Sunteți pe pagina 1din 12

Mustafa Jaan E Rehmat Pe Laakho ( n ) Salaam

Shamme Bazme Hidayat Pe Laakho ( n )Salaam

Mehre Charkhe Nubuvvat Pe Roushan Durood


Ghul E Baagh E Risaalat Pe Laakho (n ) Salaam

Shehre Yaare Iram Tajdaare Haram


Nau Bahaar E Shafa'at Pe Laakho ( n ) Salaam

Shab E Asra Ke Dulha Pe Da- im Durood


Nausha E Bazme Jannat Pe laakho ( n ) Salaam

Arsh Ki Zebo Zeenat Pe Arshi Durood


Farsh Ki Teebo Nuzhat Pe laakho (n ) Salaam

Noor E Ain E Latafat Pe Alt (a ) f Durood


Jaibo Jaine Najafat Pe Laakho ( n ) Salaam

Sarve Naaz E Kidam Maghze Raaze Hikam


Yakka Taaze Fazilat Pe Laakho ( n ) Salaam

Nukta E Sirre Wahdat Pe Yakta Durood


Markaze Daure Kasrat Pe Laakho (n ) Salaam

Sahibe Raj'ate Shamso Saqqul Qamar


Naib E Daste Qudrat Pe Laakho (n ) Salaam

Jiske Zere Liwa Adamo Man Siva


Uss Sada E Siyadat Pe Laakho (n ) Salaam

Arsh Ya Farsh Hai Jiske Zere Nagee( n )


Uski Qaahir Riyasat Pe Laakho ( n ) Salaam

Asle Har Buudo Bahbood Takhme Wajood


Qasim E Kanze Ne'amat Pe Laakho (n ) Salaam

Fathe Baab E Nubuvvat Pe Behad Durood


Khatme Daur E Risalat Pe Laakho (n ) Salaam

Sharke Anwaare Qudrat Pe Noori Durood


Fat - he Az Haare Qurbat Pe Laakho (n )Salaam

Be - Saheemo Q( a )simo Adeelo Maseel


Jouhar E Farde Izzat Pe Laakho (n ) Salaam
Sirre Ghaib E Hidayat Pe Ghaibi Durood
Itre Jaibe Nihayat Pe Laakho (n ) Salaam

Maahe Lahoote Khilwat Pe Laakho (n ) Durood


Shahe Naasoot E Jalwat Pe Laakho (n ) Salaam

Kanze Har Bekaso Benawa Par Durood


Harze Har Rafta Taaqat Pe Laakho (n ) Salaam

Partave Isme Zaate Ahad Par Durood


Nuskha E Jaameiyyat Pe Laakho (n ) Salaam

Mat - La'e Har Sa'adat Pe As'ad Durood


Maqtae Har Siyadat Pe Laakho ( n ) Salaam

Khalq Ke Dadras Sabke Fariyad Ras


Kahfe Roze Musibat Pe Laakho ( n ) Salaam

Mujhse Bekas Ki Daulat Pe Laakho (n ) Durood


Mujhse Bebas Ki Quvvat Pe Laakho ( n )Salaam

Shamme Bazme D(a )na Hu Mai Gum Kun


Ana Shar - He Matne Huviyyat Pe Laakho (n) Salaam

Intiha E Daayi Ibtida E Yakee


Jam ' a Tafreeqo Kasrat Pe Laakho (n ) Salaam

Kasrat E Baad E Qillat Pe Aksar Durood


Izzate Baade Zillat Pe Laakho ( n ) Salaam

Rabb E Aala Ki Ne ' amat Pe Aala Durood


Haq Ta ' ala Ki Minnat Pe Laakho ( n ) Salaam

Hum Ghareebo Ke Aaqa Pe Behad Durood


Hum Faqeeri Ki Sarwat Pe Laakho (n ) Salaam

Farhate Jaane Mo' min Pe Behad Durood


Ghaize Qalbe Jalalat Pe Laakho ( n ) Salaam

Sab- Be Har Sabb Muntaha E Talab


Illate Julmo Illat Pe Laakho (n ) Salaam

Masdar E Mujhariyyat Pe Azhar Durood


Mazhar E Masdariyyat Pe Laakho ( n ) Salaam

Jiske Jalwe Se Murjhayi Kaliya(n ) Khili


Uss Ghul E Paak Mimbat Pe Laakho ( n )Salaam

Qadde Be - Saaya Ke Saya E Marhamat


Jille Mamdud E Raafat Pe Laakho (n ) Salaam

Tairan E Quds Jiski Hai Kumriya ( n )


Us Sahi Sarve Kaamat Pe Laakho (n ) Salaam

Wasf Jiska Hai Aayina E Haqnuma


Us Khuda Saaz Tal ' at Pe Laakho ( n ) Salaam

Jiske Aage Sare Sarwara Kham Rahe


Uss Sare Taaje Rif ' at Pe Laakho (n ) Salaam

Wo Karam Ki Ghata Ghesu E Mushk Sa


Lakka E Abre Raafat Pe Laakho (n ) Salaam

Lailatul Qadr Me Matlail Fajre Haq


Maang Ki Istiqamat Pe Laakho (n ) Salaam

Lakht Lakhte Dile Har Jigar Chaak Se


Shaana Karne Ki Haalat Pe Laakho (n ) Salaam

Duur O Nazdeek Ke Sunne Waale Wo Kaan


Kaan E La'le Karamat Pe Laakho (n ) Salaam

Chashma E Mehr Me Mouje Noor E Jalaal


Us Raghe Hashemiyyat Pe Laakho ( n ) Salaam

Jiske Mathe Shafa' at Ka Sehra Raha


Us Jabeen E Sa ' adat Pe Laakho ( n ) Salaam

Jinke Sajde Ko Mehraab E Kaaba Jhuki


Unn Bhavo ( n ) Ki Latafat Pe Laakho( n) Salaam

Unki Aankho( n ) Pe Wo Saaya Afghan Miza


Zilla E Qasr E Rahmat Pe Laakho (n ) Salaam

Ashq Baari E Mizga (n ) Pe Barse Durood


Silke Durre Shafa' at Pe Laakho( n ) Salaam
Ma 'ana E Qad Ra -aa Maqsad E Maa Tagaa
Nargis E Baaghe Qudrat Pe Laakho (n ) Salaam

Jiss Taraf Uth Gayi Dam Me Dam Aa Gaya


Us Nigah E Inayat Pe Laakho (n ) Salaam

Nichee Aankho(n ) Ki Sharmo Haya Par Durood


Unchi Beene Ki Rifa ’ at Pe Laakho (n ) Salaam

Jinke Aage Charage Qamar Jhilmilay


Un Azaaro Ki Tal ’ at Pe Laakho ( n ) Salaam

Unke Khad Ki Suhulat Pe Behad Durood


Unke Qad Ki Rishaqat Pe Laakho (n ) Salaam

Jis Se Tareek Dil Jagmagane Lage


Us Chamak Waali Rangat Pe Laakho (n )Salaam

Chaand Se Muh Pe Taaba Darkhsha Durood


Namak Aagi Sabahat Pe Laakho (n ) Salaam

Shabnam E Baagh E Haq Yani Rukh Ka Araq


Uski Sachhi Baraakat Pe Laakho ( n ) Salaam

Khat Ki Girde Dahan Wo Dilara Faban


Sabz E Nahre Rehmat Pe Laakho ( n ) Salaam

Rishe Khus Mu ’ atadil Marham E Reshe


Dil Hala E Mah E Nudrat Pe Laakho ( n ) Salaam

Patli Patli Ghul E Quds Ki Pattiya


Un Labo( n ) Ki Nazakat Pe Laakho ( n ) Salaam

Wo Dahan Jiski Har Baat Wahee E Khuda


Chashma E Ilmo Hiqmat Pe Laakho ( n )Salaam

Jiske Paani Se Shadaab Jaan O Jinaa


Uss Dahan Ki Taravat Pe Laakho ( n ) Salaam

Jis Se Khari Kuve Shira E Jaa(n ) Bane


Us Julale Halavat Pe Laakho ( n ) Salaam

Wo Jabaa ( n ) Jisko Sab Kun Ki Kunji Kahe


Uski Naafiz Huqumat Pe Laakho ( n ) Salaam
Uski Pyari Fasahat Pe Behad Durood
Sakee Dilkash Balaghat Pe Laakho( n ) Salaam

Uski Baato (n ) Ki Lazzat Pe Laakho (n ) Durood


Uske Khutbe Ki Haibat Pe Laakho ( n ) Salaam

Woh Dua Jiska Joban Bahaar E Qubool


Us Naseem E Ijabat Pe Laakho (n ) Salaam

Jinke Guchche Se Lachche Jhade Noor Ke


Un Sitaro Ki Nuzhat Pe Laakho( n ) Salaam

Jiski Taskee( n ) Se Rote Hue Has Pade


Us Tabassum Ki A ' adat Pe Laakho ( n ) Salaam

Jis Me Nahre Hai Shiro Shakar Ki Rawa (n )


Us Gale Ki Nazarat Pe Laakho( n ) Salaam

Dosh Bar Dosh Hai Jin Ke Shaane Sharaf


Aise Shaano Ki Shauqat Pe Laakho (n ) Salaam

Hajre Aswad Ka ' aba E Jaan O Dil


Yaani Mehre Nubuvvat Pe Laakho( n ) Salaam

Ru-E Aaina E Ilme Pushte Huzoor


Pushti E Qasr E Millat Pe Laakho (n ) Salaam

Haath Jis Samt Utha Ghanee Kar Diya


Mouje Behre Sama' at Pe Laakho ( n ) Salaam

Jis ko Baare Do Aalam Ki Parwah Nahi


Aise Bazoo Ki Quvvat Pe Laakho ( n ) Salaam

Ka ' aba E Deen O Imaa (n ) Ke Dono Sutoo (n )


Sayyedaine Risalat Pe Laakho ( n ) Salaam

Jiske Har Khat Main Hai Mouje Noor E Karam


Us Kafe Bahre Himmat Pe Laakho ( n ) Salaam

Noor Ke Chashme Lehraye Dariya Bahee


Ungliyo(n ) Ki Karamat Pe Laakho ( n ) Salaam

Eid E Mushkil Kusha E Ke Chamke Hilaal


Nakhoono Ki Basharat Pe Laakho ( n ) Salaam

Raf'a E Zikre Jalalat Pe Arfa ' a Durood


Sharhe Sadre Sadarat Pe Laakho( n ) Salaam

Dil Samajh Se Waraa Hai Magar Yu Kahu


Guncha E Raaze Wahdat Pe Laakho ( n )Salaam

Kul Jahaa ( n ) Milk Aur Jou Ki Roti Ghiza


Uss Shikam Ki Kana' at Pe Laakho ( n ) Salaam

Jo Ki Azme Shafa ' at Pe Khinch Kar Bandhi


Us Qamar Ki Himayat Pe Laakho( n ) Salaam

Ambiya Tah Kare Jaanu Unke Huzoor


Jaanuo Ki Wajahat Pe Laakho ( n ) Salaam

Saake Asl E Qidam ShaakhE Nakhle Karam


Sham' e Raah E Isabat Pe Laakho ( n ) Salaam

Khayi Quraa ( n ) Ne Khaaqe Guzar Ki Qasam


Us Kafe Paa Ki Hur mat Pe Laakho (n ) Salaam

Jis Suhani Ghadi Chamka Taibah Ka Chaand


Us Dil Afroz Sa ' at Pe Laakho (n ) Salaam

Pehle Sajde Pe Rouze Ajal Se Durood


Yaadgari E Ummat Pe Laakho (n ) Salaam

Zar 'e Shadab E Har Zar ' e Pur Sheer Se


Barkaate Reja ' at Pe Laakho (n ) Salaam

Bhaiyo Ke Liye Tark Pista(n ) Kare


Doodh Peeto Ki Nisfat Pe Laakho (n ) Salaam

Mahde Waala Ki Qismat Pe Behad Durood


Burje Maah E Risalat Pe Laakho (n ) Salaam

ALLAH ALLAH Wo Bachpane Ki Phaban


Us Khuda Bhaati Surat Pe Laakho ( n ) Salaam

Uth - Te BuTo Ki Nashwo Numa Par Durood


Khilte Guncho Ki Nikhat Pe Laakho ( n )Salaam
Fazl E Paidaishi Par Hamesha Durood
Khelne Se Karahat Pe Laakho ( n ) Salaam

A ' etela E Jabillat Pe Aala Durood


A ' etedal E Tivayat Pe Laakho ( n ) Salaam

Be Banavat Adaa Par Hazaro Durood


Be Takalluf Malahat Pe Laakho( n ) Salaam

Bhini Bhini Mahak Par Mahakti Durood


Pyari Pyari Nafasat Pe Laakho (n ) Salaam

Meethi Meethi Ibarat Pe Shiree ( n ) Durood


Achhi Achhi Isharat Pe Laakho ( n ) Salaam

Seedhi Seedhi Ravish Par Karoro (n ) Durood


Saadi Saadi Tabi ' at Pe Laakho (n ) Salaam

Roze Garmo Shabe Teera Wo Taar Me


Koho Sahra Ki Khalvat Pe Laakho ( n ) Salaam

Jiske Ghere Me Hai Ambiya O Malak


Us Jahangeer E Ba ' sat Pe Laakho (n ) Salaam

Andhe Sheeshe Jhalajhal Damakne Lage


Jalwa Rezi E Daawat Pe Laakho (n ) Salaam

Lutf E Bedari E Shab Pe Behad Durood


Aalam E Khwab E Rahat Pe Laakho ( n ) Salaam

Kh (a )nda - e Subho Ishrat Pe Noori Durood


Giry (a ) E Abre Rehmat Pe Laakho ( n ) Salaam

Nirmi E Khu E Leenat Pe Daim Durood


Garmi E Shaane Satavat Pe Laakho (n ) Salaam

Jiske Aage Khinchi Gardane Jhuk Gayi


Us Khuda Dad Shoukat Pe Laakho ( n ) Salaam

Kisko Dekha Ye Moosa Se Pooche Koyi


Aankh Waalo Ki Himmat Pe Laakho (n ) Salaam

Girde Mah Daste Anjum Me Rakhsha( n) Hilaal


Badr Ki Daf' e Zulmat Pe Laakho ( n ) Salaam
Shore Takbeer Se Thar - Tharati Zamee( n )
Zumbishe Joushe Nusrat Pe Laakho ( n) Salaam

Na ' araha E Dilera(n ) Se Ban Gunjte


Gurrashe Kose Jur- at Pe Laakho (n ) Salaam

Woh Chaka Chaak Khanjar Se Aati Sadaa


Mustafa Teri Soulat Pe Laakho (n ) Salaam

Unke Aage Wo Hamza Ki Jaa(n ) - Baaziya( n )


Shere Gurrane Satvat Pe Laakho ( n ) Salaam

Al Gharaz Unke Har mu Pe Laakho ( n ) Durood


Unki Har Khu Wa Khaslat Pe Laakho ( n) Salaam

Unke Har Naam O Nisbat Pe Naami Durood


Unke Har Waqt O Haalat Pe Laakho (n )Salaam

Unke Maula Ki Un Par Karoro (n ) Durood


Unke As- habo Itrat Pe Laakho (n ) Salaam

Paar- Haye Suhuf Ghuncha E Qudus


Ahle Bait E Nubuvvat Pe Laakho ( n ) Salaam

Aab E Tathir Se Jis Me Paude Jame


Uss Riyaze Najaabat Pe Laakho ( n ) Salaam

Khuun E Khairur Rusul Se Hai Jinka Khameer


Unki Be Lous Tinat Pe Laakho (n ) Salaam

Uss Batul E Jigar Para E Mustafa


Haj- La Aara E Iffat Pe Laakho (n ) Salaam

Jiska Aanchal Na Dekha Maho Meher Ne


Uss Rida E Nazahat Pe Laakho (n ) Salaam

Sayyeda Zahira Tayyeba Tahira


Jaan E Ahmad Ki Raahat Pe Laakho ( n )Salaam

Hasne Mujtaba Sayyedul Askhiya(n )


Raakib E Doshe Izzat Pe Laakho (n ) Salaam

Ouj E Mehre Huda Mouje Bahre Nida


Ruh E Rouhe Sakhavat Pe Laakho ( n ) Salaam

Shahad Khware Lu - aab E Zabaan E Nabi


Chaashni Geer Ismat Pe Laakho (n ) Salaam

Uss Shaheed E Balaa Shahe Ghulghu Kabaa


Bekase Dashte Gurbat Pe Laakho (n ) Salaam

Durre Durje Najaf Mehre Burje Sharaf


Range Ru E Shahadat Pe Laakho ( n ) Salaam

Ahle Islaam Ki Maadarane Shafeeq


Baanuvane Tahaarat Pe Laakho (n ) Salaam

Jalw (a )- Giyyane Baitush - Sharaf Par Durood


Pard Giyyane Iffat Pe Laakho ( n ) Salaam

Siyyema Pahli Maa Kah- Fe Amno Amaa (n )


Haq Gujare Rifaqat Pe Laakho (n ) Salaam

Arsh Se Jispe Tasleem Naazil Hui


Us Saraa E Salamat Pe Laakho (n ) Salaam

Manzillum Min Kasab La Nasab La Sakhab


Aise Koshak Ki Zeenat Pe Laakho (n ) Salaam

Binte Siddeeq Araam E Jaan E Nabi


Us Hareem E Bara- at Pe Laakho ( n ) Salaam

Yaani Hai Sura E Noor Jinki Gawah


Unki Pur Noor Surat Pe Laakho ( n ) Salaam

Jinme Ruhul Qudus Be - Ijazat Na Jaaye


Un Suradiq Ki Ismat Pe Laakho (n ) Salaam

Sahm' e Taabaane Kaashaana E Ijtehaad


Mufti E Chaar Millat Pe Laakho (n ) Salaam

Jaa(n ) - Nisaran E Badro Uhad Par Durood


Haq Guzaaran E Bai' at Pe Laakho ( n ) Salaam

Wo Daso Jinko Jannat Ka Muzda Mila


Uss Mubarak Jama' at Pe Laakho ( n ) Salaam
Khaas Uss Saabik E Saire Kurbe Khuda
Ouhad E Kamiliyat Pe Laakho( n ) Salaam

Sai - E Mustafa Mai - E Istafa


Izzo Naaze Khilafat Pe Laakho (n ) Salaam

Asdaqus - Sadeqi Sayyedul Muttaqi


Chashmo Goshe Vejarat Pe Laakho (n ) Salaam

Woh Umar Jis Ke Aada Pe Shaida Sakar


Uss Khuda Dost Hazrat Pe Laakho ( n ) Salaam

Fareeqe Haqqo Baatil Imamul Huda


Taighe Maslule Shiddat Pe Laakho ( n ) Salaam

Tarjumaan E Nabi Ham - Zabaan E Nabi


Jaan E Shaan E Adaalat Pe Laakho (n ) Salaam

Jaahid E Masjid E Ahmadi Par Durood


Doulat E Jaishe Usrat Pe Laakho (n ) Salaam

Durre Mansoor Quraa (n ) Ki Silke Bahee


Zouje Do Noor E Iffat Pe Laakho( n ) Salaam

Yaani Usmaan Saahab Kamees E Huda


Hulla Pushe Shahadat Pe Laakho( n ) Salaam

Murtaza Shere Haq Ashja - Ul Ashja - e


Saaqi E Sheero Sharbat Pe Laakho (n ) Salaam

Asl E Nasl E Safaa Wajhe Wasle Khuda


Baab E Fasle Wilayat Pe Laakho (n ) Salaam

Awwali Dafa E Ahle Rifzo Khuruj


Chaar Mi Rukne Millat Pe Laakho ( n ) Salaam

Shere Shamsheer - J( a )n Shahe Khaibar- Shikan


Parvat E Dost Qudrat Pe Laakho ( n ) Salaam

Maahi E Rifzo Tafzeel O Nasb O Khurooj


Haami E Deen O Sunnat Pe Laakho ( n )Salaam

Momeni Peshe Fat - ho Pase Fat - h Sab


Ahle Khairo Adaalat Pe Laakho ( n ) Salaam
Jis Musalmaa (n ) Ne Dekha Unhe Ik Nazar
Uss Nazar Ki Basaarat Pe Laakho (n ) Salaam

Jinke Dushman Pe Laanat Hai ALLAH Ki


Un Sab Ahle Muhabbat Pe Laakho( n ) Salaam

Baaqi E Saakiyaan E Sharaab E Tahur


Zain E Ahle Ibadat Pe Laakho( n ) Salaam

Aur Jitne Hai Shehzade Uss Shah Ke


Un Sab Ahle Makaanat Pe Laakho ( n ) Salaam

Unki Baala Sharafat Pe Aala Durood


Unki Waala Siyadat Pe Laakho ( n ) Salaam

Shafa' e Maaliki Ahmad Imam E Haneef


Chaar Baagh E Imamat Pe Laakho ( n ) Salaam

Kaamilan E Tareeqat Pe Kaamil Durood


Haamilan E Shariat Pe Laakho ( n ) Salaam

Ghouse Aazam Ima Muttuka Wannuka


Jalwa E Shaan E Qudrat Pe Laakho (n ) Salaam

Kutbe Abdaalo Irshaad O Rushdurshaad


Muh- yi- e Deen O Millat Pe Laakho (n )Salaam

Mard E Khaile Tareeqar Pe Behad Durood


Farde Ahle Haqeeqat Pe Laakho ( n ) Salaam

Jiski Mimbar Bani Gardan E Awliyah


Uss Qadam Ki Karamat Pe Laakho ( n ) Salaam

Shah E Barkaato Barkaate Peshiniya (n )Nou


Bahar E Tareeqat Pe Laakho (n ) Salaam

Sayyid Aale Muhammad Imamur Rashheed


Ghul E Rouze Riyazat Pe Laakho ( n ) Salaam

Hazrat E Hamza Shere Khuda Wa Rasool


Zeenat E Qaadriyat Pe Laakho (n ) Salaam

Naam O Kaam O Tano Jaan O Haal O Makaal
Sabme Achhe Ki Surat Pe Laakho (n ) Salaam

Noor-Jaa(n ) Itre- Majmu ' a Aale Rasool


Mere Aaqa E Ne' amat Pe Laakho( n ) Salaam

Zaibe Sajjada Sajjade Noori Nihaad
Ahmad E Noor Teenat Pe Laakho (n ) Salaam

Be Azaabo Aetaabo Hisaabo Kitaab


Ta Abad Ahle Sunnat Pe Laakho ( n ) Salaam

Tere Un Dosto Ke Tufaile Khuda
Banda- E Nange Khilqat Pe Laakho( n ) Salaam

Mere Ustaad Maa - Baap Bhai Behen


Ahle Wuldo Ashirat Pe Laakho ( n ) Salaam

Ek Mera Hi Rehmat Me D' awa Nahi
Shah Ki Saari Ummat Pe Laakho ( n ) Salaam

Kaash Mehshar Me Jab Unki Aamad Ho Aur


Bheje Sab Unki Shouqat Pe Laakho (n ) Salaam

Mujhse Khidmat Ke Qudsi Kahe Haa Raza
Mustafa Jaan E Rehmat Pe Laakho( n ) Salaam

♥Ya Rasoolallah
Sallallahu Alaihi wasallam♥
Talib e Dua
MSN

S-ar putea să vă placă și