Sunteți pe pagina 1din 2

*******{ Wazu aur Miswak ki Sunnatain }

*******
Jub zarurat se farig hon to wazu karna chahiye aur jub wazu Karen to in
sunnaton ka lihaz rakhen, hamara wazu hamare Rasool sallaallahu alaihi
wasallam ki pyari sunnaton k sath ada hojaye. Kis qadar khush nasibi ki baat hai.
1. wazu se pehle (bismillahir rahmanir rahim) padhiye.(bukhair,muslim)
2. wazu k shuru me dono hath gatton tk teen martaba dholijiye.(bukhari,muslim)
3.Chahra dhone se pehle kulli kijiye aur naak saaf kijiye.(bukhari,muslim)
4. bayen hath se naak saaf kijiye.(bukhari,muslim)
5. kulli krne aur naak saaf krne me mubaliga kijiye, han!agar roze daar hai to
mubalga na kijiye, aik hath se kulli krna aur aik hath se naak saf kijiye, Huzoor
sallaallahu alaihi wasallam ne aik hath se kulli ki aur aik hi hath se Naaksaf kiya.
(bukhair,muslim)
6. wazu me kulli krte waqt miswak kijiye.Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne
farmaya:Agar meri ummat per ye baat shaq (mushkil) na guzarti to mai unhe har
wazu k sath miswak ka hukum deta.(ahmed,nasai).
7. Agar dadhi ghani ho to Chahra dhote huwe dadhi ka khilal bhi kijiye Huzoor
sallaallahu alaihi wasallam wazu me apni dadhi ka khilal kiya karte the.(tirmizi).
8. Poore sir ka masah kijiye jaisa k mash karne ka masnoon tariqa hai.
9. hato aur pairon ki ungliyon ka khilal kijiye, Huzoor sallaallahu alaihi
wasallamne irshad farmaya, wazu achhi tarah karo aur ungliyon k darmiyan
khilal karo.(abudaood,tirmizi,nas ai)
10. haton aur pairon ko dhote huwe sidhijanib se shuru Karen, is tarah k pehle
sidha hath phir baya hath pehle sidha pair phir baya pair dhoyen, Huzoor
sallaallahu alaihi wasallam ko joote pehenne aur pakizgi hasil krne wagaira me
sidhi janib se shuru krna psnd tha.(bukhair,muslim).
11. Har azu ko aik martaba se zyada yanido do martaba ya teen teen martaba
dhoyye, jaisa k hadees me hai k Aap sallaallahu alaihi wasallam ne do do
martaba bhi aaza-e-wazu ko dhoya aur teen teen martaba bhi, albatta 3 martaba
se zyada na dhoye.
12. pani k istemal me aai’tedal se kaam lijiye, pani ka istemal had se zyada bhi
na ho ko israf hojaye aur na bilkul kmk aaza bhi sahi tour per na dhule,
Huzoorsallaallahu alaihi wasallam pani k Istemal mi Aitedal (miyanarvi) se kaam
lete the.
13. Apne ghr me wazu kar k masjid jayye, Huzoor sallaallahu alaihi wasallamne
Irshad farmaya, Jo Shaksh apne ghr me wazu krta hai phir allah k ghron me se
kisi ghr ki taraf chl kar jata hai ta k Allah Tala k Farayez me se koi fariza ada
kare to us k qadmon me se har aik qadam aik gunah ko mitata hai aur dusrahar
qadam aik darja ko bulnd karta hai.
14. wazu se farig ho kar Allah Tala k Mabood hone ki aur Muhammad Arabi
sallaallahu alaihi wasallam k Rasool hone ki Gawahi dijiye aur yun kahiye.("Ash
hadu An laa iIlaaha illallaahu Wahdahuu Laa Sharikalahuu Wa Ashhadu Anna
Muhammadan Abduhu WaRasooluhu" jo koi wazu k baad ye kalimaye shahadt
padhta hai Jannat k Aaton Darwaze us k liye khul jate hai jis darwaze se chahe
dakhil hojaye.(muslim)
15. wazu k baad 2 rakhat Namaz ada kijiye, Huzoor sallaallahu alaihi wasallamne
irshad farmaya, Jis ne Mere wazu ki tarah wazu kiya phir 2 Rakat Namaz ada ki
Aur un 2 rakat k ada karte hue koi Dunyawi Khayal dil me na Laye, us k pichle
gunah muaaf Kar diye jayenge.(bukhari,muslim)
16. Har azu ko acchi tarah dhoyyen k har aik ka haq ada hojaye.(bukhari).
*********{ Miswak}**********
Miswak krna bhi aik aisi azeem sunnat hai k aik Musalman aik din aur aik raat
me 15,20 martaba kam as kam miswak krskta hai, is tarah 15,20 martaba is
sunnat k ada krne ka sawab is k naame aamal me likha jaye ga jo Zakhiraye
Aakhirat bn jaye ga.
Panch waqt Namazon k waqt miswak kijiye,Tahajjud,Awwabeen,C
hasht,Ishraq,Wagaira k liye Miswak kijiye, Ghr me dakhi ho to miswak kijiye,
Jaisa k Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ka amal bhi raha hai,
Hazrat Ayesha R.A farmati hai k Huzoor sallaallahu alaihi wasallam jb ghrme
Dakhil hote to sub se pehla kam ye hota tha k Aap sallaallahu alaihi wasallam
Miswak Farmaya karte the.(muslim)
Quran Majid ki tilawat k waqt, Muh me badbo k ehsas k waqt, Neend se bedar
hote waqt, aur wazu karte waqt in tamam mauqe per miswak karte howe admi
apne moh ko saaf bhi karsakta hai aur allah ko razi bhi karsakta hai.

S-ar putea să vă placă și