Sunteți pe pagina 1din 3

1.

Mustafa Jaane Rehmat Pe Laakho(N) Salaam Sham-Aey Bazme Hidaayat Pe Laakho(N) Salaam

Jis Ke Aage Sare Sarwaraa(N) Kham Rahe Us Sare Taaje Rif?at Pe Laakho(N) Salaam

Patli, Patli Gule Quds Ki Pattiyaa(N) Un Labo(N) Ki Nazaakat Pe Laakho(N) Salaam

Jis Ki Mimbar Bani, Gardane Auliya Us Qadam Ki Karaamat Pe Laakho(N) Salaam

Woh Dahan Jis Ki Har Baat, Wahi-Aey Khuda Chash?maaey Ilmo Hikmat Pe Laakho(N) Salaam

Jis Ki Taski(N) Se Rote Huey Hans Pare Us Tabassum Ki Aadat Pe Laakho(N) Salaam

Noor Ke Chasme Lehraaei(N), Darya Bahei(N) Ungliyo(N) Ki Karaamat Pe Laakho(N) Salaam

Kul Jahaa(N) Milk Aur Jaw Ki Roti Ghiza Us Shikam Ki Qana?at Pe Laakho(N) Salaam

Khaai Qur?aney Khaake Guzar Ki Qasam Us Kafe Paa Ki Hurmat Pe Laakho(N) Salaam

Allah, Allah, Woh Bachpane Ki Phaban Us Khuda Daad Shaukat Pe Laakho(N) Salaam

Woh Daso Jin Ko Jannat Ka Muzda Mila Us Mubaarak Jama?at Pe Laakho(N) Salaam

Jin Ke Dushman Pe Laa?nat Hai Allah Ki Un Sab Aih?l-E Mohabbat Pe Laakho(N) Salaam

Mere Ustaad, Maa-Baap, Aur Bhaai Bahen Aih?l-E Waldo Asirat Pe Laakho(N) Salaam

Khalq Ke Daad Ras, Sab Ke Fariyaad Ras Kahfe Roze Musibat Pe Laakho(N) Salaam

Sham-Aey Bazme ?Dana Hu? May(N) Gham Kum Ana Sharhe Matne Huyyat Pe Laakho(N) Salaam

Jis Se Khaarey Koo(N)Wey(N) Shiraaey Jaa(N) Bane Us Zulaaley Halaawat Pe Laakho(N) Salaam

Woh Dua, Jis Ka Joban Bahaare Qubool Us Nasime Ijaabat Pe Laakho(N) Salaam

Jis Ka Aanchal Na Dekha, Maaho Mehr Ne Us Ridaae Nazaahat Pe Laakho(N) Salaam

Aur Jitne Hai(N) Shehzaade, Us Shaah Ke Un Sab Aih?l-E Makaanat Pe Laakho(N) Salaam

S-ar putea să vă placă și