM :-

ilm-e-ramal aik aisa ilhami ilm hai jo ambiya alahy salaam


par wahe k zarye ya dosry zaraye sy autara gaya ,
bohat sy ambiya alahy salaam is ilm k mahir thy
lekin tareekh mn jenka zikar hamein milta hai aur jenke k
naaam hamein aimah masomeen a.s k zarye rewayaat mn
milty hain un mn Hazrat Adam a.s,Hazrat Shees
a.s,Hazrat Idrees a.s hazrat Esa a.s hazrat Daniyaal a.s
Hazrat Armia a.s Hazrat Ashieya a.s,Hazrat Luqmaan
a.s,Hazrat Dawood a.s Hazrat Kheizar a.s isky elawa bhe
yaqenan is ilm ko bohat sy ambiya janty houngay lekin in
ambiya mn hazrat daniyaal a.s aur hazrat idrees a.s k
naam ilm-e-ramal k hawaly sy bary he mustanid
hain,Hazrat daniyal a.s sy tu ramal ka aik daira bhe
mansoob hai jesko daria-e-daniyaal bhe kehty hain
.ketaab aftaab-e-ramal(1289 h) musanif sm.hasan
/ghulaam hasan munajim sultani dehalvi page 4 par lekhty
hain k "ye ilm asmani ilm hai ALLAH jaly shanahu azro-e-
wahi ky 7 peghamberon ko ata farmaya".

ILM-E-RAMAL AUR AIMAH-E-AHLYBAIT A.S :~


rasekhouna fel ilm AHLY BAIT A.S he hain jen sy quran
mn pouchny ka hukum hai jo ham nahe jantyaimah-e-ahly
bait a.s in tamaam atni uloom k khazany k malik hain aur
koie ilm aisa nahe jo in k dast-e-akhtiyar mn na ho .
ketaab mufateh-ul-ghaib urdu edition mn musanif
moulana syed najam-ul-hasan sahabpage 28,29 par
lekhty hain k Hazrat imam JAFER-E-SADIQ A.S ny ilm-e-
ramal ,ilm-e-kemiya,ilm-e-jaffer par aik ketaab lekhi the,
ketaab raheem-ul-ramal hisa 2 k page 6 par musanif
dr.abdul raheem lekhty hain " aik rewayat mn hai ky ye
ilm(ramal) degar mutabarik uloom ke tarhan apni asli halat
mn hazrat sahib-ul-asar imam MAHDI a.s k pass moujood
hain,(Hazrat Ali a.s k hath ke lekhi hoie ketaab jaffer al
jameh jes mn qayamat tak k waqiyaat darj hain woh bhe
unke pass hai) imam jafer-e-sadiq a.s
astrology,asronomy,kemiya,numerology,jafer aur dosry
uloom ke tarhan ilm-e-ramal bhe janty thy .
RAMAL KE SHAKAL LEHYAAN AUR HAZRAT ALI A.S
:~~
ramal ke shakal rehaan jo lehyaan kehlati hai ka pehla
hurf alif hai ,number 1 aur sitara mushtari k sath hai ,yani
lehyaan dairah sukan,abdah,daniyali,abjad,asah,ansar ya
dairah-e-hurf ya aks k pehly khany mn ati hai sirf dairah
buzuh dosry khny mn ati hai dairahabdah mn chunky
nuqaat ko ahmiyat hasil hai lehaza lehyaan ka abdah mn
khana awal mn ana nehayat mubarak samjha jata hai ,is
mn 7 nukty hain pehla atishi,2 nukty hawai,2 nukty abi aur
2 khaki hain ,awal nukta atish lehyaan ke jaan hai agar
ham pehly nukty ko badal kar dosry tesry ya chuthy
number par ly aien tu mafhoom he badal jata hai .

ilm-e-ramal mn nukty ko bohat ahmiyat de hai kesi k


zaichy mn lehyaan ka ajana intehai mubarak aur khush
bakhti ke alamt mana jata hai aur kesi bhe ramaal ko
zaichy k pehly ghar mn lehyaan ko dekh kar nateja
nekalny mn dyr nahe lagte,hazrat Ali a.s ka nukty aur
lehyaan k sath kya taluq hai ye baat tabhe samjh ayege
k jab is nukty ko atish ke bajaye noori taswur
kareingay wesy ghour kiya jaye tu asal mn atish ny bhe tu
noor he sy janam liya hai.
hazrat Ali a.s aik dafa hazrat ibn-e-abbas r.a sy surah-e-
hamd ke tafseer bayaan farma rahy thy,app ny farmaya
jetny bhe awaleen aur akhireen uloom hain sab
quran majeedk andar hain jo kuch quran k andar hai woh
surah hamd k andar hai jo kuch surah-e-hamd k andar hai
woh BISMILLAH mn hai aur jo kuch BISMILLAH mn hai
woh BISMILLAH ke BY mn hai aur mn woh NUKTA hun
jo BY k nechy hai yani Hazrat Ali a.s markaz dairah-e-
uloom awaleen aur akhireen hain jesky mutaliq HUZOOR
S.A.W.W ny farmaya "MN ILM KA SHEHAR HUN AUR
ALI USKA DARWAZA HAIN " agar by k nechy sy nukta
hata diya jaye tu baqi kuch nahe bachta tu NOORI NUKTA
wajood-e-Hazrat Ali a.s hai .
LEHYAAN KE SEFAAT :~
1-saad akbar
2-hurf alif,
3-kokab mushtari,
4-mizaaj atshi-sharqi
5-khandaan shreef ala ilm aur fazal ka gharana
6-khush khalq,ze feham,fasahat aur balaghat
7-peshani aur sena fraakh
8-mahir ilm-e-riyazi,qazi,adalat,kachehri
9-muqaam baland,masjid,ibadat gah
10-din jumyraat
11-makkah,mashhad,neshapur,NAJAF
12-Taaj
(hawala:mukammal ramal surkhaab page 122.)
LEHYAAN KE SEFAAT AUR HAZRAT ALI A.S :~
1-app saad akbar hain "ALI k chehry ke taraf dekhna
ibadat hai"(hadees)
2-hurf alif zaat-e-BARI TALA k sath hai aur Hazrat Ali
wajahullah hain (hadees)
3-kokab mushtari aik saad akbar kokab hai aur hazrat ali
ke tamam kawakib par hukmrani hai app k aik ishary sy
doba howa suraj palat aya tha(bohat zada kutub mn ye
waqiya naqal kiya gaya )
4-atishi mizaah,mashriqi,kufaar k leye app ke talwar atish
aur ahbab k leye harer wa parneyan ,qela khebar ko apny
fuladi hathon sy aukhaar kar phenk diya aur marhab wa
antar apni atishi talwaar sy tukry kardiye
5-app bani hashim k shareef aur ala khandaan mn
paida hoay ,jes ka shajarah nasb hazrat IBRAHEEM A.S k
sath milta hai
6-app ko huzoor-e-akram s.a.w.w k baad ilm aur hekmat
mn woh muqaam hasill tha j kesi aur k naseeb mn na tha .
7-app ka sena kushada peshani ALLAH k noor sy roshan
the,HUZOOR S.A.W.W. ny farmaya k "ALI K chehry ke
taraf dekhna ibadat hai ".
8-app ko ilm-e-riyazi mn jo maharat hasil he woh kesi aur
ko hasilnahe the,riyazi ke aik shakh al jabra ke ejaad bhe
hazrat ALI a.s ny ke the,app ko ilm-e-jaffer par aubur hasil
tha ,app ke lekhi hoie jaffer al -jamah mn qayamat tak ka
haal darj hai .
9- app jaisa mansab ,adil aur qazi ajj tak paida nahe hoa
hazrat ALI A.S k hazron faisly tareekh mn mojod hain
mulaheza ho ketaaab hazrat ali a.s k faisly.
10-app ALLAH k ghar baitullah k andar paida hoay
aur ALLAH k ghar masjid-e-kufa mn shahdat pai(ba kaba
wiladat,ba masjid shahdat)
11-makkah mn paida hoay aur najaf ashraf iraq mn dafan
hoay
12-taj ko is leye faziliyaat hasil hai k woh badshahon k
saron par pehnaya jata hai ,app k sar par ALLAH ny ilm-o-
hekmat aur taqwa ka taaj pehnaya,aur app k sar
parRASOOL ALLAH S.A.W.W ke janashini ka bhe taaj hai
.
agar app ghour karein tu sajdy ke halat mn jo neshaan
banta hai asal mn woh he lehyaan ka neshaan hai sajda
nukta do hath k darmiyaan ke aik lakeer bani tang kghutny
aur poun ke aik aik lakeer bani 0 l l l ,aur HAZRAT ALI a.s
isi sajdeh ke halat mn zakhmi hoay aur shahadat pai.
ye lehyaan k woh ausaaf hain jo HAZRAT ALI A.S ky
sewa kesi mn nahe paye jaty .
RAMAAL KY AUSAAF :~(THE GEOMANCER)
Aik ramaal ko paband-e-ahkaam-e-shariyat hona bhot
zarori hai uski zubaan sy jhoot na nekalta ho km bolny
wala km sony wala ho aur fuzool aur laghu guftugu sy
parhaiz karta ho na kesi ke tareef par khush ho aur na
kesi k bura kehny par ghamzada,har ahkaam ko men janib
ALLAH ke neyat sy batyae us mn apni raye shamil na
kary,jo baat batany k qabil na ho us ko ishary sy
samjhay,zaicha banay sy pehly ALLAH ke bargah mn
apny matlab k hal k leye dua kary, zaichy mn khob ghor-o-
khos kary zaicha banay sy jawab dyny tak sail k sawaal ko
zehan mn rakhy .pak libas pehny aur khubu ka apny
qareeb ahtimam kary.

RAMAL K QUR'RY DICES : ~


wesy tu zaicha-e-ramal banay k leye ashkaal nekalny k kai
tareky hain lekin jo tareka qadeem aur ajj tak sahe chala
araha hai woh bazarya dices ka hai is mn ramaal sail sy
sawaal ke neyat karwa kar dices dalwata hai aur us sy
hasil shapes ko zaicha mn daal kar zaicha tarteeb dyta hai
is kesam k zaichy mn jawaab usi surat mn sahe ata hai
jab k qur'ra-e-ramal dices belkul sahe bany hun ur unke
banawat mn kesi kesam ke kmi aur ghalti na hoie ho

DICES KE TAYARI :~

dices ke tayari mn 7 dhatein seven holy metals use hoti


hain ye saath dhatein sath setaron sy mansoob hain jab
sail sawaal k leye dices daly ga tu un dices mn 7 stars ke
power already mojood hoge jes sy sawaal sahe ayega, in
sab dhaton ke aik muqarara miqdaar mel kar ramal k
dices banati hain is ky banany k leye waqt tehweel aftaab
dar burj hamal afzal waqt hai ,banany wala pak saaf ho
aur qibla ro hokar banaye .

ILM-E-RAMAL KE BOOKS :~
ramal ke kai books markets mn available hain un mn sy
kuch kaam ke books porani urdu zubaan mn hain jesko
aam admi k leye samjhna itna asaan kaam nahe aur jo
nayaab books hain woh sab zada tar farsi aur arabic mn
mojood hain aam melny wali books is ilm par batur sanad
k tur par pesh nahe ke jasktein albata aik book jesko
ramaal bible of ramal kehty hain us ka naam surkhaab-e-
ramal hai ye bohat ache book hai magar is ka samjhna
asaan kaam nahe jo log ramal sekhny k khowaish mand
hain woh raheem-ul ramal ka mutala karein aur yaad
rakhein har ilm ko sekhny k leye aik ustaad ke zarorat hoti
hai
.
SAWAAL APP KA JAWAB RAMAL KA :~
AGAR APP APNY KESI BHE MASLY KY HAL KY LEYE
SAWAAL KARNA CHAHTY HAIN TU IS TARIKY PAR
AMAL KARKY KAR SAKTY HAIN .

S-ar putea să vă placă și